Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

Topic of the Week

254 views
Skip to first unread message

Naseer

unread,
Dec 27, 2007, 3:50:45 AM12/27/07
to
Haaziriin-i-maHfil, aadaab 'ar zhai.

ek zamaanah thaa jab kih maHfil-i-ALUP javaaN thii (awr janaab-i-UVR
Sahib, javaaN-tar:) ) jab "Word of the week" and "Topic of the week"
jaisii laRiyaaN dekhne meN aatii thiiN. aaiye, ek baar phir ALUP ke us
zamaane kii yaad ko taazah karne kii koshish kareN!!

zabaan/zubaan ek aisaa lafz hai jis ke baare meN maiN aksar sochtaa
huuN kih is kaa asl (fasiiH) talaffuz kyaa hai. sun_ne meN donoN aate
haiN awr shaa'irii kii kitaaboN meN bhii (jab zabar/zer/pesh lagaaii
huii hotii hai) donoN shakleN miltii haiN. maiN aap daanish-varoN se
yih puuchhnaa chaahuuN gaa kih hameN zubaan/N yaa zabaan/N kahnaa
chaahiye.

maiN ne Iraan vaaloN kii zabaan/zubaan se to "zabaan" hii sunaa hai.

aap log agar is lafz ko ash'aar meN shaamil kar ke misaaleN deN to awr
achchhaa ho gaa. to liijiye merii taraf se Ghalib kaa jaanaa
pahchaanaa shi'r Haazir hai..

yaa rab vuh nah samjhe haiN , nah samjheN ge mirii baat
de awr dil un ko, jo nah de mujh ko zabaaN/zubaaN awr"

KHair-KHvaah,
Naseer

Raj Kumar

unread,
Dec 31, 2007, 6:25:55 PM12/31/07
to
On Dec 27, 12:50 am, Naseer <qures...@googlemail.com> wrote:
>Haaziriin-i-maHfil, aadaab 'arz hai.
>ek zamaanah thaa jab kih maHfil-i-ALUP javaaN thii (awr janaab-i-UVR
>Sahib, javaaN-tar :) )

aur ab yeh aalam hai k mehfil-e-ALUP za'eef ho kar reh gayee hai aur
UVR saahib za'eef-tar! :(

>jab "Word of the week" and "Topic of the week"
>jaisii laRiyaaN dekhne meN aatii thiiN. aaiye, ek baar phir ALUP ke us
>zamaane kii yaad ko taazah karne kii koshish kareN!!

Khayaal aap ka nek hai, Naseer saahib, albatta yaar-dostoN ki sust-
ravii ko madd-e-nazar rakhte huye mujhe Khadsha hai k hameN in
silsiloN ko "hafta-vaarii" ki bajaaye "maah-vaarii" banaana hoga!

>zabaan/zubaan ek aisaa lafz hai jis ke baare meN maiN aksar sochtaa
>huuN kih is kaa asl (fasiiH) talaffuz kyaa hai. sun_ne meN donoN aate

>haiN.

jaisa k aap jaante hi haiN, yeh dono talaffuz saheeh haiN --- albatta,
beshtar luGhaat "zabaan" ko afzal maanti haiN, go k voh "zubaan" ko
bhi qaabil-e-qubool gardaanti haiN!

ilaava-azeeN, Dilli ke mut'addid mushaa'iroN meiN maiN ne jab bhi kisi
ustaad shaa'ir ko is lafz ka ist'emaal karte huye sunaa to, Khudaa
jhooT na bulvaaye, "zabaan" hi sunaa, "zubaan" hargiz naheeN sunaa! is
liye, maiN to is lafz ka faseeh talaffuz "zabaan" hi maanta hooN aur
ise hamesha yooN-hi bolta/likhta hooN!

yeh alag baat k jab Zoya saahiba ne "Dilli ke mushaa'iroN ki kahaanii"
Khaaksaar ki zabaani ALUP par chaspaaN kii to use "Qais ki zubaanii"
kahaa! :(
goyaa,

khule the lab k us ne kaaT kar merii "zabaaN" rakh
dii!
hamesha ke liye tai kar ke Gham kii daastaaN rakh dii!!! :(

>awr shaa'irii kii kitaaboN meN bhii (jab zabar/zer/pesh lagaaii
>huii hotii hai) donoN shakleN miltii haiN.

rahii baat kitaaboN kii to arz hai k, in dinoN, mushkil hi se ko'ii
aisi kitaab nazar aati hai jis meiN k kaatib ne "zer, zabar, pesh" ka
iste'maal kiyaa ho --- taaham, yeh qat'an hairat ki baat naheeN hai k
aap ko apne mutaala'e meiN yeh dono soorateN nazar aa'ii haiN!

>maiN aap daanish-varoN se
>yih puuchhnaa chaahuuN gaa kih hameN zubaan/N yaa zabaan/N kahnaa
>chaahiye.

huzoor, "daanish-var" as_haab to aap ki baat ka javaab dete hi deN ge
--- albatta, mujh majoos-e-ishq ki to yihii raaye hai k ham is lafz
ko "zabaan" kaheN, na k "zubaan"!

>maiN ne Iraan vaaloN kii zabaan/zubaan se to "zabaan" hii sunaa hai.

agar yeh baat hai, Naseer sahib, ---------- "to phir Dar kaahe
ka"??? ;)

>aap log agar is lafz ko ash'aar meN shaamil kar ke misaaleN deN to awr
>achchhaa ho gaa.

huzoor, aap chaaheN to ham yahaaN aise ash'aar ka aNbaar lagaa deN ---
albatta, un ash'aar se aap ke asl savaal ke hal meiN ko'ii madad
naheeN mile gii kyooN-k un ash'aar meiN aap chaahe zabaan kaheN yaa
zubaan, dono soorateN ravaa hoN gi!

ba-har-haal, peshtar is ke k ham taKhtii-e-ALUP par aise ash'aar ka
aNbaar lagaayeN, maiN kam-az-kam aap ke pesh-kardah nageene ko to dekh
looN! ;)

>to liijiye merii taraf se Ghalib kaa jaanaa
>pahchaanaa shi'r Haazir hai..

>yaa rab vuh nah samjhe haiN , nah samjheN ge mirii baat
>de awr dil un ko, jo nah de mujh ko zabaaN/zubaaN awr"

WHAT?
Is that what Ghaalib said?

huzoor, ham ne to is she'r ko yooN sunaa hai:

yaa rab, na voh samjhe haiN na samjheN ge mirii
baat
BHAASHAA hai kuchh aur un ki, hamaarii hai ZABAAN aur!!! :) bal-k,
LOL

R.K.

Naseer

unread,
Jan 1, 2008, 9:02:06 AM1/1/08
to
On Dec 31 2007, 11:25 pm, Raj Kumar <rajkumarq...@hotmail.com> wrote:
> On Dec 27, 12:50 am, Naseer <qures...@googlemail.com> wrote:
>
> >Haaziriin-i-maHfil, aadaab 'arz hai.
> >ek zamaanah thaa jab kih maHfil-i-ALUP javaaN thii (awr janaab-i-UVR
> >Sahib, javaaN-tar :) )
>
> aur ab yeh aalam hai k mehfil-e-ALUP za'eef ho kar reh gayee hai aur
> UVR saahib za'eef-tar! :(

janaab-i-Raj Kumar Sahib, aadaab 'arz hai awr nayaa saal mubaarak ho!

mere KHayaal meN maHfil-i-ALUP "za'iif" nahiiN huii, sirf qadre sust
ho gaii hai. is kii koii sangiin vajh bhii nahiiN, faqat ALUP vaaloN
kii masruufiyaat awr majbuuriyaaN!! aap ne dekhaa ho gaa kih ALUP kaa
darjah-i-Haraarat kabhii kaafii baRh jaataa hai awr kabhii paarah
bi_lkul niiche aa jaataa hai. vaise bhii "Eid/Christmas/nae saal" kii
vujuhaat bhii ho saktii haiN. December meN yahaaN par (awr Paak-o-Hind
meN bhii) sardii hii hotii hai...aap logoN kii rihaaishoN ke baare meN
to kuchh kah nahiiN saktaa!! agar vahaaN garmii hai to phir "qusuur"
aap kaa hai:)

UVR Sahib, ab bhii (maashaa Allah) javaan haiN. za'iif har-giz nahiiN.
"idhar-udhar" aate jaate haiN. haaN shaayad "vafaa-daarii" meN qadre
kamii aa gaii ho to alag baat hai:) mazaaq dar kanaar, sach yih hai
kih vuh masruuf hoN ge.

> >jab "Word of the week" and "Topic of the week"
> >jaisii laRiyaaN dekhne meN aatii thiiN. aaiye, ek baar phir ALUP ke us
> >zamaane kii yaad ko taazah karne kii koshish kareN!!
>
> Khayaal aap ka nek hai, Naseer saahib, albatta yaar-dostoN ki sust-
> ravii ko madd-e-nazar rakhte huye mujhe Khadsha hai k hameN in
> silsiloN ko "hafta-vaarii" ki bajaaye "maah-vaarii" banaana hoga!

aap ne ba-jaa farmaayaa hai Raj Kumar Sahib. lekin aap yih bhii jaante
haiN kih ek "catalyst" kisii "rate of reaction" ko baRhaa detaa hai.
Nagesh Sahib kii tashriif-aavarii ho saktaa hai kih "dhamakaa-KHez"
saabit ho!!:) aap kii tajviiz vaise KHuub hai. is mauzuu' ko "maah-
aanah" hii rakh dete haiN. to kyaa is laRii ko janvarii 2008 kaa
ibtidaaii mauzuu' gardaan leN? is ke saath ALUP vaaloN se iltimaas hai
kih vuh "is mahiine (02/08) kaa mauzuu'" ke liye apnii apnii tajaaviiz
pesh kareN.

>> >zabaan/zubaan ek aisaa lafz hai jis ke baare meN maiN aksar sochtaa
> >huuN kih is kaa asl (fasiiH) talaffuz kyaa hai. sun_ne meN donoN aate
> >haiN.
>
> jaisa k aap jaante hi haiN, yeh dono talaffuz saheeh haiN --- albatta,
> beshtar luGhaat "zabaan" ko afzal maanti haiN, go k voh "zubaan" ko
> bhi qaabil-e-qubool gardaanti haiN!
>
> ilaava-azeeN, Dilli ke mut'addid mushaa'iroN meiN maiN ne jab bhi kisi
> ustaad shaa'ir ko is lafz ka ist'emaal karte huye sunaa to, Khudaa
> jhooT na bulvaaye, "zabaan" hi sunaa, "zubaan" hargiz naheeN sunaa! is
> liye, maiN to is lafz ka faseeh talaffuz "zabaan" hi maanta hooN aur
> ise hamesha yooN-hi bolta/likhta hooN!

merii zaatii raae bhii aisii hii hai. ho saktaa hai kih is (awr diigar
alfaz) par 'ilaaqaaii asar ho. ho saktaa hai kih Lucknow vaale "zubaan/
N" kahte hon.

> rahii baat kitaaboN kii to arz hai k, in dinoN, mushkil hi se ko'ii
> aisi kitaab nazar aati hai jis meiN k kaatib ne "zer, zabar, pesh" ka
> iste'maal kiyaa ho --- taaham, yeh qat'an hairat ki baat naheeN hai k
> aap ko apne mutaala'e meiN yeh dono soorateN nazar aa'ii haiN!

mere paas maujuud diivaan-i-Ghalib ke kam az kam ek nusKHe meN lafz-i-
"zabaaN" zabar ke saath likhaa huaa hai.

> >maiN aap daanish-varoN se
> >yih puuchhnaa chaahuuN gaa kih hameN zubaan/N yaa zabaan/N kahnaa
> >chaahiye.
>
> huzoor, "daanish-var" as_haab to aap ki baat ka javaab dete hi deN ge
> --- albatta, mujh majoos-e-ishq ki to yihii raaye hai k ham is lafz
> ko "zabaan" kaheN, na k "zubaan"!

aap bhii to un "daanoN" meN se ek "daanaa" haiN jin ke ba-Ghair yih
haar bikhar jaae gaa!!!

> >maiN ne Iraan vaaloN kii zabaan/zubaan se to "zabaan" hii sunaa hai.
>
> agar yeh baat hai, Naseer sahib, ---------- "to phir Dar kaahe
> ka"??? ;)

Dar to nahiiN, lekin agar Urdu-daanoN kii zabaan kaa ruKH zubaan kii
taraf muR gayaa hai to Iran vaaloN kii kaun sune gaa. vaise, maiN ba-
zaat-i-KHud, apne logoN ke talaffuz ko ziyaadah mustanad samjhtaa huuN
awr vuh is liye kih inhoN ne (afGhaaniyoN ke saath) Faarsii
kalaasiikii talaffuz ko ba-KHuubii maHfuuz rakhaa huaa hai jab kih
Iran meN "natural evolution" kaar-farmaa hai.

> >aap log agar is lafz ko ash'aar meN shaamil kar ke misaaleN deN to awr
> >achchhaa ho gaa.
>
> huzoor, aap chaaheN to ham yahaaN aise ash'aar ka aNbaar lagaa deN ---
> albatta, un ash'aar se aap ke asl savaal ke hal meiN ko'ii madad
> naheeN mile gii kyooN-k un ash'aar meiN aap chaahe zabaan kaheN yaa
> zubaan, dono soorateN ravaa hoN gi!

haaN, yih to aap Thiik kah rahe haiN!

> ba-har-haal, peshtar is ke k ham taKhtii-e-ALUP par aise ash'aar ka
> aNbaar lagaayeN, maiN kam-az-kam aap ke pesh-kardah nageene ko to dekh
> looN! ;)
>
> >to liijiye merii taraf se Ghalib kaa jaanaa pahchaanaa shi'r Haazir hai..
> >yaa rab vuh nah samjhe haiN , nah samjheN ge mirii baat
> >de awr dil un ko, jo nah de mujh ko zabaaN/zubaaN awr"
>
> WHAT?
> Is that what Ghaalib said?
>
> huzoor, ham ne to is she'r ko yooN sunaa hai:
>
> yaa rab, na voh samjhe haiN na samjheN ge mirii baat
> BHAASHAA hai kuchh aur un ki, hamaarii hai ZABAAN aur!!! :) bal-k, LOL

bahut KHuub! awr...

ham apnii dard-mandii kaa fasaanah
sunaa karte haiN apne raaz-daaroN se (Iqbal)

KHair-KHvaah,
Naser

Zafar

unread,
Jan 1, 2008, 8:20:58 PM1/1/08
to
> >> >zabaan/zubaan ek aisaa lafz hai jis ke baare meN maiN aksar sochtaa
> > >huuN kih is kaa asl (fasiiH) talaffuz kyaa hai. sun_ne meN donoN aate
> > >haiN.
>
> > jaisa k aap jaante hi haiN, yeh dono talaffuz saheeh haiN --- albatta,
> > beshtar luGhaat "zabaan" ko afzal maanti haiN, go k voh "zubaan" ko
> > bhi qaabil-e-qubool gardaanti haiN!
>
> > ilaava-azeeN, Dilli ke mut'addid mushaa'iroN meiN maiN ne jab bhi kisi
> > ustaad shaa'ir ko is lafz ka ist'emaal karte huye sunaa to, Khudaa
> > jhooT na bulvaaye, "zabaan" hi sunaa, "zubaan" hargiz naheeN sunaa! is
> > liye, maiN to is lafz ka faseeh talaffuz "zabaan" hi maanta hooN aur
> > ise hamesha yooN-hi bolta/likhta hooN!
>
> merii zaatii raae bhii aisii hii hai. ho saktaa hai kih is (awr diigar
> alfaz) par 'ilaaqaaii asar ho. ho saktaa hai kih Lucknow vaale "zubaan/
> N" kahte hon.

huzoor, ham ne to Lucknow waaloN se zabaani bhi zabaan hi sunaa hai.
bal k wo to zubaan to sire se Ghalat maante haiN!

ye alag baat k tamaam luGhaat muttafiq haiN k donoN talaffuz dursut
haiN, is liye agar koyi muKhtalif talaffuz iKhtiyaar kare to ham us ki
"zubaan" rok naheeN sakte!

> > rahii baat kitaaboN kii to arz hai k, in dinoN, mushkil hi se ko'ii
> > aisi kitaab nazar aati hai jis meiN k kaatib ne "zer, zabar, pesh" ka
> > iste'maal kiyaa ho --- taaham, yeh qat'an hairat ki baat naheeN hai k
> > aap ko apne mutaala'e meiN yeh dono soorateN nazar aa'ii haiN!
>
> mere paas maujuud diivaan-i-Ghalib ke kam az kam ek nusKHe meN lafz-i-
> "zabaaN" zabar ke saath likhaa huaa hai.
>
> > >maiN aap daanish-varoN se
> > >yih puuchhnaa chaahuuN gaa kih hameN zubaan/N yaa zabaan/N kahnaa
> > >chaahiye.
>
> > huzoor, "daanish-var" as_haab to aap ki baat ka javaab dete hi deN ge
> > --- albatta, mujh majoos-e-ishq ki to yihii raaye hai k ham is lafz
> > ko "zabaan" kaheN, na k "zubaan"!
>
> aap bhii to un "daanoN" meN se ek "daanaa" haiN jin ke ba-Ghair yih
> haar bikhar jaae gaa!!!
>
> > >maiN ne Iraan vaaloN kii zabaan/zubaan se to "zabaan" hii sunaa hai.
>
> > agar yeh baat hai, Naseer sahib, ---------- "to phir Dar kaahe
> > ka"??? ;)
>
> Dar to nahiiN, lekin agar Urdu-daanoN kii zabaan kaa ruKH zubaan kii
> taraf muR gayaa hai to Iran vaaloN kii kaun sune gaa. vaise, maiN ba-
> zaat-i-KHud, apne logoN ke talaffuz ko ziyaadah mustanad samjhtaa huuN
> awr vuh is liye kih inhoN ne (afGhaaniyoN ke saath) Faarsii
> kalaasiikii talaffuz ko ba-KHuubii maHfuuz rakhaa huaa hai jab kih
> Iran meN "natural evolution" kaar-farmaa hai.

asl meN baat ye hai k Hindustan meN jo Farsi aayi hai, wo ba raah e
raast Iran se naheeN aayi bal k Afghanistan aur wasti Asia se aayi
hai. phir jab Iran meN 16 sadi meN Safwi hukmraanoN ke zair e asar
"the great vowel shift" huwaa to Hindustani Farsi par us kaa asar
naheeN huwaa.

is ki aik misaal dekhiye: agar aap shaayaad Shoaib Mansoor kaa
banaayaa huwaa naGhma "ishq muhabbat apnaa pan" sunaa ho gaa:

http://youtube.com/watch?v=a39X6OQgfEk

is meN Akbar aur us ke darbaarioN ko jadeed Irani Farsi bolte huwe
dikhaayaa gayaa hai, haalaaN k Hindustan meN kabhi bhi is lehje meN
Farsi naheeN boli gayi!

hatta k Ghalib, jo Irani Farsi se saKht mar'oob the, ke saamne kisi ne
Irani lehje meN bolne ki koshish ki Ghalib ne us shaKhs ko DaanT
pilaayi thi.

aaKhir meN meri taraf se zabaan par she'r suniye. na jaane ye aaj
mujhe kaise yaad aa gayaa. bachpan meN maiN aik khaTaaraa si bas par
school jaayaa kartaa thaa, us ke andar aik kone meN ye she'r likhaa
huwaa thaa:

ye kis ne shaaKh e gul laa kar qareeb e aashiyaaN rakh di
k maiN ne shauq e gul-bausi meN kaanToN par zabaaN rakh di

aadaab arz hai,

Zafar

Naseer

unread,
Jan 2, 2008, 8:28:59 AM1/2/08
to
janaab-i-Zafar Sahib, aadaab 'arz hai awr saal-i-nau mubaarak baad!

On Jan 2, 1:20 am, Zafar <ZaffS...@gmail.com> wrote:

> asl meN baat ye hai k Hindustan meN jo Farsi aayi hai, wo ba raah e
> raast Iran se naheeN aayi bal k Afghanistan aur wasti Asia se aayi
> hai. phir jab Iran meN 16 sadi meN Safwi hukmraanoN ke zair e asar
> "the great vowel shift" huwaa to Hindustani Farsi par us kaa asar
> naheeN huwaa.

kyaa aap is "great vowel shift" par kuchh maziid raushanii Daal sakte
haiN? hameN kaise ma'luum huaa kih Safavii KHaandaan ke zamaane meN
yih "shift" vujuud meN aayaa thaa ?

maiN ne apne ek afGhaanii dost se, jis kii maadarii zabaan Farsi
(Dari) hai, is lafz ke baare meN aaj hii puuchaa hai. vuh kahtaa hai
kih 'aam bol-chaal meN "zubaan" sun_ne meN aataa hai lekin adabii
HalqoN meN is kaa ek hii talaffuz hai awr vuh "zabaan" hai.


> aaKhir meN meri taraf se zabaan par she'r suniye. na jaane ye aaj
> mujhe kaise yaad aa gayaa. bachpan meN maiN aik khaTaaraa si bas par
> school jaayaa kartaa thaa, us ke andar aik kone meN ye she'r likhaa
> huwaa thaa:
>
> ye kis ne shaaKh e gul laa kar qareeb e aashiyaaN rakh di
> k maiN ne shauq e gul-bausi meN kaanToN par zabaaN rakh di

shi'r 'inaayat karne par bahut bahut shukriyah...awr ab ek ghisaa
piTaa shi'r..

nah zabaaN koii Ghazal kii nah zabaaN se baa-KHabar maiN
koii dil-kushaa sadaa ho 'ajamii ho yaa kih taazii ( Iqbal )

P.S.

kyaa gul-bausii hai yaa gul-bosii?

KHair-andesh,
Naseer

Raj Kumar

unread,
Jan 2, 2008, 6:18:23 PM1/2/08
to
On Jan 1, 6:02 am, Naseer <qures...@googlemail.com> wrote:

> > yaa rab, na voh samjhe haiN na samjheN ge mirii baat
> > BHAASHAA hai kuchh aur un ki, hamaarii hai ZABAAN aur!!!  :) bal-k, LOL
>
> bahut KHuub!  awr...
>
> ham apnii dard-mandii kaa fasaanah
> sunaa karte haiN apne raaz-daaroN se  (Iqbal)

she'r Khoob hai, Naseer saahib, vale

"raaz-daaroN" in the second misr'a should be "raaz-daaN"!

aur, isi zameen meiN, Maulaana Haalii farmaate haiN:

ko'ii hamdam naheeN miltaa jahaaN meiN!
mujhe kehnaa hai kuchh "apnii zabaaN" meiN!!!

aur ab, lage haathoN, lazf "zabaan/N" se mut'alliq kuchh chuneeda
ash'aar mulaahiza farmaaiye aur lutf uThaaiye:

yeh dastoor-e-zabaaN-baNdii hai kaisaa teri mehfil meiN?
yahaaN to baat karne ko tarastii hai zabaaN merii!
[Iqbaal]

du'aa ko haath kyooN uTTheN mire teemaar-daaroN ke?
zabaaN se kyooN naheeN kehte k ummeed-e-shifaa kam hai?
[PaNDit Hari ChaNd AKhtar]

un ke seene meiN dil to hotaa hai
jin ke muNh meiN zabaaN naheeN hotii!
[Mehr ChaNd Kausar]

aaj na maiN bhi reh sakaa, meri zabaaN bhi khul gayee
jo na sunaana chaahiye, maiN ne vuhii sunaa diyaa!
[?]

de ke Khat, muNh dekhtaa hai naama-bar!
kuchh to paiGhaam-e-zabaanii aur hai!!! ;)
[Ghaalib]

Khalq kyaa kyaa mujhe naheeN kehtii?
kuchh sunooN aap kii zabaanii bhii??? ;)
[Firaaq]

kaun kehtaa hai be-vafaa tujh ko?
kis ke muNh meiN zabaan hai, pyaare???
[Meer?, Hafeez?]

aur, aaKhir meiN, arz hai k

zabaan-e-Qais pe har vaqt teri baateN haiN!
zabaan-e-Qais jo seekhooN to tujh se baat karooN!!!
[?]

Khair-aNdesh, Raj Kumar

UVR

unread,
Jan 2, 2008, 6:27:07 PM1/2/08
to

RK saahib,

aap ke baaqi "?"-oN kaa to naheeN pataa, lekin aaKhiri sh'er
meN shaa'ir ke naam ki jagah jo aap ne "?" lagaa diyaa hai,
uskaa jawaab maiN de saktaa hooN. hamaare ek behadd
pasandeeda shaa'ir haiN Qais-Qais kar ke, aksar San Diego
meN "paaye jaate" haiN, shaayad aap ne bhi unheN dekhaa
yaa sunaa ho. yeh sh'er bas unheeN kaa hai. :-)

aur naye saal ki aap ko bhi[1] bahut bahut mubaarkaaN!

-UVR.

[1] aur ALUP-nagar ke tamaam-tar baashindoN ko bhi.

Naseer

unread,
Jan 4, 2008, 2:25:51 PM1/4/08
to
janaab-i-Raj Kumar Sahib, aadaab 'arz hai.

> du'aa ko haath kyooN uTTheN mire teemaar-daaroN ke?
> zabaaN se kyooN naheeN kehte k ummeed-e-shifaa kam hai?
> [PaNDit Hari ChaNd AKhtar]

"zabaan" ke silsile meN chuniidah ash'aar faraaham karne par bahut
bahut shukriyah. go, tamaam shi'r achhe haiN, mujhe PaNDit Hari ChaaNd
AKHtar kaa shi'r sab se achhaa lagaa.

> aaj na maiN bhi reh sakaa, meri zabaaN bhi khul gayee
> jo na sunaana chaahiye, maiN ne vuhii sunaa diyaa!
> [?]

is shi'r ke KHaaliq kii justujuu kii hai, magar fi_lHaal kaam-yaabii
nahiiN huii.

> kaun kehtaa hai be-vafaa tujh ko?
> kis ke muNh meiN zabaan hai, pyaare???
> [Meer?, Hafeez?]

yih mere KHayaal meN Miir kaa nahiiN. ek duusrii jagah aap ne ise
kuchh aise likhaa hai..

kaun kehta hai aap ko 'gustaakh'?


kis ke muNh meiN zabaan hai, pyaare?

to liijiye chand maziid ash'aar

guftuguur reKHte meN ham se nah kar
yih hamaarii zabaaN hai pyaare (Miir)

talKH kar dii hai zindagii jis ne
kaisii miiThii zabaaN hai pyaare ( Hafiiz)

jang chhiR jaae ham agar kah deN
yih hamaarii zabaaN hai pyaare (Hafiiz)

mataa'-i-lauH-o-qalam chhin gaii to kyaa Gham hai
kih KHuun-i-dil meN Dubo lii haiN uNgliyaaN maiN ne
zabaaN pih muhr lagii hai to kyaa kih rakh dii hai
har ek Halqah-i-zanjiir meN zabaaN maiN ne (Faiz)

ek baat kaa i'tiraaf karnaa paRe gaa...zabaaN tabhii Halqe meN daaKHil
ho sake gii agar vuh zubaaN ho:)

KHair-andesh,

Naseer


Raj Kumar

unread,
Jan 5, 2008, 4:44:29 PM1/5/08
to
On Jan 4, 11:25 am, Naseer <qures...@googlemail.com> wrote:

> janaab-i-Raj Kumar Sahib, aadaab 'arz hai.
>
> > du'aa ko haath kyooN uTTheN mire teemaar-daaroN ke?
> > zabaaN se kyooN naheeN kehte k ummeed-e-shifaa kam hai?
> > [PaNDit Hari ChaNd AKhtar]
>
> "zabaan" ke silsile meN chuniidah ash'aar faraaham karne par bahut
> bahut shukriyah. go, tamaam shi'r achhe haiN, mujhe PaNDit Hari ChaaNd
> AKHtar kaa shi'r sab se achhaa lagaa.

janaab-e-Naseer saahib:

mujhe yeh jaan kar qat'an hairat naheeN hu'ii k aap ko, mere irsaal-
karda ash'aar meiN se, janaab-e-AKhtar saahib ka yeh she'r bil-Khusoos
pasaNd aayaa --- kyooN-k yeh she'r hai hi kuchh aisaa! vaise, isi
Ghazal ka aek aur she'r bhi laa'iq-e-sad-tehseen hai aur zamaane ke
har aihd par itlaaq rakhta hai. to, leejiye, voh she'r bhi aap ki
Khidmat meiN haazir hai:

Khudaa ke naam par dast-o-girebaaN haiN "Khudaa vaale"!
bahut hai jis qadar zikr-e-Khudaa, Khauf-e-Khudaa kam hai!!!

> > aaj na maiN bhi reh sakaa, meri zabaaN bhi khul gayee
> > jo na sunaana chaahiye, maiN ne vuhii sunaa diyaa!
> > [?]
>
> is shi'r ke KHaaliq kii justujuu kii hai, magar fi_lHaal kaam-yaabii
> nahiiN huii.

ko'ii baat naheeN, Naseer saahib, talaash jaarii rakhiye! :)

And, by the way, is it "justujuu" or just "just-juu"?

> > kaun kehtaa hai be-vafaa tujh ko?
> > kis ke muNh meiN zabaan hai, pyaare???
> > [Meer?, Hafeez?]
>
> yih mere KHayaal meN Miir kaa nahiiN. ek duusrii jagah aap ne ise
> kuchh aise likhaa hai..
>
> kaun kehta hai aap ko 'gustaakh'?
> kis ke muNh meiN zabaan hai, pyaare?

Oh, that was a mere "contextual improvisation" --- the correct she'r
is precisely as I quoted in this thread!

> to liijiye chand maziid ash'aar
>
> guftuguur reKHte meN ham se nah kar
> yih hamaarii zabaaN hai pyaare (Miir)
>
> talKH kar dii hai zindagii jis ne
> kaisii miiThii zabaaN hai pyaare ( Hafiiz)
>
> jang chhiR jaae ham agar kah deN
> yih hamaarii zabaaN hai pyaare  (Hafiiz)
>
> mataa'-i-lauH-o-qalam chhin gaii to kyaa Gham hai
> kih KHuun-i-dil meN Dubo lii haiN uNgliyaaN maiN ne
> zabaaN pih muhr lagii hai to kyaa kih rakh dii hai
> har ek Halqah-i-zanjiir meN zabaaN maiN ne (Faiz)

Thanks for the "mazeed ash'aar", Naseer saahib, --- agar vaqt ne saath
diyaa to maiN bhi, an-qareeb hi, kuchh aur "mazeed ash'aar" pesh
karooN ga!

Raj Kumar

Naseer

unread,
Jan 8, 2008, 6:25:12 PM1/8/08
to
muHtaram Raj Kumar Sahib, aadaab 'arz hai.

> mujhe yeh jaan kar qat'an hairat naheeN hu'ii k aap ko, mere irsaal-
> karda ash'aar meiN se, janaab-e-AKhtar saahib ka yeh she'r bil-Khusoos
> pasaNd aayaa --- kyooN-k yeh she'r hai hi kuchh aisaa! vaise, isi
> Ghazal ka aek aur she'r bhi laa'iq-e-sad-tehseen hai aur zamaane ke
> har aihd par itlaaq rakhta hai. to, leejiye, voh she'r bhi aap ki
> Khidmat meiN haazir hai:
>
> Khudaa ke naam par dast-o-girebaaN haiN "Khudaa vaale"!
> bahut hai jis qadar zikr-e-Khudaa, Khauf-e-Khudaa kam hai!!!

bahut Khuub, Raj Kumar Sahib. yaqiin-an bahut achchhaa shi'r hai.

> And, by the way, is it "justujuu" or just "just-juu"?

Raj Kumar Sahib, jahaaN tak merii samajh hai, kalaasiikii Faarsi meN
"and" ke liye jis lafz kaa isti'maal hotaa thaa vuh "o" kii aavaaz ke
baraabar nahiiN thaa balkih "pesh" kii aavaaz rakhtaa thaa...lihaaza

guft..........awr....go ko milaa kar guftugo bantaa thaa (go ba'd meN
guu ho gayaa!!)

just..........awr jo ko milaa kar justujo (jo....> juu) va-Ghairah.

is "pesh" ko jab alag likhaa jaataa thaa to "vaao" isti'maal hotii
thii jab kih aavaaz phir bhii "u" hii kii hotii thii.

so, just-u-juu.....yaa.......just-o-juu

isii tarH, izaafat kii asl aavaaz vahii hai jo Hindi bolne vaale lafz-
i-kih (ki) meN isti'maal karte haiN.

mahaa-raaj-i-man and NOT mahaa-raaj-e-man (e= the e-sound in laRke).

raftah raftah yih "i" "e" kii aavaaz meN badal gaii. is liye ham log
jab jaan-i-man kahte haiN to Haqiiqat meN jaane man (baRii ye vaalii
aavaaz) kah rahe hote haiN.
kalaasiikii Farsi meN, yaa-i-majhuul (e) awr yaa-i-ma'ruuf (ii) meN
farq kiyaa jaataa thaa.

kishvar-i-Hasiin (The beautiful land/country)

kishvar-e Hasiin (a beautiful land/country= ek/koii KHuub-suurat
mulk). yahaaN par "e" kii aavaaz "de, le, ne, ke vaalii aavaaz hai.

KHair-KHvaah,

Naseer


Naseer

unread,
Jan 27, 2008, 7:22:20 PM1/27/08
to
Haaziriin-i-maHfil, aadaab 'arz hai.

"Studies in Old Persian Morphology,Roland G. Kent,Language, Vol. 19,
No. 3 (Jul. - Sep., 1943), pp. 221-229" ke mutaabiq suurat-i-Haal yih
hai. "The OP stem h(i)zbana- has an extension, as compared with Av.
hizva-, which still remains in MPers. zuban zaban, the prior vowel of
which is anaptyctic. ...".

"anaptyxis" is the insertion of a short vowel between consonants in
order to make a word easily pronouncible. Therefore, it appears that
the "zabar" and "pesh" vowels are two ways to facilitate the
pronunciation. Perhaps even a "zer", in theory, could be equally
"correct". However, if the speakers of the language have only been
using the "zabar" and "pesh", then the "zer" can not be deemed
correct.

KHair-andesh,
Naseer

Naseer

unread,
Feb 2, 2008, 4:00:17 PM2/2/08
to
janaab-i-Zafar Sahib, aadaab 'arz hai.

On Jan 2, 1:20 am, Zafar <ZaffS...@gmail.com> wrote:

> asl meN baat ye hai k Hindustan meN jo Farsi aayi hai, wo ba raah e
> raast Iran se naheeN aayi bal k Afghanistan aur wasti Asia se aayi
> hai. phir jab Iran meN 16 sadi meN Safwi hukmraanoN ke zair e asar
> "the great vowel shift" huwaa to Hindustani Farsi par us kaa asar
> naheeN huwaa.

kyaa aap is "great vowel shift" par kuchh raushanii Daal sakte
haiN?

Naseer

0 new messages