mahfil meN aaj kal maashaa.allaah Khuub raunaq hai. aap sab kii
ijaazat ho to maiN bhii kuchh pesh karne kii sa.aadat haasil kar luuN!
:) leejiye, ek Ghazal haazir-e-Khidmat hai. hameshaa kii tarah, aap
kii aaraa kaa intizaar rahegaa.
Ghazal
aa jaa, ki iztiraab meN hai jaaN tire baGhair
hotaa nahiiN sukuun kaa saamaaN tire baGhair
kahne ko be.shumaar nazaare haiN yaaN, magar
dunyaa dikhaayii detii hai veeraaN tire baGhair
dil.kash hai rang-e-Ghuncha na pur.kaif buu-e-gul
kis kaam kii hai fasl-e-bahaaraaN tire baGhair!
tere hii ruKh ke nuur se qaayam thii us kii taab
maddham hai, dekh, maah-e-daraKhshaaN tire baGhair
jaise kitaab-e-dahr pe ik harf-e-naa.tamaam
kyaa hai miraa vujuud, mirii jaaN! tire baGhair
sab kuchh ho paas, tuu jo nahiiN hai to kuchh nahiiN
Khaalii hai mere shauq kaa daamaaN tire baGhair
jab tuu milaa to jaise kinaaraa milaa mujhe
thii zeest ek mauj-e-pareshaaN tire baGhair
tuu saath thaa to maiN ne tirii qadr hii na kii
phirtaa huuN aaj Khvaar-o-pashemaaN tire baGhair
manzar tirii vidaa.a kaa ab bhii hai saamne
tham sii gayii hai gardish-e-dauraaN tire baGhair
ye mojazaa nahiiN to bhalaa aur kyaa hai phir
zindah huuN aaj bhii maiN, sanam! haaN, tire baGhair
ai jaan-e-shaadmaanii-o-ishrat! chalaa bhii aa
:Abid: hai ranj-o-Gham se hiraasaaN tire baGhair
niyaazmand,
Irfan :Abid:
Irfan Sahib,
aadaab,
This particular ghazal is absolutely brilliant! samajh meiN nahiiN aa
rahaa k kis kis sher par daad duuN, so puurii ghazal par hii
mubaarak_baad de rahii huuN. It has really touched my heart!
aur is ghazal ko pa.Dhne ke baad maiN apne puraane mashware vaapas le
rahii huuN. ab to yeh kehnaa chaahuuNgii k jin ke liye bhii aap_ne yeh
ghazal kahii hai, unheN ek baar zaruur sunaa diijiiye, meraa daavaa
hai k ise sun_ne ke baad voh Khud-b-Khud hii khiNchii chalii aayeNgii.
Want to bet?!
vaise dil yeh bhii chaah rahaa hai k aap isii mood meiN kuChh din aur
raheN, taake aisii hii behtariin ghazaleN hotii raheN, aur ham sunte
raheN!!
Either way, I wish you well,
________________Zoya
aap kee Ghazal se meHzooz.o.mustafeed hu'aa. yeh Ghazal aap ke
maKhsoos raNg.e.taGhazzul kee aChhee tarjimaanee kartee hai. meree
jaanib se daad qubool farmaa'iye! aap kee taakeed per iss Ghazal ko
apnee nigaah kee bajaaye aap kee nigaah se dekhne kee koshish kee hai
aur nateejatan ziyaada kuChh kehne kaa maqaam naheeN reh gayaa! ab yeh
pata naheeN k yeh Khud mere Haq meiN kaisaa hai!
do baateN arz karooN to shaayad naa.munaasib naheeN hogaa:
she'r #3 meiN aap ne :raNg.e.Ghuncha: likhaa hai. aik to Ghunche kaa
raNg bohat hee pheekaa hotaa hai aur voh khil kar hee apnee
Khoobsooratee dikhaataa hai. doosre :Ghunche: kee umoomiyyat aur :gul:
kee Khusoosiyyat iss kee mutaqaazee hai k koyee aur lafz istai'maal
kiyaa jaaye, maslan:
dilkash hai raNg.e.laala, na purkef boo.e.gul
she'r #4 meiN aap ne kahaa hai k :maah.e.daraKhshaaN: kee raushnee
:maddham: hai. jab chaaNd :daraKhshaaN: hai to raushnee maddham
kyoN.kar ho saktee hai? aap yeh to keh sakte haiN k uss kee raushnee
:maddham: ma'loom hotee hai. lekin yeh ishaara zaahir naheeN hai.
mumkin hai k aap yehee kehnaa chaahte hoN aur iss kaa ishaara
samajhnaa qaaree per ChhoR diyaa ho.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Zoya sahiba, aadaab!
inaayat kaa, hameshaa kii tarah, bahut bahut shukriya! yaqeen jaaniye,
aap kii haslaa.afzaii se behad Khushii hotii hai.
> aur is ghazal ko pa.Dhne ke baad maiN apne puraane mashware vaapas le
> rahii huuN. ab to yeh kehnaa chaahuuNgii k jin ke liye bhii aap_ne yeh
> ghazal kahii hai, unheN ek baar zaruur sunaa diijiiye, meraa daavaa
> hai k ise sun_ne ke baad voh Khud-b-Khud hii khiNchii chalii aayeNgii.
> Want to bet?!
>
lagtaa hai ki ab na sirf aap ke mashvire par amal.pairaa honaa
paRegaa, balki is amr ke nataaij (hopefully positive!) bataur subuut
aap kii Khidmat meN pesh karne hoNge! :) baharhaal, aap kii raae kaa
shukriya!
> vaise dil yeh bhii chaah rahaa hai k aap isii mood meiN kuChh din aur
> raheN, taake aisii hii behtariin ghazaleN hotii raheN, aur ham sunte
> raheN!!
>
> Either way, I wish you well,
>
> ________________Zoya
ek baar phir, navaazish kaa shukriya!
niyaazmand,
Irfan :Abid:
muhtaram Sarwar Sb, aadaab!
aap kii muhabbat hai ki mujh naacheez kii raae ko aap ne
qaabil-e-Ghaur-o-amal jaanaa. Ghazal pasand farmaane kaa bahut bahut
shukriya!
> do baateN arz karooN to shaayad naa.munaasib naheeN hogaa:
>
> she'r #3 meiN aap ne :raNg.e.Ghuncha: likhaa hai. aik to Ghunche kaa
> raNg bohat hee pheekaa hotaa hai aur voh khil kar hee apnee
> Khoobsooratee dikhaataa hai. doosre :Ghunche: kee umoomiyyat aur :gul:
> kee Khusoosiyyat iss kee mutaqaazee hai k koyee aur lafz istai'maal
> kiyaa jaaye, maslan:
>
> dilkash hai raNg.e.laala, na purkef boo.e.gul
>
aap kaa mushaahidah bajaa hai. :laala: :Ghunchaa: se bahtar hai.
> she'r #4 meiN aap ne kahaa hai k :maah.e.daraKhshaaN: kee raushnee
> :maddham: hai. jab chaaNd :daraKhshaaN: hai to raushnee maddham
> kyoN.kar ho saktee hai? aap yeh to keh sakte haiN k uss kee raushnee
> :maddham: ma'loom hotee hai. lekin yeh ishaara zaahir naheeN hai.
> mumkin hai k aap yehee kehnaa chaahte hoN aur iss kaa ishaara
> samajhnaa qaaree per ChhoR diyaa ho.
>
yahaaN bhii aap ne jo farmaayaa, durust hai. taaham yahaaN maiN ne ek
riaayat se kaam liyaa hai, jis se shaayad is tarkeeb kaa javaaz nikal
aaye. baaz cheezoN (aur insaanoN) ke naam ke saath un kii ek maKhsuus
aur sab se numaayaaN sifat juR jaayaa kartii hai, go vo sifat un kii
zaat se kabhii kabhaar Ghaayab bhii paayii jaatii hai. yahaaN muaamial
ain yahii hai.
> Sarwar A. Raz "Sarwar"
ek martabaa phir, aap kii tavajjah aur sitaaish kaa shukriya!
niyaazmand,
Irfan :Abid:
bahut hii behtareen Ghazal hai. paRh ke be_hadd mehzuuz huwaa aur har sher
pe be_saaKhta waah nikal aayaa. bahut Khuub!
saath hii saath Sarwar saahib ke bhii nuqte paRe aur hameshaa kii tarhan
siikhne ko milaa. maah-e-daraKhshaan ke sher ko jub maine paRaa tha go to
mujhe jo suujhaa woh bayaan kar detaa hoon, ke shaayad aisa lage ke iss
tarhan bhii sher paRaa jaa sake aur phir matlab ziyaada saaf lage: angrezii
men "in the heat of the moment" ka ek jumla hai jo kuch hadd tak aap ke sher
ko pakaR men le aataa hai. woh aise ke uss ke Khuubsuurat lagne kii wajha
yeh thii ke woh chaudvii kii raat ko milaa/milii thii. tub chaand ke nuur se
uss ke ruKh kii taab thii (Theekh waise jaise ke suuraj kii roshnii se
chaand kii taab hotii hai). ab jub woh shab, woh lamha nahiin to
"maah-e-daraKhshaan" maddham yaa pheekii lag rahii hai. daraKhshaan phir
ba_jaa iss liye ke pichle misre kii taab kii taraf ishaara hai aur uss maah
kii sifat ka darja haasil kar letaa hai. kya Khayaal hai?
kuch anaap_shanaap bol diyaa hai to ma'azrat.
Nahyan Fancy
"Irfan 'Abid'" <i_a...@hotmail.com> wrote in message
news:632bac0b.03030...@posting.google.com...
Nahyan Sb, aadaab!
Ghazal par izhaar-e-pasandiidagii kaa shukriya! :maah-e-daraKhshaaN:
vaale sher kaa jo matlab aap ne aKhz kiyaa hai, taqreeban durust hai.
yahaaN yahii muraad hai ki chaaNd kii taab kaa zareeya mahbuub ke ruKh
kaa nuur hai, aur mahbuub kii Ghai.haazirii meN chaaNd maaNd paR gayaa
hai. baqaul-e-Sarwar Sb, ye savaal zaruur zahn meN aa saktaa hai ki
maaNdgii kii haalat meN chaaNd ko daraKhshaaN kahnaa durust hai yaa
nahiiN. is kii tafseel maiN un ko javaab meN bayaan kar chukaa huuN.
ek baar phir, aap kii sitaaish kaa shukriya!
niyaazmand,
Irfan :Abid:
aap kee yeh beHadd Haseen Ghazal nazar aayee---ise sunaane
kaa bahut bahut shukriyaa! har she'r bahut pasaNd aayaa,
Khaas taur par yeh---
i_a...@hotmail.com (Irfan 'Abid') wrote in message news:<632bac0b.03030...@posting.google.com>...
> aadaab, dosto!
>
> mahfil meN aaj kal maashaa.allaah Khuub raunaq hai. aap sab kii
> ijaazat ho to maiN bhii kuchh pesh karne kii sa.aadat haasil kar luuN!
> :) leejiye, ek Ghazal haazir-e-Khidmat hai. hameshaa kii tarah, aap
> kii aaraa kaa intizaar rahegaa.
>
> Ghazal
>
> aa jaa, ki iztiraab meN hai jaaN tire baGhair
> hotaa nahiiN sukuun kaa saamaaN tire baGhair
vaah!! matla' *bahut* achchhaa hai!
>
> kahne ko be.shumaar nazaare haiN yaaN, magar
> dunyaa dikhaayii detii hai veeraaN tire baGhair
Beautiful!
>
> dil.kash hai rang-e-Ghuncha na pur.kaif buu-e-gul
> kis kaam kii hai fasl-e-bahaaraaN tire baGhair!
>
> tere hii ruKh ke nuur se qaayam thii us kii taab
> maddham hai, dekh, maah-e-daraKhshaaN tire baGhair
bahut Khoob!
>
> jaise kitaab-e-dahr pe ik harf-e-naa.tamaam
> kyaa hai miraa vujuud, mirii jaaN! tire baGhair
>
> sab kuchh ho paas, tuu jo nahiiN hai to kuchh nahiiN
> Khaalii hai mere shauq kaa daamaaN tire baGhair
>
> jab tuu milaa to jaise kinaaraa milaa mujhe
> thii zeest ek mauj-e-pareshaaN tire baGhair
>
> tuu saath thaa to maiN ne tirii qadr hii na kii
> phirtaa huuN aaj Khvaar-o-pashemaaN tire baGhair
>
> manzar tirii vidaa.a kaa ab bhii hai saamne
> tham sii gayii hai gardish-e-dauraaN tire baGhair
>
> ye mojazaa nahiiN to bhalaa aur kyaa hai phir
> zindah huuN aaj bhii maiN, sanam! haaN, tire baGhair
vaah!
is mazmoon par Ahmad Faraz saaHab kaa ek she'r suniye---
kitna aasaaN tha tire hijr meN marnaa, jaanaaN!
phir bhi ik 'umr lagee jaan se jaate jaate!!
>
> ai jaan-e-shaadmaanii-o-ishrat! chalaa bhii aa
> :Abid: hai ranj-o-Gham se hiraasaaN tire baGhair
>
maqta' bhee bahut Khoob hai!
itnee Khoobsoorat Ghazal sunaane kaa ek baar phir shukriyaa!
With best regards, aap kee aglee Ghazal kaa muntazir,
Jasho.
>
> itnee Khoobsoorat Ghazal sunaane kaa ek baar phir shukriyaa!
> With best regards, aap kee aglee Ghazal kaa muntazir,
>
> Jasho.
Jasho Sb, aadaab!
inaayat kaa bahut bahut shukriya! aap kii daad mil jaatii hai to
lagtaa hai ki paise (read mahnat) vusuul ho gaye! :)
niyaazmand,
Irfan :Abid: