asal mein sister ager ye samajh liya jaye k saas apni maan ki misel hay to bohat se masail hal hosaktay hain afsos ham is soch ko nahi apnatay to hamaray muashray mein her ghar mein taqreeban ye jhagray aam hainsab se pehlay sister ap ne jo ye suna k susral walon k koi huqooq nahi hotay to sister dar asal susral walon ki khidmat farz ya wajib nahi mager shoher k walidain or behan bhai honay k natay wo bahoo or bhabi k husn e sulook k mustahiq hain,
5 wan swal jo ap ne kiya k ager shoher force karay kaam keernay k liye to ager sister ager shoher k ghar walon ko apnay ghar walon ki tarah (saas ko maan ki jaga ,nandon ko behnon ki tarah) samjha jaye to kaam kaaj kerna phir to koi mushaqqat lagay ga hi nahi akhir maikay mein shadi se pehlay bhi to larki saray ghar k kaam kaaj kerti hi hay sara ghar sanbhalti hay han laikin ager ap ki sahet ijazat na day or bardasht se barh k kaam ka bpjh ho to shoher ko narmi or hikmat e amali k sath samjhaya jasakta hay or jab ap ameer e ahlesunnat ki di gai hidayat jo main ne ooper likhi hain un per amal karen to susral walay bhi ap k sath naram par jaingay or jab ap ki taraf se husn e sulook ka muzahira hoga to yaqeenan wahan se bhi ap ko acha responce hi milay ga bas sister bohat saber or hkmat e amali k sath apna maqam banana perta hay aik dafa jab ap sab k dil jeetnay mein kamyab hojaingi na to zindagi guzarna bohat asan hojayega inshaAllah.
is k liye aqal aur hikmate amli sai kaam laina bohat zaroori hai kah ghussa ,josh aur zidd sai ghar nahin bastay . piar ,muhabbat aur husne salook sai hi apni jagah banaye jati hai aur yah sab karnay kai liye bohat sabar aur tuhammal ki zaroorat hoti hai ALLAH simi sister ki mushkilaat ko asan farmaye ameen
sister islam isi tarah her kisi se husn e sulook ka dars deta hay to susral walon ko bhi chahiye k bahoo ko apna samjhain us ko nokrani na samjhain saas ager bahoo ko beti ki tarah samjhay gi to is se bhi kai masail hal hosaktay hain yani ye muaamla 2non taraf se hi hay saas bhi bahoo ko maqam de us ko mahabbat de isi tarah bahoo ko bhi chahiye k saas ki izzat karay apni maan samajh ker gharaz ghar bananay ya bigarnay mein in 2no oraton ka hi kirdar hay ifham o tafheem se hi masail hal hotay hain.
Allah pyaray aaqa k sadaqay mein hamari tamam maaon behnon ko aik doosray k sahih huqooq o faraiz ada karnay ki madani sa'adat ata farmaye or hamain aik doosray k sath husn e sulook kernay ki tofeeq ata farmaye or sister ap k tamam masail hal farmaye
to sister main ne sirf isi baat ko paish e nazer rakh k simi sis ko mashwera diya tha k bahoo ko husn e sulook or be intiha saber se kaam laina hoga kion k sister ghar bigarna to chutkiyon ka kaam hay aik minute nahi lagta bigarnay mein mager ghar basana or dilon ka jeetna asan nahi is k liye bari mehnat derkar hay.
or ye baat waqai ap ne bilkul sahi kahi k susral walon ko bhi larki k sath husn e sulook se paish ana chahiye ye baat main pehlay bhi arz kerchuki hoon k saas or bahoo yehi dono fareeq hain jo ghar banati ya bigarti hain.
Allah pyaray aaqa k sadaqay mein hamari tamam maoon behnon ko aik doosray k sath husn e sulook se paish anay ki tofeeq de or hamaray dermyan se bughz keena ,hasad badgumani in tamam buri adaton ko door farmaker husn e zan ki naimat ata farmaye
aa06259810