Jawab e Shikwa ( Des- Pardes) Worth reading. by me and my frnd

6 views
Skip to first unread message

SYED WAYEZ

unread,
Jul 27, 2011, 5:41:18 PM7/27/11
to wayez friends group


It became as about  like a funny shaeri competition between me and my friend adil, which i thought is worth sharing.

Its a Funny Shaeri conversation started with a Shaeri Posted as Wall Photo by adil, in which he describes his longing to return back to USA, being presently in India.
Which was replied in funny way by me and made a  good stuff with replies worth reading.. ENjoy Maddies...


Jawab-e-shikwa.png


    • Baadshah Salamath . 
      JAWAB E SHIKWA: LOL

      Bhul gaye ho tum paat desh ki dhaat ka
      Ghada hogaya na ghar ka na ghat ka

      Kyun desh inko pyara hai, kyun pardes hi sahara hai?
      Hiris hai ye paisay ki, nahi to kyun sirf Engineer hi bechara hai?

      Flag ko kartay hain kiss pardes ko kartay hain miss
      Desh se mohabbat ki qatam hogai inko hiss

      Desh ki namak mirchi se jo apna aahankar paya
      pardesh k peekhey khanay kha kar isko gawaya

      Ambition inka banna Abcd hai
      Kya hamaray kaan mein bidi hai?

      Bus to tha rupaiyya kyun dollar k pechay bhaga
      Jana jab barkat nhi dollar mein to ab kyun sapne se jaga?

      Pyar mila izzat mili desh mein bus garmi se ye satayagaya 
      pardes mein zillat,mental pressure mila kya ye kabhi batayagaya?

      Mere lafzaoun ki bus itni si kahani hai..
      Desh hi meri saans aur desh hi meri zindagani hai

      -Syed Wayez
      Main shaer to nahi.
      3 hours ago ·  ·  4 people
    • Adil Pervez 
      Jawab – e – shikwa – reloaded.

      Nahi ki humne Ghustaaqi desh ki shaan mein
      Maza alag hai pyaare pardes ki udaan mein..

      Public se ikattha kar ke paisa, khela hai IPL
      Job ke liye jaao tho dete hai BPL

      Videshi vastu istemaal karta saara sansaar hai
      Apne desh pe tho Politicians ki maar hai..

      Pardes mein status aur dollar ka sawaal hai 
      Population, Pollution aur Politicians ne kiya bura haal hai..

      Karte hain izzat desh ki, gaate hain watan ka gaana
      lekin rashtr tho bant chuke hain kabi andhra tho kabhi telangana..

      Sapnon ko humne humesha rupaiyya se sajaaya
      lekin zaroorat pe sirf dollar hi kaam aaya..

      Pyaar aur izzat k liye intezaar kiya desh mein..
      Jab ungli uthayi hum pe tho bachaya pardes ne..



      -----------Adil
      2 hours ago ·  ·  3 people
    • Baadshah Salamath . 
      JAWAB E SHIKWA- Again Dominated

      Kehtay hain gustaqi nahi ki humney desh ki shaan mein
      Kam nahi ye bewafai? Pardesi mohabbat hai ab hindustan ki jaan mein

      Bhulatay ho Cricket Vishwa cup,IPL ko bhulatay kyun nahi?
      Job k liye jatay hain kyun, job ko apne qadmaoun bulatay kyun nahi?

      Videshi vastu istemal kar k bhi videsh k gun gata nahi koi baar baar
      Ye hai agar desh pe politicians ki mar to hai ye voters ki haar.

      Race hai chuhaun ki pardes , des kamyabi ki dastak 
      Mantey hain hum b Problem sirf p se hi nahi,hain A se Zee tak 

      Ab jo ho kaamil AP, ya ho Andhra ya Telangana
      Gatay hain wahi desh ka gana na k pardes ka gana

      Zaroorat pe kaam aanay se dollar rupayya nahi hojata
      Bacchey paida karney padtey hain, goud leney se koi baap nahi hojata.

      Pyar aur izzat ko na pehchan paya, Jo bhi paya kya kam paya
      Ek ungli uthi aur, samna kiye bagair tunay desh ko peet dikhaya..

      _Syed Wayez
      Main shaer to nahi
      2 hours ago ·  ·  3 people
    • Adil Pervez 
      Jawab – e – shikwa – punar janam

      Likh raha hai who jo kama raha hai videshi mode mein
      maza aaraha hoga kisi aur ki godh mein .

      Jab experience pe ho videsh ki mohar, tho job khadmoun mein aata hai
      warna phukat mein koi riyal kamaane nahi jaata hai...

      population se humko hataane ka kiya hai politicians ne daawa...
      Phir bhi kar rahe hain hum is desh ki wah wah ..

      Humne vides jaakar hai desh ka bhaav badhaaya 
      jab khud politicians ne is desh ko peeth dikhlaaya..

      hum bhi chaahte hai ki rupaiiye ki jai jai kaar ho..
      Dum( tail) hilaate ajaayenge jab Dollar ki pukaar ho..

      apne desh mein bhi tho kapaas( cotton) khoob pikta hai..
      lekin videsh mulk ka label ho tho kapda dhada dhad bikta hai..

      hum tho dil mein liye ghumte humesha desi gaana...
      15th august ko hi nahi desh waasi kehlaana...

      --------------------Adil
      about an hour ago ·  ·  3 people
    • Baadshah Salamath . 
      Jawab e Shikwa - Janam Janam

      Likh raha hai wo jo pardes mein hai aur dil jiska desh mein hai.
      Maza nahi kisi aur k godh mein, jo hai maa k godh mein uska dil kyun pardes mein hai?

      narayan murty, Ambani, Azmi premji kisi ko videsh ki mohar nahi
      lakhoun hai aur bhi , phr inko videshi mohar ki kyun Shaour nahi?

      Politicians kahay ya kahay koi , Koi kya humko hataye?
      Wo shama kaun bujhaye jisay Quda jalaye?

      Humne videsh ja kar desh ko Human resource giraya.
      Uska faida Pardes aur Politions ne uthaya.

      Subah ka suraj, Rupaiyye ki jai jai kaar dekhnay ki qwahish ho agar.
      Jaago subah,na pardes mein din mein so rat mein jaag jaag kar?

      Apne des kapas pikta hai, Pardesi label se bikta hai.
      Kyunki Ap jaisey desi diwan ko sirf pardes dikhta hai.

      Dil mein pardesi mohabbat rakh k na des ka gana gana
      Zahir bhi wahi Baatil bhi wahi to hi tumka hindustani jana jana.

      - Syed Wayez
      Main Shaer to Nahi..
      about an hour ago ·  ·  1 person

--
Keep in touch. Am not miles away, am just a mail away.  
-----------------------------------------------
Syed Wayez Ahmed
Software Analyst & Consultant.
Riyadh. Kingdom Of Saudi Arabia.
Fax@ Dnt do plz save Paper save trees so email instead
http://wayezquotes.blogspot.com
=====-----=====-----=====
Notice: The information contained in this e-mail message and/or attachments to it dosent have any confidential or privileged information. If you are not the intended recipient, any dissemination, use, review, distribution, printing or copying of the information contained in this e-mail message and/or attachments to it are not at all prohibited. If you have received this communication in error,it means it has virus in it.if your computer is affected then please notify me by reply e-mail or telephone and immediately so that i will be happy . Thank you

Jawab-e-shikwa.png
Reply all
Reply to author
Forward
0 new messages