Mujhay Suljhao Ab Jana'n Hay mujh ko yaad aay humdum

171 views
Skip to first unread message

Zunaira Aleem

unread,
Aug 16, 2013, 3:36:31 PM8/16/13
to vu-...@googlegroups.com, vugu...@googlegroups.com, vup...@googlegroups.com, dare-a...@googlegroups.com

ujhay Suljhao Ab Jana'n Hay mujh ko yaad aay humdum


Mujhay Suljhao Ab Jana'n

Hay mujh ko yaad aay humdum

Tum har ik baat pay mujh say

Ye he ik baat kehtay thay

Rahoo tum mutma'in jana;n

kay ab tum Sirf maree ho

Tumharee har khushe,har dard

Har ehsaas Meraa hai

Jo tum Mehsoos kartee ho 

Mujhay Maloom hota hai

Tumhain jo Ghum ho gar Jana'n

tou maree Aagahee mujh ko

Bara baychain kartee hai

Tumharee Ankh say ansoo tapakta hai

Tou uss ka Num

Maree Ankhain bhigota hai

Tumhain ab apnay baray mein

Zara Bhi Fikr karnay ki

Zaroorat he nahin jana'n

"kay meraa masaala ho TUm"

Magar jab aj Aay Humdum

yaqeen-o-Bay-yaqeeni mein

Ulaajh kar rah gaee hon tou

Baray he maan say janaa'n

Tumharee Oor taktee hon

Mujhay iss bay-yaqeeni say 

Nikaloo gay tumhee aa kar

Mujhay Thokar lagee hai tou 

Sambhaloo gay tumhee aa kar

Mein jitnee bhi ulaajh jaon

Tumhain maaloom hai sab kuch

Kay kaisay, kab ,kahan pay

Konsee girhaa khulay ge aur

Sulaajh jayin ge sab batain

Tou phir kis sooch mein gum ho!!

Chalay aao na ab jana'n

Maree iss khasta halee say

Na yun katraoo Ab Jana'n

"Tumhara masa'la hon MeiN"

Mujhay Suljhao Ab Jana'N!!
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 10:30 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: NAZAM

Wo khoon ker ke umeedon ka muskurate hain


Wo khoon ker ke umeedon ka muskurate hain
Ye log sheher ke kyun mujh ko aazmate hain,

Darra rahe hain ye qaberon ke mujh ko sannatay,
Ye zakhm kaise hain mujh ko sada rulatey hain ,

Main jab hanson meri palkein bhi bheeg jati hain,
Ye mere lab,meri Aahein bohat chhupate hain,

Kabhi tha surkh gulaabon ka musam aangan mein,
Ye zard pattay teri yaad ab dilatey hain 

Ana ke butt mein sisakti hai hasraton ki laash ,
Ye tere waday tou pagal mujhe banatey hain...
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 10:28 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

Uss chand ka door nagar main basaira rehnay laga



Uss chand ka door nagar main basaira rehnay laga.
Phir shaam se apnay mann main andhaira rehnay laga.
ujri hui galiaan chup chup pairr satanay lagay.
dukhi jee k behlnay k saray bahanay thikanay lagay.
bara taroon bhara sahi khoob basa sahi neel gugan.
kiyoon chand ki khoj main khoya rahay bhatka hua mann.
aag ki aanch pe khud ko hamesha jalaya karein.
subah talak yoon poh raat ka saath nibhaya karein.
iss aag k hathoon ujaray nagar abaad hain ban.
kiyoon chand ki khoj main khoya rahay bhatka hua mann.
Dil aap hi aap kurhta rahay faryaad karay.
kiya qaol o qarar huay thay kahan tak yaad karay.
jab hum ne kaha tha dikhna bhool na jana hamain.
bhala kis ne kaha tha samjho na tum begaana hamein.
hamein yaar raha tumhain yaad nahi woh aik wachan.
kiyoon chand ki khoj main khoya rahay bhatka hua mann.
ab khat na sandaisa na batain na mulaqatain hain.
bas jaltay sulgatay din hain to be kal si ratein hain.
aor dil ka yeh haal k aor kurhay samjhanay per.
hum khud bhi bohat heraan hain iss dewanay per.
iss mann ko laga andar bhi gehan aor bahir bhi gehan.
kiyoon chand ki khoj main khoya rahay bhatka hua mann.
Is kheil main hum haan haar gaye wohi jeet gaye.
woh jo daur bhula k preet gaye sub beet gaye.
Ab jeetay hain per iss zindgi main ab na rang na raas.
sukh chain ki ik ghari ko gai hai jaan taras.
baray khoob hain log k khush hain aor khud main magan.
kioon chand ki khoj main khoya rahay bhatka hua mann.
jo beet gai so beet gai ab haal e dil kiyoon kehtay hain.
raat main andhairay aor din main dard kioon sehtay hain.
mann ke andar mann k bahir pal pal bechain rehtay hain.
jo dil ko hum sambhalain to tap tap aansoo behtay hain.
apnay dil ki dharknoon ki bas ek hi hai dhun.
kioon chand ki khoj main khoya rahay bhtka hua mann
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 10:23 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: NAZAM

Kabhi zard ruton say bhi poochna



Kabhi zard ruton say bhi poochna
Keh ju-e-wafa kay thay jo merhalay
Sang-e-aastaan thaa jo ghuroor ka
Woh jo paabajola-e-rasm thi
Ussay kis zakham nay dubo diya
Dil-e-daaghdaar nay wisaal-e-yaar mai
Guzaaray hain jo rattjagay woh kis
Kis muqaam mai jaa basay
Kabhi zard rutton say bhi poochna
Keh patton kay chatakhnay say jo siskiyaan si goonjti theen
Woh kab, kahaan, kis pal, hijr say jaa mileen
Woh jo aas ki pazmurda si shaakh thi
Woh kis nokeelay khuwaab kay baar say jaa jhuki
Kabhi zard ruton say bhi poochna
Kay hawaa-e-dasht ki sarsaraahat
Mai kaifiyyat-e-bahaar thi, woh kis pal
Dasht-e-sansanaahat mai dhal gaee
Woh jawaar-e-manzil say jo lurrhaktay
Sisaktay musaafir thay aakhir woh kis
Panaah-gaah mai jaa chuppay
Woh jo fasl-e-gul ki mehdood-o-masdood si kalyaan theen
Woh kis khizaan mai badal gaeen
Kabhi zard ruton say bhi poochna
Keh intezaar kay Dastay naag ka taryaaq hay kiya?
Neend say bojhal band aankhon mai dard ki chubbhan si hay kiya?
Aur kabhi fursat milay to khud say bhi poochna
Keh muhabbat aur nafrat kay maabain muslehat
Ki chaader hay kiya?
Haan kabhi zard ruton ki ot mai khud say bhi poochna
Kabhi zard ruton say bhi poochna
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 10:20 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: NAZAM

Qalam Chalta Hai To Dil Ki Awaz Likhta Hon


Qalam Chalta Hai To Dil Ki Awaz Likhta Hon.
Ghum Aur Judai Ke Soz-o-Saaz Likhta Hoon.

Mere Aansuon Ka Girna Bekar Mat Samajhna.
Main Uski Guftugo Ka Andaaz Likhta Hoon.

Log Pochtey Hen Mere Bikhar Jane Ka Sabab.
Main Usko Ek Bohot Bara Raaz Likhta Hoon.

Ruktey Nahi Hen Meri Aankhon Se Aansu.
Main Jab Bhi Uski Yaad Main Alfaaz Likhta Hon.

Jab Bhi Zikar Aataa Hai Meri Tanhaai Ka.
Main Isko Muhabbat Ka Aaghaz Likhta Hoon
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 10:18 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

Khaali kaaghaz pe hurf sajaaya karta tha


Khaali kaaghaz pe hurf sajaaya karta tha
Tanhaai main sheher basaaya karta tha 

Kaisa paagal shakhs tha saari saari raat
Deewaaron ko dard sunaaya karta tha

Ro deta tha aap hi apni baaton par
Aur phir khud ko aap hansaaya karta tha

Jalnay lagti laho main judaai to ro daita
Tanhaaion ki khaak uraaya karta tha

Chehray say tera rog chupaata to hans daita
Aankhon main teri yaad manaaya karta tha

Yaaro be waqt hua pyaar usay lay dooba
Jo logon ko pyaar k gur sikhaaya karta tha..
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 10:16 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

Ye mujhe jehd-e-musalsal jeza deti hai


Ye mujhe jehd-e-musalsal jeza deti hai,
Zindgi roz meri umer ghata deti hai.

Door tek ret ura kerti hai sehra main,
Yad uski wahin phool khila deti hai.

Thaam ker haath kabhi saath chalo jeb unke,
Toot ker need mera haath chura deti hai.

Lori de de ke sulati hai, thakaan mushkil se,
Haibet-e-rizq saher main hi jaga deti hai.

Roz ek deep jalata huin, uski khatir,
Roz zalim hawa usko bujha deti hai.
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 10:12 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

Mere humsafar teri berukhi dil-e-mubtala ki shikast hai

Mere humsafar teri berukhi dil-e-mubtala ki shikast hai
Isse kis tarha main kahoon fatah yeh meri anna ki shikast hai

Tu chala gaya mujhe chor ker maine phir bhi tujh ko sadaaein dein
Mere HUMSAFAR tu ruka nahi yeh meri sada ki shikast hai

Tujhe la k dil main bitha diya tujhe raaz har eik bata diya
Tune phir bhi koi wafa na ki yeh meri wafa ki shikast hai

Mian charag-e-khoona mizaaj tha tujhe bijliyon ki talab rahi
Mujhe aandhiyon ne bhuja diya yeh meri ziya ki shikast hai

Mujhe iss tarha na satao ge mujhe zoam tha k na aao ge
Mera ghalat wehm-o-gumaan hi meri inteha ki shikast hai

Mujhe koi tujh se gilla nahi tu mila tha kab k bichar gaya
Mere jurm ki hai yeh saza yeh meri saza ki shikast hai

Meri khamoshi k byaan ko tu samjh k bhi na samjh saka
Mere aansoon k pyaam hi dil-e-benawa ki shikast hai

Ghum-e-dastaan-e-hayaat k sabhi tazkare hoe rayegaan
Mere charagar tera yeh hunar meri har dua ki shikast hai

Mujhe razmagah-e-hayaat main youn kabhi na koi gira saka
Teri khamoshi ki pukar hi meri ibteda ki shikast hai
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 10:09 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

Wohi qissay hain wohi baat purani apni


Wohi qissay hain ,wohi baat purani apni 
Kon sunta hai bhala ram kahani apni

Har sitamger ko ye hamdard samajh leti hai,
Kitni khush-feham hai kambakht jawani apni,

Roz miltay hain darechay mein naye phool mujhe,
Chorrh jata hai koi roz nishaani apni 


TumSe Bichrey Hain To Paya Hai Biyanbaan Ka Sakoot
 Warna Daryaon Se Milti Thi Rawani Apni


Dushmano'n se hi gham-e-dil ka madawa mange'n
Dosto'n ne tou koi baat na maani apni

Aaj phir chand ufaq per nahin ubhra Mohsin
Aaj phir raat na guzrey gi suhaani apni
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 10:01 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

Hijr mosam main ye barish ka barasna kesa


Hijr mosam main ye barish ka barasna kesa
aik sehra se sumander ka guzrna kesa

ay mere dil na pareshan ho tanha ho kr,
wo tere sath chala kab tha bicharrna kesa

log kehte hain k gulshan ki tabahi dekho,
main to veeran sa jungal tha ujarrna kesa

dekhne main to koi dard nahi dukh bi nahi,
phir ye aankhoon main yun ashkoon ka ubhrna kesa

bewafa kehne ki jurrat bi na krna us ko,
us ne iqrar kiya kb tha mukarna kesa
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 9:56 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

Hai yeh haqeeqat tum say milnay k baad say


Hai yeh haqeeqat tum say milnay k baad say
K ek pal bhi main tujhay bhula na paaon ga

Duniya ki rangeeniaan hain logon k liyay dil fareb
Magar meri jaan main tujhay bhula na paaon ga

Na jaanay kitnay log apni qismat azmaa gay
Unhain kya fahm k main kahin na aaon ga

Bewafaai to meri lughat main shaamil nahin
Agar wafa kahay to usay lughat main laaon ga

Koi Mohabbat ka darya agar tum baha do
Kashti chor kar main doob jaaon ga

Kisi din apni baahain khol kar to dekh
Main us main aankh band kar k sama jaaon ga

Is tarah dila diya tumhain yaqeen muteeb nay
Meri jaan kabhi tumhain main bhula na paaonga
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 9:50 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

Kahin Se Tera Sath Lai Aon Wasal Ki Chand Raat Lay Aon


Kahin Se Tera Sath Lai Aon
Wasal Ki Chand Raat Lay Aon

Beth Jaon Kise Dorahay Per,
Mang Ker Tera Hath Lay Aon,

Kitni Sadiyon Kay Bad Bolon Mai,
Lab Pe Bas Ik Teri Hi Bat Lay Aon,

Apni Ankhon Ki Band Galiyon Se,
Ansoun Ki Barat Lay Aon,

Itni Pooja Karon Kay Mai Ik Din,
Apni Zaat Mai Teri Zaat Lay Aon,
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 9:40 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

Dil mein tera khiyal hai ab bhi


Dil mein tera khiyal hai ab bhi,
Jaise koi malaal hai ab bhi ,

Mujh se kehtey hain kya lab-e-khamosh,
Honton pe ye sawal hai ab bhi ...,

Main jo be ekhtiyar hansti hon ,
Tera hi ye kamal hai ab bhi ,

Mosam-e-bewafai ke sar per,
Tere wadon ki shaal hai ab bhi,

Doulat-e-jazb aur khazana ishq,
Iss ka ye sara maal hai ab bhi
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 9:18 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

aaj bohat dino'n baad suni hai barish ki awaz


aaj bohat dino'n baad suni hai barish ki awaz
aaj bohat dino'n baad kissi manzar nay rusta roka hai
rim jhim ka malboos pahan kar yaad kissi ki aaye hai
aaj bohat dino'n baad achanak aankh younhi bhar aaye hai
aankh or manzar ki wusat main charon janib barish hai
aur barish main door kahin ek ghar hai jis ki
aik aik eent par teray meray "khwab" likhay hain
or is ghar ko janay wali kuch galiyan hain
jis main hum dono'n kay saaye tanha tanha bheeg rahay hain
darwazay par qufl para hai or dareechay soonay hain
deewaron pay jammi hoye kaaii main chup kar
mousam hum ko dekh rahay hain
kitnay badal hum dono'n ki aankh say ojhal
baras baras kar guzar chukay hain
aik kammi si aik nammi si
charon janib phail rahi hai
kai zamanay aik hi pal main
baham mil kar bheeg rahay hain
andar yaadain sookh rahi hain
bahar manzar bheeg rahay hain..
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 9:15 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: NAZAM

Kash kisi roz shaam k waqat sooraj k araam k waqat



Kash kisi roz shaam k waqat
sooraj k araam k waqat
mil jaye saath tera
haath main le kar haath tera.
door kahin tanhai main.
dunya se judaai main.
apnay sang bithaaoon tujhay.
dil ka haal sunaoon tujhay.
teri izzat ihtraam karoon.
teri haath ki lakeeroon main.
talaash apna naam karoon.
issi waqat iraada karain.
phir milnay ka waada karain.

Kissi roz shaam k waqat 
sooraj k aaraam k waqat.
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 9:13 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: NAZAM

mushkil hai ab shahar me.n nikale ko_ii ghar se


mushkil hai ab shahar me.n nikale ko_ii ghar se
dastaar pe baat aa ga_ii hai hotii hu_ii sar se

barasaa bhii to kis dasht ke be-faiz badan par
ik umr mere khet the jis abr ko tarase

is baar jo indhan ke liye kaT ke giraa hai
chi.Diyo.n ko ba.Daa pyaar thaa us buu.Dhe shajar se

mehanat merii aa.Ndhii se to manasuub nahii.n thii
rahanaa thaa ko_ii rabt shajar kaa bhii samar se

Khud apane se milane kaa to yaaraa na thaa mujh me.n
mai.n bhii.D me.n gum ho ga_ii tanhaa_ii ke Dar se

benaam musaafat hii muqaddar hai to kyaa Gam
manzil kaa ta'yyun kabhii hotaa hai safar se

pattharaayaa hai dil yuu.N ki ko_ii ism pa.Dhaa jaaye
ye shahar nikalataa nahii.n jaaduu ke asar se

nikale hai.n to raste me.n kahii.n shaam bhii hogii
suuraj bhii magar aayegaa is raah-guzar se
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 9:12 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

Ab na aansoo hain, na aaina kaheen meray qareeb


Ab na aansoo hain, na aaina kaheen meray qareeb
Na wo mehfil hai mohabbat ki 
Na wo manzar hai kaheen
Dil e betaab ko jo wajah tasalli ban jaye
Saaye ki tarah larazta hai, magar milta nahi
Dil khizan ka hai koi phool keh jo khilta nahi
Ik safar manzil e benaam ki khatir ker kay
Janay kis mor pe hum aaj rukay hain phir se

Ik safar manzil e benaam ki khatir ker kay
Janay kis mor pe hum aaye keh mur ker dekhain
Tu koi raah, na dildaar, na khushboo koi.
Aik sannatay ki aawaz musalsal goonjay
Uthti hai dil se meray lau dhuwain ki tarah
Ik dhundalkay main chupa leti hai manzar saray.
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 9:11 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: NAZAM

Ek jabr hai ab ahsaas-e-wafa bhi ye dil me basana theek nahin


Ek jabr hai ab ahsaas-e-wafa bhi ye dil me basana theek nahin
Ab saaz-e-dil afsurdah per, is geet ko gana theek nahin

Tum bhool chuke ye sab behtar ,tum chor chale ye aur acha
Khwabon mein mager majbooron ke ye aana jana theek nahin

Keh do ke nahin hum mil sakte, keh do ke koi majboori hai
Lekin ye labon tak la la ker, baton ko chupana theek nahin

E shooq-e-junoon ab baaz bhi aa, kuch maan bhi le tu mera kaha
Jo jaan ke bhi anjaan bane,gham usko sunana theek nahin

Ab chor bhi do deewana pan, ab bhool bhi jao maazi ko
E 'shams' ye pal pal khilwat mein ashkon ka bahana theek nahin...!
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 8:50 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa


tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota

ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota

ye kahaaN ki dostee hai ke bane haiN dost naaseh
koee chaarasaaz hota, koee GHamgusaar hota

kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai
mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 8:39 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

Naqsh-e faryaadi hay kis ki shokhi-ye tehreer ka


Naqsh-e faryaadi hay kis ki shokhi-ye tehreer ka
kaghazi hay pairahan, har paikar-e tasweer ka

kave kave sakht jaani hi tanhaai na poch
subha karna shaam ka lana hay jo-e sheer ka

jazba-e be- ikhtiyaar-e shouq dekha chaheye
seena-e shamsheer sey bahar hay dam shamsheer ka

Aagahi daam-e shunidan jis qadar chahey bichaay
mud'da'a anqa hay apny aalam-e taqreer ka

bas k hoon Ghalib, aseeri main bhi aatish zair-pa
moe aatish deeda hay halqa meri zanjeer ka
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 8:33 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

Ye Pyara sa jo RISHTA hai Kuch mera hai, Kuch tera hai


Ye Pyara sa jo RISHTA hai
Kuch mera hai, Kuch tera hai
Kahin Likha nahi,
Kahin Parha nahi,
Kahin Dekha nahi,
Kahin Suna nahi,
Phir bhi jana pehchana hai,
Kuch Mera hai, Kuch tera hai,
Kuch mausam sa,
Kuch ulbela sa,
Kuch apna sa,
Kuch begana sa,
Kuch mera hai, Kuch tera hai,
Kuch chanchal sa,
Kuch sharmila sa,
Kuch shokh sa,
Kuch sanjeeda sa,
Kuch mera hai, Kuch tera hai,
Kuch uljha howa,
Kuch suljha suljha,
Kuch masti bhara,
Kuch khafa khafa,
Kabhi maan dya, Kabhi aitabaar kya,
Sub kuch is per vaar dya,
Kuch mera hai, Kuch tera hai,
Ye Pyara sa jo RISHTA hai,
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 8:26 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: NAZAM

Bichde Hue Logon Ki Sadayen Rula Deti Hai


Bichde Hue Logon Ki Sadayen Rula Deti Hai
Kuch Parda Nasheeno Ki Adayen Rula Deti Hai 

Kisi ko Raas Aa Jaati Hai Baddua Doston
Aur Kisi Ko Apno Ki Duaen Rula Deti Hai

Woh Shaakh Se Toote Hue Badnaseeb Patte
Jinhe Har Mausam Mein Hawaein Rula Deti Hai 

Kisi Ko Dosh Na Do Uski Bewafai Ka
Chahne Walon Ko Apni Hatheli Rula Deti Hai

Hazar Gham Sehkar Bhi Khud Rehti Hai Kaheen
Aise Wafa Shaar Logon Ko Wafayen Rula Deti Hai
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 8:21 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

Main bhi chup ho jaunga bujhti huyi shamm'oN ke saath


Main bhi chup ho jaunga bujhti huyi shamm'oN ke saath
Aur kuchh lamhe thehar...E Zindigi...E Zindigi

Jab talak zinda hain Ankhon ke Furdah Taqche
Neelgon honthon se phutegi sadaa ki Raushni
Jism ki girti huyi deewar ko thaame huye
Mom ke but aatishiN chehre sulagti murti
Meri beenayi ki ye Makhlooq Zinda hai abhi

Aur kuchh Lamhe thehar....E Zindigi....E Zindigi

Ho to jane de mere lafzon ke maani se tahii
meri tehreereN, Dhuyen ki rengti parchhayiyaN
Jinke paikar apni awazon se khali belahu!
Mehav ho jane to de yaadon se khwabon ki tarha
Ruk to jayen aakhri sanson ki wehshi Andhiyaan
Phir haat lena m,ere maathey se tu apna haath
Mai bhi chup ho jaunga bujhti huyi shamo ke saath

Aur kuchh Lamhe thehar....E Zindigi....E Zindigi!!!
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 8:18 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: NAZAM

Lakh Chaha Magar Wo Muje Bhula Na Saka


Lakh Chaha Magar Wo Muje Bhula Na Saka
Mere Khayal Wo Dil Se Kabhi Mita Na Saka,

Mujse Wo door Bohat door ho Gaya Tha Magar
Apni Ankhon Se Mere Chehray ko Hata Na Saka,

Mujse Wo Doori Barhana Chahata Tha
Per Kabhi Wo Mujse Door Ja Na Saka,

Kitnay Shikway hein Os Key Dil May Mere Liay
Chah Kar Be Kabhi Wo Mujhe Bata Na Saka
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 8:17 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

Koi mera bhi to ho saath nibhanay ke liye


Koi mera bhi to ho saath nibhanay ke liye
Mujhe maangey KHUDA se apna bananey ke liye

Mere aansoo meri palkon se churanay ke liye
Bas wohi ho mujhe seenay se laganey ke liye

Yun to hain chahnay walay bohat se dunya mein
Nahin hai koi magar saath nibhanay ke liye

Din bhar khwaab jo tootay thay samaitay humne
Phir so gaye naye khwaab sajanay ke liye
Roz ik Jehd-e-Musalsal mein lagi rehti hoon


Meri saanson ki rawaani to faqat dhoka hai
Haan main zinda hoon magar sirf dikhanay ke liye...
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 8:15 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

Jo Log Chahty Hain Wo Main Kar Nahi Sakta


Jo Log Chahty Hain Wo Main Kar Nahi Sakta
Khud Ko Juda Tum Sy Kabhi Main Kar Nahi Sakta

Tery Yad Hay To Jeeny Ki Aas Hy Hamein
Tery Yad Ko Pal Bhar Juda Main Kr Nahi Sakta

Tum Roth Gaey To eya Hoa Mehbob To Mery Ho
Sar-E-Aam Tumhain Ruswa Main Kar Nahi Sakta

Badlla Kisi Say Laeiny Waly Hum Nahi 
Jo Tum Ny Keeya Wo Kabhi Main Kr Nahi Sakta
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 8:12 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

Tumhain maloom hai hum nein


Tumhain maloom hai hum nein .
Kisi ke hijer main yeah zindagi kaisay guzari hai.
Her ik khushboo ki ahet per.
Gumaan us ka guzrta tha.
Her ik sa"at yeah dil ankhoon main aa ke beth jata tha.
Kaye pahloo badlty sa"atien hathoon ko philaye.
Dua main mangty aur hanpty dil se guzrti thien…
Magar jo hijer lahaq hai .
Wo jisem O jaan ki diwarien girata hai.
Umeed O beem ki ankhoon se binaai ke saray.
Mazroon ko.
Khak kerta aur mitata hai.
So hum bhi khak hain,
Aur khak ki taqdeer main likha gaya hai be aaman rahna...
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 8:11 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: NAZAM

Tere jaisa mera bhi haal tha na sukoon tha na qaraar tha


Tere jaisa mera bhi haal tha na sukoon tha na qaraar tha
Yehi umr thee mere hamnasheen ke kisi se mujh ko bhi pyar tha

Main samajh raha hoon teri kasak, tera mera dard hai mushtarak
Isi gham ka tu bhi aseer hai isi gham ka mai bhi shikaar tha

Faqat aik dhun thee ke raat din usi khaabzaar mai gum rahen
Wo saraapa aisa suroor tha wo khumar aisa khumar tha

Kabhi lamhe bhar ki bhi guftgoo meri us ke saath na ho saki
Mujhe fursaten nahee mil sakin wo hawa ke rath pe sawar tha

Hum ajeeb tarz ke log thay ke hamare aur bhi rog thay
Main khizan mai uska tha muntazar use intizar-e-bahaar tha

Use padh ke tum na samjh sake ke meri kitaab ke roop mai
Koi qarz tha kai saal ka kai ratjagon ka udhar tha
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 8:10 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

Jo main na rahun, aankhon main aansoo na bharna tum


Jo main na rahun, aankhon main aansoo na bharna tum 
Is dil pe hai bas naam tumhara, yeh yaqeen rakhna tum 
Main hoon tere sath, tu humraah hai mere har qadam 
Door ho kar bhi kahan ek doosre se hain door hum 
Guzarta har pal, har lamha tere aur qareeb kar deta hai 
Saanson ki yeh dor teri saanson ke sang jod deta hai 
Mere humdum, mere humnawa, pyar tera, meri zindagi 
Khuda ke baad, main karun dil se bas teri hi bandagi!!
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 8:07 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: NAZAM

Tum Mohabbat bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho


Tum Mohabbat bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho
Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho, 

Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain,
Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho, 

Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho,
Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye Jate Ho, 

Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte Ho,
Miloon To Paas Se ChupChaap Guzer Jate Ho, 

Lakh mosam ki tarah rung badalte raho,
Aaj bhi toot k shiddat se humein chahte ho
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 8:05 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

Meri jaan sochti hoon main Agar tum mil na paaye to


Meri jaan sochti hoon main
Agar tum mil na paaye to
Tumhari yaad ko dil se
Bhala kaise bhulaoongi
Jo mausam sang tere beetay
Unhain kaise bhulaoongi
Andheri raat mein jugnu
Bhala kaise jalaungi
Meri jaan sochti hoon main
Tumhein kaise bhulaoongi
Likha jo naam hai dil per
Ussay kaise mitaoongi
Jo aadhi umer jeeni hai
Woh main kaise bitaoongi
Meri jaan sochti hoon main
Tumhein kaise bhulaoongi
Teri yaadein jo aayengi
Mujhe pal pal rulaayengi
Mere aanchal ko khenchengi
Mujhe kuchh gud-gudaengi
Meri jaan sochti hoon main
Tumhein kaise bhulaoongi
Jo batein tum se karti hoon
bhala kis ko bataungi
Naya jab shair likhungi
To main kis ko sunaoongi
Meri jaan sochti hoon main
Tumhein kaise bhulaoongi
Meri jaan, jaan lo tum bhi
Tumhein na bhool paoongi ...
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 8:03 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: NAZAM

Hum gharibon ko tu sheeshon k agr ghar dega


Hum gharibon ko tu sheeshon k agr ghar dega
Waqt zaalim hai har ek haat mai pathar dega

Apni hi zaat ka jo sb se bara dushman ho
Kon ose apni hateli ka muqadar dega

Ab yahi soch k baarish ki dua maangta hon
Koi badal kisi dehra ko samandar dega

Ye parinde b chale jainge hijrat kar k
En ko b gonsle kab koi bana kar dega

Aao ghar lot chalain shaam se pehle Maqbool
Kon barsaat mai foot paath pe bistar dega.
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 8:03 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

Aaj jab teri be-rukhi dekhi zara si baat par


Aaj jab teri be-rukhi dekhi zara si baat par
To yeh soch betha k tum woh nahin rahi

Tasawwar main dooba tha pahli nazar main
Nazar daalon to kyun k tum woh nahin rahi

Aur jab guftugu kar daali tum say har mozuu pe
Aaj guftugu be unwaan k tum woh nahin rahi

Aaj bhi agar muskura don dil pe pathar rakh k
Hanstay honton pe aansoo girta hai k tum woh nahin rahi

Pahlay agar dil khol kar dekha hota tum nay
Aisa kabhi na tha k tum woh nahin rahi

Tera choti baaton ko lay kar takraar karna
Yeh to aaj hua yaqeen k tum woh nahin rahi

Apna hum safar chuna tha tujhay magar ab
Chorna paray ga rastay main k tum woh nahin rahi
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 8:02 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

jab koi zikar ho judai ka ya kissi kee bewafai ka


jab koi zikar ho judai ka
ya kissi kee bewafai ka

ya mosaam aik dam badley
koi awara badal achanak barsey

koi mily ya phir bhichrey
jab koi ajnabi haans key boley

piyaar jataey jhoot boley
tab yaad bohat tum atey ho

jab saans kee door kaheen tootey
jab koi kissi ko tanha chorey

dil kissi ka tootey
koi beech manjhdaar tanha jab kissi ko chorey

jab nao kissi kee doobey
jab be aas kissi kee tootey
han such

tab yaad bohat tum atey ho
tab yaad bohat tum atey ho
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 8:01 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: NAZAM

na woh milta hai na milny ka ishara koi


na woh milta hai na milny ka ishara koi
kaisy umeed ka chamky ga sitara koi

hadd sy ziadah na kisi sy bhi muhabat karna
JAAN leta hai sada JAAN sy pyara koi

bewafai k sita tumko samajh aa jaty
kash TUM jaisa agar hota TUMHARA koi

chand ny jagty rehny ka sabab poocha hai
kiya kahein toot gaya khuwab hamara KOI..

sab taluq hain zarurat k yahan per MOHSIN
na koi DOST,na APNA , na SAHARA koi
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 7:52 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

Itna to mere haal pe ehsaan kiya karo


Itna to mere haal pe ehsaan kiya karo,
Aankhon se mera dered pahchaan liya karo.

Koi saath de safer main, bahut thak gaya hoon,
Kuch pal hamare saath bhi guzaar liya karo.

Afsanai mohabbat ko kabhi na chorna,
Her jurm - E- wafa mujse bayaan liya karo.

Muddet hui is aas pe ke tumara humnawa huin,
Bhule se hi kabhi mera naam zuban pe liya karo.

Tum apni jaat se wabesta ker do mujhe bhi,
Ho ger khafa mujse, yuon terpaya na karo 
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 7:51 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

Dil-o-nigah nay apna tumhi ko maana tha


Dil-o-nigah nay apna tumhi ko maana tha 
wagar-na saath hamaray tu ik zamana tha

Bus yehi soach kar hum nay bicha diyae aansoo!
kay bazm-e gham ko kisi taur tu sajana tha

Abhi say qurbatain furqat main kio badal daalien 
Abhi tu mosam-e jaana bohut sohana tha

mere shajar! yeh shikway shikayatain kaisi
woh musafir tha usay loat kar tu jaana tha

Jo zindagi ko nay zakhm day gaya hay Zafar
kisay batain kay woh doast ik poraana tha
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 7:44 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

Tum meray khayaalon main ho zara dekho to



Tum meray khayaalon main ho zara dekho to
Meray aansoo kuch kah rahay hain 

Mujhay choro na is naazuk mor pe be aasraa
Meray aansoo kuch kah rahay hain

Mujhay itni takleef na do roz har baat pe
Meray aansoo kuch kah rahay hain

Faqat zindagi ka sadqa samajh k sun lo
Meray aansoo kuch kah rahay hain

Itna sakht dil na kar betho k
Meray aansoo kuch kah rahay hain

Yeh raasta ishq ka chor don ga main magar
Meray aansoo kuch kah rahay hain

Na suno magar sunnay walon k liyay
Meray aansoo kuch kah rahay hain

Sama'at say be behra tum ho yeh duniya nahin magar
Meray aansoo kuch kah rahay hain

Aaj sirf is baat ka iqraar to karti chalo
Meray aansoo kuch kah rahay hain
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 7:38 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

Muhabbat ho bhi jaay to, rafaqat ho nahi sakti



Muhabbat ho bhi jaay to, rafaqat ho nahi sakti 
Kise ka lab hela deyna ijazat ho nahi sakti 

Hamary bad bhi tum ko koi itna kabhi chahay 
Hamare aankh ka anso shekayat ho nahi sakti 

Koi harfay tasali hi jawaban keh deya hota 
Kisi ke yaad mian tanha riyazat ho nahi sakti 

Tumhi ko dil say bas chaha tumhara nam bas socha 
Tumharay bad pher ham say yeah chahat ho nahi sakti
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 7:31 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S

Wo Jo Dawey Dar Hai Shehar Mai K Sabhi Ka Nabz Shanas hoon


Wo Jo Dawey Dar Hai Shehar Mai K Sabhi Ka Nabz Shanas hoon
Kabhi Aa Key Mujhse To Pochta K Mai Kis K Gham Mai Udass hoon 

Yeh Meri Kitab-E-Hiyat Hai Ise Dil Ki Aankh Se Parh Zara
Mai Warq Warq Tere Samne Tere Ru Baru Tere Pass hoon

Yeh Teri Umeed Ko Kia Hua Kabhi Tune Ghour Nahi Kia
Ksi Sham Tune Kaha To Tha Teri Sans Hun Teri Aas hoon

Yeh Teri Judai Ka Gham Nahi K Yeh Silsiley To Hain Roz K
Teri Zaat Is Ka Sabab Nahi Kai Din Se Yunhi Udass hoon

Ksi Or Ki Ankh Se Dekh Kar Mujhe Aise Wase Laqab Na Dey
Tera Aietbar Hun Jan-E-Man Na Guman Hun Na Qayas hoon?
POSTED BY FAYSAL'S POETRY AT 7:29 PM 0 COMMENTS LINKS TO THIS POST
LABELS: GHAZAL"S
Subscribe to: Posts (Atom)

POPULAR POSTS

FAYSAL'S POETRY TOTAL PAGEVIEWS

4,186,164

SEARCH THIS BLOG

free counters
WWW.FAYSAL'S POETRY.BLOGSPOT.COM

FOLLOWER FRIEND


FAYSALS POETRY LABELS

FAYSAL BLOG ARCHIVE

usne Pucha mafhoom-e-ghalat fehmi main ne kaha tum se umeed-e-wafa rakhna***

ABOUT ME

My Photo
FAYSAL'S POETRY
Mohabbat, Hijar , Nafrat, Sab Mill Chuke Hain Mujhe Main Ab Takreban Mukamal Ho Chuka Hoon!!
VIEW MY COMPLETE PROFILE


LIVE

Free Web Counter 

NOW ONLINE

-- 
MCS 1st semester
Reply all
Reply to author
Forward
0 new messages