Assalam-u-Aliekum,
Arshia Malik & Syed Zahid Abbas Shah
Ap log jis baat mein uljhe hoey ho is ka sedha sa jawab hai Hum
Musalman hain or hamre leye rahnumai ka zaraya Quraan or Hadees hai jo
k her lehaaz se mukamal hai ager kisi cheez ka ziker Quraan or Hadees
mein nahi or hum us ko maan lain tu is ka matlab k Nauzbilah Quran Or
Hadees galat hain ? Insaan, Farishte, Jinaat, Hewaan, Shetaan, bejaan
her cheez ka ziker Quran Or hadees mein ho gaya to periyon ka kiuon
nahi ager in ka wajood hota to he hota na or aik baat or aj kal insaan
ye soch rahe hain k kisi or siyare per koi or makhlooq hai to ye bhi
galat hai ab kiamat tak is dunaya k elawa kisi or jaga koi makhlook na
hai na he ho gee or insaan jitni koshish ker le k wo kahin or ja ker
bus jay to asa arzi ho sakta hai mustakil nahi ho ga ager asa hon hota
to Quran mein zaror hota kiuon k Allah to wo hai jo ane wale waqat ko
Janta hai or ye waqat ki qaid hamre leye hai US k leye nahi or zahid
sahab ap ko musalman hote hoey asi cheez per yaqeen kerna jis ka hame
batay he nahi gaya i think k app apne imaan ko mazboot kerain or ager
kisi ne bhi aj tak pari ko dekha ho to plz mujhe zaror batana ye sirf
aik khiali cheez hai k aik khobsorat larki numa pari ho ge or us k
kandhon per do per hon gay just khiali dunaya ye khial insan or
firishte ko soch ker banaya gaya hai bus is k elawa is ki koi haqeeqat
nahi Allah ne insan ko aqal de or Aqal walon k leye Quran or hadees he
kafi hai .
On Sep 27, 9:31 pm, arshia malik <
arshia.mal...@gmail.com> wrote:
> *kia parion ka koi wajod hy *
> *Quran man jinat ka zikar hy jin man achay aur buray dono hain .aur wo aag
> say banay *
> *farshoton ka zikar hy k wo nooe say bana hain ........*
> *likin parion ka kahin zikar nae hy*
> *kia parian hain ? ya yah sab yunhi man ghart qasay kahnian hain *
> *plz batian ga*
>
> --