Yaad Phir Mujh Ko Wo Aanay Laga
Jis Ki Her Baat Mehaz Khushboo Hay
Aap Say Tum,Tum Say Phir Tu Kehna
Baat Hi Baat Main Dil Ki Aarzoo Kehna
Meray Ihsas Pay Cha Gya Hay Yun
Mujh Ko Deewana Bana Gya Hay Yun
Her Taraf Uska Aks Hay Ab To
Jaisay Mujh Main Saman Gya Hay Wo
Uski Sergoshiyan Hain Chaaron Taraf
Aur Kuch Sunnay Ko Hay Na Kehnay Ko
Zindagi Par Kitab Likhungi.
Us me sare hisab likhungi.
pyar ko waqt guzari likh kar chaton ko azab likhungi.
huee barbad mohabbat kese.
kese bikhrain hain khawab likhungi.
apni khawish ka tazkira kar ke us ka chera gulab likhungi.
Or main us se judaie ka sabab apni kismat kharab likhungi.
Koi tumse puche kon hoon main
Tum keh dena koi khaas nahi
Ek dost hai kacha paka sa
Ek jhoot hai aadha sacha sa
Ek khuwab adhoora poora sa
Ek phooL hai rookha sookha sa
Ek sapna hai bin socha sa
Ek apna hai an dekha sa
Ek rishta hai an jana sa
Haqiqat men afsana sa
Kuch pagaL sa deewana sa
Bas ek bahana achha sa
Jeevan ka aisa sathi hai
Jo door ho k bhi paas nhi
Koi Tumse puche kon hoon main?
Tum keh dena koi khaas Nahi.
Us ne kaha Ab B Tum Phool kharidte Ho?
.
Mane kaha Tere Baad in Me khushbo Hi Nahi
.
Us ne kaha Ye Udasi Q Ha?
.
Mane kaha Tere Gham k Siwa Kuch Bi Nahi
.
Us Ne Kaha Mere Baad Kisi Se Mohabat Ki?
.
Mene Kaha Ye Lafz Meri Zindgi Me Shamil Hi Nahi
Main chashm-e-tasswor se aksar.
Bus tumko daikhta rehta hun.
Tm pass raho ya door raho
Nazro0n me samaayi rehti ho.
Main tumko takta rehta hun
Main tumko s0chta rehta hun.
Main aisi Muhabbat karta hun.
Tum kaisi Muhabbat karti ho?
Uskii gali me phir mujhe,ek baar le chalo
Majboor kar ke mujhko, mere yaar aaj le chalo
Shayed ye mera weham ho, mera khayaal ho
Mumkin hay mere baad, use mera ehsaas ho
Pachtaa raha hoga ab mujhe dar se utha kar wo
Baitha ho meri raah me, palken bicha ke wo
Usne bhi to kiya tha, mujhe pyaar, le chalo aaj
Uski gali me phir mujhe, ek baar le chalo
Majboor kar ke mujhko mere yaar aaj le chalo
Shikwa Hai Ab Humko Apni Taqdeer Se
Logon Se Aye Dil Hum Kuch Kaha Nahi Karte
Kar Lete Hai Tanhaiyon Mein Khud Se Hi Baaten
Dard Apne Dil Ka Kisi Se Kaha Nahi Karte
Apne Afsane Ke Khud Hi Malik Hai Hum
Apne Fasane Kisi Se Kaha Nahi Karte
Andhero Se Hi Karli Hai Dosti Humne
Ujale Ab Hamein Bhaya Nahi Karte
Dil Hi Ko Bana Liya Hai Faqat Apna Rafeeq
Sun Lete Hai Sabki Apni Kisi Se Kaha Nahi Karte
Aaj na jane kyun un shabdo se hi chid ho gayi hai mujhe
Itne log hai mere aas paas lekin phir bhi akeli hoon main
Sab kuch paakar bhi jaise kuch adhuri si hoon main
Sapno me is kadar khoi rahi ki sacchai ka pata hi na chal saka
Dekha palat k us ne k hasrat usay bi thi
Hum jis par mar mitey thay muhabat usay bi thi.!
Chup ho gaya tha dekh kar wo bi idher udher
Duniya se meri tarah shikayat usay bi thi
Ye soch kar andheray me galay se laga liya
Raaton ko jaagnay ki to aadat usay bi thi
Wo ro dia tha mujh ko pareshan dekh kar
Us din khul k meri zarorat usay bi thi
Un pathron k saath nibhaani pari usay
Jin se faqat mujhy nahi nafrat usay bi thi..?
bato baton m mhbt is qadar brh gyi
use ab bhool jaen kese itna hosla hi nhi
hr ksi ne hume matlab tak pyar kya
koi hamsafar ban kar sath chala hi nhi
hr koi mri chahat ko mazaq smjta rha
dil m he dard ktna koi smja hi nhi
WO NAHI MERA MAGAR USSE MOHABAT HAI TO HAI
YEH AGAR RASMO RIVAZO SE BAGAWAT HAI TO HAI
SACH KO MAINE SACH KAHA JAB KEH DIYA TO KEH DIYA
AB ZAMANE KI NAZAR MEIN YE HIMAKAT HAI TO HAI.
DOST BAN KAR DUSHMANO SA VO SATATA HAI MUJHE
FIR BHI US ZAMLIM PE MARNA APNI FITRAT HAI TO HAI
KAB KAHA MAINE KE WO MIL JAYE MUJHKO USKI BAHON
MAY DUM NIKLAY ITNI HASRAT HAI TO HAI
SAATH HAI TO ZINDA HU,
MERI SAASO KO USKI ZAROORAT HAI TO HAI
Hum Na Samjhe Sake The Baat Teri Itni Si
Sheeshe Ke Khwab Tod Ti Hai Duniya Pathar Ki
Arzoo Ki To Aaj Humne Yeh Guum Paaye
Dil Ke Hue Tukde Tab Jaana Hai Duniya Pathar Ki
Raha Saaya Mere Saath Par Na Mili Roshni
Umeed Meri Tuti Taab Jaana Hai Duniya Pathar Ki
Rishte Jodne Chale The Hum Pyar Ke
Aakhe Hui Naam Tab Jaana Ki Hai Duniya Pathar Ki
Hum Na Saamjh Sake The Teri Baat Itni Si
Chot Khai Taabhi Yeh Jaana Ki Hai Duniya Pathar Ki
Badnam Zamane main Mohabbat Nahen Karte,
Dil Waly Tu Dushman Se Bhi Nafrat Nahen Karte,
Ek Bar Jisy Chaha Sada Uss K Rahe Phir,
Ham Log Amanat Main Khianat Nahen Karte,
Tanhai Main Karlete Hain Yaad Aansoo Baha Kar,
Zahir Kabhi Ham Apni Ebadat Nahen Karte,
Waqt Aane Par Maaloom Yeh Ho Jaiy Ga Tum Ko,
Ham Sirf Dekhawe Ki Mohabbat Nahen Karte,
Lekhte Hain FAQAT Ek Tumhare Liy Ghazlain,
Har Shakhs Pe ham Aise Enayat Nahen Karte..
Hamara ye tum ko salaam aakhri hai
Suno aj tum se kalaam aakhri hai
Agar ho sake to bhula dena hum ko
Yehi ek chhota sa kaam aakhri hai
Abhi aarzuon k sehra pyase hain
Magar aansuon ka ye jaam aakhri hai
Teri bewafaye ka shikwa aakhri hai
Yehi to wafaon ka inaam aakhri hai
Mariz-e-mohabbat ki aye chaara sazo
Tumhare shehar me ye shaam aakhri hai
Zara dair thehro qazaa k farishto
Labon pe hamara payaam aakhri hai
Koi mil sake ga na Hasrat k jesa
Teri adaon ka ye ghulam aakhri hai