Hadeessharif ke mutabiq namaz parte waqat, na to kahin se kapdey fold honey chahiey, sar par topi bhi honi chahiey, paaon ke darmian taqreeban 4 unglion ka fasla bhi hona chahiey ya phir 1 foot se zayada nahin aur daddi bhi ek muthi se zayada honi chahiey.
ek shaks jis musaley mein namaz parney jata hai wahan par imamat aksar wo log karatey hain jin ki aksar daddi ek muthi se kam hoti hai sar pe topi nahi hoti, ya phir kapdey kahin se fold hotey hai ya phir paoon de darmian 1, 2 foot ka fasla hota hai.
Agar koi aissa shaks imamat karey jiss main ye khamiyan paye jaye tu us ke pihche namaaz nahi padni chahiye. Agar aisa koi shaks masjid main imamat kar raha hai tu foran use us masjid se nikaaliye aur kisi sahi imam ko laye taake logoun ki namaaz tu sahi adaa hojaye.
darasal wahan par koi bhi fix imam nahi rakha ja sakta fund ki kami ki wajah se, aur wahan par am tor par arbi log hi atey hai jo ke imamat karate hain, aur kabhi to un ke ilawa aur koi nahi hota imamat k liye.
Ager Imam Mein Imamat Ki Sharait Nhin Payi Jati Hain Tu Us Ko Namaz Perhana Aur Jisko Malom Hai Uska Perhna Darust Nhin.. Aur Imam Per Sab Ki Namaz Ka Gunah Hoga Key Baghair Masail Seekhey Imamat Ka Musallah Sanbhal Liya Aur Jisko Malom Tha Aur Namaz Perhi Uski Namaz Wajib ul Ae'adah Hai.. Dobarah Perhni Hogi..
Is Liye Imam Ager Aapko Sahi Nhin Milta Tu Aap Jamaat Key Sath Namaz Na Perhein Tanha Perh Lein.. Mager Aisey Imam Key Pechay Namaz Na Perhein Jo Badmazhab Ho Ya Imamat Key masail Ka Ilm Na Rakhta Hoo...
Dar'asal zaid north america mein rehta hai aur wahan par namaz Musal'ah mein pardi jati hai nake masjid mein, aur musal'ah mein taqreeban 5 se 15 tak log atey hain namaz ke liey, un mein se koi hanafi hotey aur koi maliki, lekin qasrat malikion ki hi hoti hai am tor par. ab musal'ah mein differents country's ke log hotey hain, koi pak sai hai, koi hind se hai, koi maroc se hai, aur aissey musal'eh mein koi bhi imam fix nahi kiya ja sakta. lihaza aissi surte-e-hal mein kabhi koi karda ho jata hai to kabhi koi. leikin am tor par wo log us ko kharda kartey hain jo zayada quran janta ho.
kapdey to is liey fold kartey hain kyon k lambe bohat hotey hain, aur waissey bhi jab wo ghar se nikaltey hain unhen thoda hi pata hota hai ke aj namaz mujhe parani hogi wo to ghar se namaz paraney ke liey nikaltey hain imamat ke liey nahi.
ek aur baat, kya koi fatwey ya kissi hadees se yeh sabit kar sakta hai k jab kissi imamat karaney waley ka kapdey fold hon neechey se lamabai ki wajah se,(paint) us ke peechey pardi hui namaz dobara parni hogi?
Aur aap ka jo masla hai ke wahan par imam fund par chalte hain to aap ke wahan area main dawat-e-islami wale tu honge kiyoun ke ye kai mumalik mian hain tu un se ye guzarish kariye aur puri baat bataye imam ke barey main tu wo zaroor wahan par kisi imam ko lagayein ge.
3. Agar khareeb main Ahlesunnat ki masjid ho ya koi sahi imam hoto wahan pade ghar main padne se gunah hoga. Agar aisi masjid ya imam na hotu wo namaaz ghar main hi ada kary gunah na hoga namaaz hojayegi.
Bhai namaaz ki sirf 3 shartein nahi hain kai hain jab tak namaaz ke , wazu ke aur paki ke is jaise tamam masle jo namaaz ke liye zaroori hai un masloun ka jaannah zaroori hai jab ja ke wo namaaz pada sakta hai.
1-) aap ne kaha ke koi hanafi kissi maliki ke peeche namaz nahi pard sakta, kyon? halan k dono sahi aqeedey par hai aur dono hi ahlesunnat se hain. is baat ko aap kissi hadees se sabit kar saktey hai?
kyon ki khana kaba mein jo imamat karata hai, wo imam bhi 4 mein se kissi ek fiqey se hai, farz karein k MALIKI hai, aur baqi jo hanafi, shafi aur hanbali us ke peechey namaz pard rahey hain, un ka kya?
1. Isliye ke wo logoun ka tariqa alag hai aur apna tariqa alag hai har fiqahi masle main ekhtelaf hai is liye un ke piche namaaz nahi pad sakte. G dono hi nahi balke 4 imamoun ko maane wale sab sahi hain aur sab Ahlesunnat hi hain magar in char imamoun ki bich kai fiqahi masle main ikhtelaafaat hain jaise ke ek imam ke nazdeek pure sarka masah karna zaroori hai aur ek imam ke nazdeek sirf kuch baal jhoone se masah hojata hai aur Apne imam ka masla ye hai ke chohtaye sar ka masah karne se masah hota hai.
Tu ab aap bataye ke jab tak chohtaye sar ka masah na karein wazu na hoga tu wo imam ke maane wale sirf kuch baal ko cho lein to un ka tu wazu hogaya magar hamare nazdeek un ka wazu hi nahi howa tu jis ka wazu hi nahi howa us ki namaaz kaise hogi aur imam ki hi namaaz na hoto muqtadi ki kaise hogi. Isi tarha kai masloun main ikhtelaaf hai. ye hi wajah hai ke un ke pehche namaaz nahi hoti.
1. Agar Imam e Azam ke maane wale yani hanafi ke pihche dosre 3 imam ke maane waloun ki namaaz ho jaye gi . Magar hanafi ki namaaz in 3 ke pihche nahi hogi. Aur imam e Kaba ke pihche namaaz nahi hogi alag padna hoga ya alag jamaat bana ke sahi imam ke pihche padiye. kiyoun ke wahan par jo imam hai wo imam e Shafi ke maane wale hai sahed. Tu wahan par aap ko alag namaaz padni hai ye yaad rakhye.
2. Is main maine tu sirf aalimoun se suna hai aur fatwa bhi dekha hai main is par hadees nahi padi isliye main aap ko hadees ke barey main tu nahi bata sakta AGAR KISI ISLAMI BHAI KE PASS HAI TO PLS SHARE KAREIN.
Paint fold kar ke padna makru-e-tehreemi hai isliye Namaaz daurani padegi. Aur taqne ke neeche tak agar hai paint tu waise hi chod dein namaaz hojaye gi ye Makru-e-tanzeemi
hai.is se namaaz hojati hai.
1-) aap ne kaha ke aur 3 imamon ko manane walon ki namaz kissi hanafi imam ke peeche ho jaey gi, merey khial se un 4 mein se 1 imam aissa bhi hai jin k nazdeeq sare sar ka masah karna hoga, lekin hanafi to sirf chotahi sar ka masah karte hai, to phir agar koi hanafi imamat karaey to phir us ki shaks ke nazdeeq jo sare sar ka masah karta hai hanafi ki namaz to nahi ho gi na, lekin apne kaha ke teeno ki ho jaey gi kissi hanafi ke peechey. wo kaissey?
2-) bohat sare log hajh k liey jatey hain aur wo sab namaz ke waqat ek hi imam ke peechey namaz partey hain, kabhi aapne aissa dekha sunna hai k koi hajh k liey gaya aur farz namaz parney k liey us ne koi hanafi imam na milne ki waja se akele hi namaz pard li kyon k khana kaba ka imam hanfi nahi hai. ab kissi ko wahan ki zaban nahi ati to wo bechara kya karey ga, usey to phir akele hi namaz parni ho gi na jamat k saath nahi. kyon k bohat sare log jo haj ko jate hain un mein se aksar ko to yeh bhi nahi pata hota ke imam kissey kehtey hain aur hamara imam kon hai. maaf karna bhai, mujhe aapke jawab mein koi sens nazar nahi a rahi, please dont mind, u r like my brother.
4-) tariqa chahey kissi ka koi bhi ho, important to yeh hai ke namaz parney wala Ahelesunnat se ho aur sahi aqeedey wala bhi ho, aur alhumdulillah 4 imamon ko mananey waley ahlesunnat se hai aur sahi aqeedey waley bhi.
merey khial se 4 imam to iss liey hain na ke nabi paak salalaho alehey wasalam ki sari sunnatein ada ho jayen. example: hamarey aqa salalaho alehey wasalam kabhi naaf ke neechey haath bandetey they aur kabhi seeney ke uper namaz ke waqat, to agar sarey ahelesunnat waley sirf hanafi hotey, tab to sab ne haath naf ke neechey bandaney they, to is tarah se jab nabi paak salalaho alehey wasalam namaz mein haath seeney par rakh kar par partey they to is sunnat par to koi amal na karta na? to issi liey 4 imam hain ta k nabi paak salalaho alehey wasalam ki sari sunnatein ada ho jayen merey khial se.
charon imamon ke chahey tariqey alehda hon, lekin jard to ek hi hai na ke sajda allah ko karna hai, to phir koi kaisse keh sakta hai ke main to hanfi hoon aur meri namaz kissi hanbali ke peechey nahi ho gi.
aap masjid mein jatey hain aur wahan par 10 shafi namaz ke liey khardey ho gaey aur aap ne apni namaz alehda akele parni shuru kar di aur unhon ne jamat ke saath. namaz ke baad unhon ne aap se poocha ke aap ne namaz kyon akele pardi aur aap agar jawab de k mein to hanfi hoon shafi nahi, to zahiri baat hai aap un se qata tualiq kar rahey hain.
3a8082e126