Abhimain Aqaed per hi baat keroon ga aur unn aqaed pr jo ahlehadees aur brelviat k dermian jhagre ka baes hain unn aqaed per apna khayal Quran o Sunnat ki roshni main pesh keroon ga. Sirf thora sa intezar phir aik k baad aik post diff. topics per bhejoon ga jo main likh raha hoon.
Abhi to start hi lia tha aur uss main zara sa bhi kissi ko abuse nahin kia gaya. tum logon main daleel se baat kerne ki himmat nahin. aik aisi post ko bhi delete ker dia gaya hai jiss main koi tanqeed nahin ki gai to phir tab kia ho ga jab tanqeedi baten saamne aayen gi.
Waah Shoaib waah. Pahily to tum ne yahaan par aa kar bola tha k Ahl-e-Hadith par kiya gaye har aitiraaz ka mein jawaab doonga. Phir kuchh hee waqt k ba'ad emotional ho gaye thy. Phir ab waapas usssi baat par aa gaye, jahaan pahily thy.
Hayat-un-Nabi , Haazir-o-Naazir, aur Ilm-e-Ghaib. In Aqaq'id par baat karo, aur apny akaabireen ki kitaabon ki roshini men baat karna. Phir ye mat kahna k "Ismaeel Dehlvi Sahab" ki baat hamary lye hujat nahin hay. Agar aisee hee baat hay to phir us ki kitaab "Taqwiyat-ul-Emaan" aur "Sirat-e-Mustaqeem" (Jo k nihayat hee gandy aur kufriya aqa'ud se bhari pari hain) kyoun abhi tak lakhon ki ta'adaad men chap rahi hain. Agar us ki baat tumhaary lye hujat nahin hay to phir us ki gandi ibaraton k baary men kya kahty ho tum ?
tumhari post delete nahin ki gayi hai balkli unapproved ki gayi hai or fikr na karo wo post delete nahin ki jayegi..ye buzdili sunniyon me nahin...us post ko tab tak unapproved rakha jayega jab tak tum un aqaid par behas puri nahin kar lete jin ka wasta imaan se hai or jin kufriyaat par raazi hony par momin imaan se haath dho beth ta hai. Jin mozu ko tum discuss karna chah rahy ho wo secondry hain unky ikhtelaaafi hony me to koi shak nahin par wo furuhaat me ikhtelaaf hain jaisy Taqleed, Rafa Yden, Isaal E Sawaab etc..Pehly Allah or usky Rasool ki zaat or sifaat se mutalliq tum be deeno ka jo aqeeda hai or tumhary peshwaon ki books me jo gandagi Allah or usky Rasool ke khilaaf chapi hai ya to us par behas karo ya un se apni baraat ka izhaar kar unky khilaaf jo hukm e shariya hai us ko accept karo.
jub Antihadees Munazir Sadiq kohati Shia ho sakta hay tau phir agar koi aisa shakhs jis ko apnay mazhab kay baaray main ilm nahi tau agar aisa barelvi kissi antihadees kay dhokay main aakar Sunni say antihadees hho jaye tau phir iss main kaya tension hay.
aap tau jazbaati ho gaye hain. main nay iss liye raffa yaddain kay liye Qauli Hadees mangi thi kiun keh Muslim Shareef ki saheeh ahadees main RASOOL ALLAH(saw) nay rakoo walay raffa yaddain say manna kar diyya hay.
Hazrat Abdullah Ibne Abbas(ra) aur Hazrat Abdullah Ibne Umer(ra) say riwayat hay .RASOOL ALLAH nay farmaaya keh" 7 jagah haath uthaye jain. Namaz shiru kartay waqt, ka'ba shareef kay samnay munh kartay waqt, Safa aur Marwa ki paharrion par, aur dau(2) moqaf Minna' o Muzdalifa hain aur donon Jamron kay samnay.
iss hadees ko Allama Bazaz nay Almasnad,Imam Ibne Abi Shaiba nay Almusannaf,Imam Bukhari nay alAdab ul Mufrid main, Imam Hakim nay AlMustadrak main naqal ki hay. Imam Baihaqi aur Imam Tahaavi aur Imam Bazzaz nay bhi naqal ki hay. kuch riwayaat main Eidain ki namaz ka zikr bhi aata hay
Hazrat Abdullah Ibne Abbas(ra) aur Hazrat Abdullah ibne Umer(ra) say riwayat hay keh RASOOL ALLAH(saw) nay farmaaya keh 7 muqamat par hath uthaye jain. Namaz start kartay huway,ka'ba shareef main dakhil hotay waqt, Saffa par, amrwa par, Arfat kay maidan main,Muzdalifa main aur rammi jammar kartay huway.
Iss kay ilawa Imam Tibrani nay marfuu'an riwayat kiyya hay keh RASOOL ALLAH nay farmaaya keh 7 jagah haath uthaye jain. Namaz kay shiru main takbeere tehreema kehtay waqt, qunoot ki takbeer kehtay waqt, aur Eidain ki takbeer kehtay waqt, ka'ba shareef main dakhil hotay waqt, Marwa ki paharri par, jub Arfa kay din wuqoof karay aur jamratul Aqba ko rammi karay
baqi yeh keh main uss rafa yaddain ka zikr kar raha hoon jis ko aap Sunnat e Namaz samjh kar rukoo main jaatay aur wapis aatay huway kartay ho.Eidain aur Witr kay rafa yaddain Sunnat e rukoo nahi balkeh Namz e Eid aur Dua e Qunoot ki sunnatain hain. iss liye eid main aik raka't main 3 bar rafa yaddain hota hay aur witr main rukoo say pehlay nahi balkeh Dua e Qunnoot say pehlay hota hay.
jee naaf kay neeche haath bandhnay kay liye tau aap yeh article parhain yeh khaas aap kay liye hee hay jo aap seenay par hath baandh kar kharray ho jaatay ho. inn main bukhari shareef ki ya sehaah sitta main say koi hadees nahi milti.
issi tarah Hadees e fa'li main buhat see aisi cheezain hain jo RASOOL ALLAH(saw) kay liye jaiz hain laikin ummat kay liye najaiz hain. jaisay keh chaar say ziada azwaaj ka RASOOL ALLAH(saw) kay nikah main aik waqt main hona. aur Bukhari shareef main hay keh RASOOL ALLAH(saw) apni nawasi Umama binte Zainab ko utha kar namaz parha kartay thay. laikin iss ko koi bhi apnay liye sunnat nahi samjhta.
Allah ne to Yahood-o-Nisara se kaha hai k "AAo USS KALME KI TARAF JO HAM AUR TUM MAIN MUSHTARIK HAI" to phir ham sab to aik kalma parhne wale hain phir kia ham TAASUB se baalater ho ker Quran-o-Sunnat ki jaanib nahin aa sakte jo hamare dermian mushtarik cheez hai bajae iss k main yeh kehta rahoon k falan Ahlehadees aalim yeh kehta hai buss main to issi ko manoon ga aur Aap main se koi yeh kehta rahe k main to falan Brelvi Aalim ki baat hi maanon ga.
Hamari Dawet sirf Quran-o-Sunnat ko miar banana hai. Abb iss ki buniad per ager Ahlehadees Aalim ki baat Quran-o-Sunnat ke khilaaf ho to uss ki galat ager kissi doosre maslak ke aalim ki baat galat saabit ho to woh galat.
Mujhe ye samajh nahin aati k main ne jo baat ki hi nahin main uss per daleel kion doon? Main ne kissi bhi apni post main Shah Ismail ka koi hawala dia tha jo mujhe un ki ibaaraat ke motaliq bian kerna zaroori hai ya main ne TAQWIAT-UL-IMAAN ki taraf dawet di thi jo main uss ka difa keroon
Main ne jo post ki thi jis ko urra dia gaya yehi thi k Quran aur Sunnat ko apnana chahiye her maamle main chahe woh aqeeda ho ya koi amal. Apni Apni baat per jame rehna aur uss k khilaaf koi baat sunane k liye tiyar hi na hona hergiz faedamand nahin.
Phir dekh lain k mujh se to kaha jaata hai k sirf aqeede per baat ho gi lakin khud RafaYaden per bhi aik Bhai ne bahes ki hai. Abb aap log jo merzi kaho mere per sirf wohi kehna shart hai jo main kehna hi nahin chahta.
Main Aqeede per hi post keroon ga jiss ko galat mehsoos ho woh uss ki Quran o hadees ki roshni main islaah ker de. Lakin baat ko topic ke ander hi rakha jae werna baat ka batanger to ban sakta hai baat nahin ban sakti.
Aik aur baat clear ker doon k Ahlehadees ya Ahlesunnat ka naam istamaal kerna kissi ki malkiat nahin. Ahlehadees hona ya Ahlesunnat hona aap ka aqeeda o Amal batata hai mahez kehne se koi na to Ahlehadees hota hai na Ahlesunnat.
Shoaib Bhai bawujood aap se Ikhtilaaf ke mein ye Accept karta hoon k aap ki niyat mein shak nahi hai,, aap ne doosre maslak ko apnaya hai,, quran o hadees se dalael dekh kar,, magar aap ne 1 ghalti ki wo ye ke pehle aap ko apne maslak ke aqaid k baare mein quran o hadees se dalael apne ulama se poochne chahiye the agar aap ko tasalli nahi hoti to aap kisi or se poochte to baat samajh me aa sakti thi,, hamare jitne sunni hazraat tablighi jamat waghera me ya shia waghera hoe hain,, un sab ne yehi kya tha,, apne maslak k baare mein ilm e deen na hone ki waja se ye samjha k hamare maslak k aqaid o aamaal quran o sunnat se sabit nahi is waja se bechare doosre taraf k molvi se dhoka kha gaye,,
mein ne kab kaha bhai k aap ne shah ismail dehlvi sahab ki koi ibaraat zikr ki hai,, ham ne aap ko ye ibaraat isliye pesh ki hain k ye aap k maslak ki kitab hai,, jo k roz e roshan ki tara wazeh hai,, jis se aap inkaar bhi nahi kar sakte ke ye aap ke maslak ki kitaab nahi,,
agar bil farz aap inkaar karna chahein,, to seedha saadha keh dein k ye baat ghalat hai ya sahi,, agar ghalat hai to mein in ibarato se bara'at ka izhaar karta hoon or hamare maslak ka isse koi taalluq nahi,, jaise misaal k tor per agar aap
hamein TAZKIRA E GHOUSIA,, FAWAID E FARIDIA waghera k hawale paish karein,, to ham bila jhijhak keh sakte hain,, ke naa to ye hamare maslak ki motabar kutub hain naa is ki ibarato se ham muttafiq hain,,, bal ke tazkira e ghousia per to ham ne kufr tak ka fatwa dia hai,, ab aap k saamne do raaste hain,, ya to aap taqwiatul imaan or shah ismail sahab ka difaa karein ya phir un se bara'at ka izhaar kardein,,
per me ye zaroor kehna chahoonga k aap ko aisa kyun lagta hai k Ahle Sunnat Wa Jamaat,, Sawad e Azam Hanfi, Shafi'i Maliki Hanbli k Aqaid o Amaal Quran o Sunnat se Sabit nahi?? agar kisi ko ilm na ho to wo to ye keh sakta hai,, magar mere khayal mein 1 BAa ilm or Hosh mand aadmi aisa nahi keh sakta k Ummat e Mustafa ki Aksariat k Aqaid o Amaal Quran o Sunnat se sabit nahi,, or ye ke Ummat e Mustafa ki Aksariat Gumraah(Jahannumi) Hai,,
me aap se poori tarah ittifaq karta hoon,, k Ahle sunnat lafz kisi ki milkiat nahi,, Ahle Sunnat hona aap ke aqeeda o amaal batata hai,, kehne se koi Ahle Sunnat nahi ho jata,, Jo apna aqeeda Quran o Sunnat wala rakhe Wohi Ahle Sunnat o Ahle Hadees hai baqi sab Zubani Daawe,, or yehi Ahle Sunnat Wa Jamaat Hanfi Shafi Maliki Hanbli kehte hain,,
mein aap ko bataon,, 1 martaba Zakir naik sahab Stage per the or Stage per Sunni Brelwi aalim bhi the,, to jab un aalim sahab ko taqreer ke liye bulaya jane laga to wo Jootiyaan pehne pehne hi aage tashreef le jaane lage un se kaha gaya k Jootiya to yahi chor jaen,, lekar kyun jaa rahe hain,, Allama sahib ne kaha,, k Hadees mein hai k Wahabi Jootiyaan Chura lete hain,, lehaza mein jootiyaa lekar jaa raha hoon,, Zakir naik sahab bole k Wahabi to Huzoor k Zamane mein the hi nahi,, Allama sahab muskurae or Kaha yehi to mein kehna chahta hoon k Aap wahabi hazraat Huzoor k Zamane mein the hi nahi,,
3a8082e126