AakhaySonhray noon waye ni jay tera guzar ho way
Main mar ke vi nain marda jay teri nazar ho way
Dam dam naal Zikar kar un main terian shaman da
Teray nam toon war dian jine meri umar ho way
Dio anyo baitho Rowo Mehfil noon Saja kay tay
Shayad meray Aaqa da aithoon vi guzar ho way
O kisian gharhian san mehman san sonheray da
Dil fir wi kar da aye Tayyibah das afar ho way
Jay jeewan da cha Rakhna toon Rahia Madeenay dia
Sonhray day dawary tay marjawain jisay mar ho way
Kion fikir karain yara masah wi agairi da
O hoon ran satay e Khabran nen jida Sain magar ho way
Aiha dil wich niazi day ik Aas char wakani aye
Sohney day shehar andar meri wi qabar ho way
Aasyion ko Dar Tumhara mil gaya
Bay Thikanooon ko Thikana mil gaya
Fazl-e-Rabb say phir kami kis baat ki
Mil gaya sab kuch jo Taiyybah mil gaya
Un ky dar nay sab say mustagna kia
Bay talab bay khawahish itna mil gaya
Na khudaye kay liye Aaye Huzoor
Doobto niklo sahara mil gaya
Aankhain par nam ho gayen sar jhuk gaya
Jab tira naqsh-e-kaf-e-pa mil gaya
Khuld kaysee kia chaman kis ka watan
Mujh ko sahraye Madeenah mil gaya
Un kay Talib ny jo chaha palia
Un ky sail nay jo manga mil gaya
Teray dark ay Tukrhay han aur man Gareeb
Mujh ko rozee ka Thikana mil gaya
Aye Husun firdos man jayen janab
Ham ko Sahraye Madeenah mil gaya
Aeysa koi Mahboob na hoga , na kahin hay
Baitha hay Chitaye Pe Magar arash nasheen hay
Milta nahin kia kia do jahan ko tiri dar say
Ik lafz nahin hay ke tire lab pe nahin hay
To chahey to har shab ho missal-e-Shab Isra
Tiri lie do char qadam arsh brin hay
Har ik ko mayasar kahan is dar ki gulami
Us Dar ka to darban bhi jibril amen hay
Aye Shah-e-Zaman Ab to Ziyart ka Sharaf day
Bay chain hain Aankhain miri baitab jabin hay
Dil girya kinan aur nazar sooye Madina
Aazam Tira Andaz-e-talab kitna Haseen hay
Ahle-e-siraat rooh-e-ameen ko khabar karain jaati hay ummat-e-nabvi farsh par karain
In fitna haye hashar say kehdo hazar karain nazoon kay paalay aatay hain rah say guzar karain
Bad hain to aap kay hain bhalay han to aap kay tukrhoon say to yahan kay palay rukh kidhar karain
Sarkaar ham kameenoon kay atwaar par na jayen Aaqa Huzoor apnay karam par nazar karain
Un ki haram kay khaar kasheedah hain kis liye aankhoon man aayen sar pe rahain dil man ghar karain
Jaaloon pe jaal parh gay lillah waqat hay mushkil kushaye aap kay nakhun agar karain
Manzil karhi hay shaan tabassum karam karay taroon ki chaawon Noor kay tarhkay safar karain
Kilik-e-Raza hay khanjar khonkhuwaar barq baar aada say kehdo khair manayen na shar karain
Aj sik Mitran di vadheyri ay
kyoun dilri udaas ghaneyri ay?
loon loon vich shawq changeyri ay
uj nainan laiyan kyon jhariyan!
Why is the yearning for the Loved One (RASULALLAHﷺ) especially strong today?
Why is my heart sadder today than even before?
Why does longing penetrate every tissue of mine?
And why are the eyes shedding tears like a shower of rain?
Mukh chan badr sha shani ay
Mathay chamkay lat noorani ay
Kali zulf tey akh mastaani ay
Makhmur ukheen hin madh bhariyan
His shining face appeared to me in a vision,
And fragrance emanated in profusion from His tresses;
I fainted from the sight of these visions;
The beauty of his eyes overpowered me.
Is surat nun mein jaan akhan
jan akhan ke jan-e-jahan akhan?
Such akhan tey Rabb di shaan aakhaan
jis shan toon shanan sab baniyan
I am not sure whether I should call his face the essence of life;
Or life of the entire universe;
The truth is that it is the glory of God,
From which all other worldly glories originated.
Subhan ALLAH! Ma ajmalaka
ma ahsanaka, maa akmalaka
Glory be to ALLAH! There is no one more beautiful than Thee!
No one more excellent than Thee, no one more Perfect!
Kithey Mehr Ali kithay teri sana
gustakh akhin kithey ja ariyan!
Who is (the humble) Meher Ali to chant thy praises;
How (presumptuous and) impudent his eyes are to aspire to the heights of thy love!
Aye Saba Mustafa se keh dena , Gam ke marey Salam kehtay han
Yad kartay han Tum ko Shaam-o-Sahar , Dil hamaray Salam kehtay han
ALLAH ALLAH Huzoor ki batain Marhaba rang-o- Noor ki baatain
Chand jin ki balayen lata hay aur taray salam kehtay hain
ALLAH ALLAH Huzoor key gaisoo bheney bheney Mehkety wo Khushboo
Jis se mamoor hay fiza har soo wo Nizaray Salam kehtay han
Jab MUHAMMAD ka Naam Aata hay Rahmatoon ka Paigam Aata hay Lab hamaray Durood Parhtay hain Dil hamary Salam kehtay han .
Zayer-e-Taiyyba to Madinay main , Piaray Aaqa say Itna keh daina
Aap ki Gird-e- Rah ko Aaqa bay saharay Salam kehtay han
Zikr tha Aakhri Maheenay ka Tazkira chir gaya Madeenay main
Hajyio Mustafa se keh daina Gam kay maray Salam kehtay han
Aye Khuda ke Habeeb Piyaray Rasool ye hamara Salam kijiye Qabool
Aaj Mehfil main jitney Hazir hain mil kay saray Salam kehtay han.
Baad-e-Saba tera guzar gar ho kabhi sooye Haram
Puhuncha Salam-e-shouq to paish-e-Nabi Muhtaram
Jo Zat hay Noorul Huda chehra hay jo Shams ul Dhuha
Aaraz hain jo Badar-ul-Duja Dast-e-Ata Bahar-e-Karam
Ya Mustafa ya Mujtaba ham aasyoon par rahm ho
Hain Nafs-e-Ammarah se Ab Majboor Ham Magloob ham
Quran hi wo burhan hay , jo natiq Adyan hay
Hukum us ka jab nafiz huwa , thay sab Saheefay kalaadam
Chalo diyar-e-Nabi ki janib Durood Lab par saja saja kar
Bahar loutain gay ham karam ki , diloon ko daman bana bana kar
Na un kay jesa sakhi hay koi na un kay jesa Gani hay koi wo hay nwaon ko har jaga say nawaztay han bula bula kar
Main wo nikama hon jis ki jholi main koi husun-e-Amal nahi hay
Magar wo ihsan kar rahay han khatain meri chupa chupa kar
Hay un ko ummat say piyar kitna karam hay Rahmat shiyar kitana
Hamaray jurmoon ko dho rahay han wo apnay Aansoon baha baha kar
Ye hi Asas-e-amal hay meri usi say bigri bani hay meri
Sametata hoon karam khuda ka Nabi ki naatain suna suna kar
Wo rahain ab tak saji hui han diloon ka kaba bani hui han
Jahan jahan say Huzoor guzray han naqsh apna jama jama kar
Agar muquddar nay yawari ki agar madeenay gaya main Khalid
Qadam Qadam Khak us gali ki main choom loon ga utha utha kar
Chamak tujh say patay han sab pany waly
Mera dil bhi chamka day aye chamkanay waly
Barsta nahi daikh kar abr-e-Rahmat
Bandoon par bhi barsa day barsanay walay
To zindah he Wallah to Zindah he wallah
Miray chasham-e-Aalam say chup janay waly
Rahay ga yoon hi un ka charcha rahay ga
Parhay Khak ho jayen jal janay walay
Raza Nafs Dushman hay dam main na Aana
Kahan tum nay daikhay han chandranay walay
Chorh fikr dunya ki chal Madeenay caltay han
Mustafa Gulamoon ki Qismatain badaltay han
Naqsh kar lay seenay par Naam-e-Sarwar deen ka
Ye wo Naam hay jis say sab azaab Taltay han
Sirf saari dunya main wo hay kuch aye AHMAD
Jis jaga ye ham jesay khotay sikkay chaltay han
Aamina kay palay ka kaali Zulfoon waalay ka
Jashan ham manatay han jalnay walay jaltay han
Ham ko roz milta hay Sadqa madeenay walay ka
Mustafa kay Tukrhoon pe Khush Naseeb paltay han
Rahmatoon ki chadar sar pe saye chaltay han
Mustafa kay deewanay ghar say jab nikaltay han
Zikar shah-e-batha ko wird ab bana lijiye
Wo zikar jis say Gam khushi man Dhaltay han
Dar paish ho Taiyybah ka safar kesa lagay ga
Guzrain jo wahan sham-o-sahar kesa lagay ga
Aye piyaray Khuda daikhon main sarkar ka jalwa
Mil jaye dua ko jo Asar kesa lagy ga
Yoon to guzartay han sabhi zindagi lakin
Darbar-e-Nabi main ho basar kesa lagay ga
Taiyybah ki saadat to yoon patay han hazaroon
Murshid kay saath ho jo safar kesa lagay ga
Aye kash Madeenay mian mujhay mout yoon Aaye
Qadmoon main ho sarkar kay sar kesa lagay ga
Jis dar pe shehnshahoon nay bhi daman han pasaray
Har saal wahan jaon agar kesa lagay ga
Paye hay Munawwar nay Qaza dar pe Nabi kay
Aaja kay watan ayesi Khabar kesa lagay ga
sukoon amaiz be qarari
hai meri yaksouyion pay taari
chali buraq kashish pay le kar
rasool akram ki gham gsari
rasai hai bikhat naarsa mein
sira hai ik dastay mstfe? mein
mein dor ka dosra sira hon
dar-e nabi ki taraf chala hon
hayaat ko jis ki dُhn rahi hai
woh qurb ke phool chuun rahi hai
salam ka bhi jawab goya
samaat ishhq sun rahi hai
ab aur kya maangna hai rab se
ke haath bandhay huay adab se
huzoor? ke samnay khara hon
dar-e nabi par pahonch gaya hoon
mein yun dyarِ nabi se Nikla
ke jaisay shola kalie se nikla
liye hue rehmaton ke saaye
mein halqa roshni se nikla
agarchay pi aaya hon samandar
magar barri tashnagi hai andar
mein khush hon lekin bujha bujha hon
dar-e nabi se palat raha hoon
Dushman-e-Ahmad pe shiddat kejiye mulhidoon ki kia murawwat kejiye
Zikr un ka charhiye har baat man chairhna shaitaan ka aadat kejiye
Misl-e-faaris zalzalay hoon najad man zikr-e-aayaat-e-wiladat kejiye
Gaiz man jal jayen bay deenoon kay dil ya Rasool-ul-Allah ki kasrat kejiye
Kejiye charcha unhi ka subuh-o-shaam jaan-e-kaafir par qayamat kejiye
Aap dargaah-e-Khuda man han wajeeh haan shafaat bil wajaahat kejiye
Haq tumhain farma chukka apna Habeeb ab shafaat bilmuhabbat kiejiye
Izin kab ka mil chukka ab to Huzoorham gareeboon ki shafaat kejiye
Mulhidoon ka shak nikal jaye Huzoor jaanib-e-mah phir ishaarat kejiye
Shirk thehray jis man taazeem Habeeb us buray mazhab pe laanat kejiye
Zaalimo! Mahboob ka haq tha yehi ishq kay badlay adaawat kejiye
والضحٰے حجرات الم نشرح say phir Momino ! itmaam-e-hujjat kejiye
Baithtay uthtay Huzoor paak say iltija-o-istiaanat kejiye
Ya Rasool-al-Allah duhaye aap ki goshmaal-e-ahle-e-bidaat kejiye
Gauth-e-azaam aap say faryaad hay zindah phir ye paak millat kejiye
Ya Khuda tujh tak hay sab ka muntaha olya ko hukum-e-nusrat kejiye
Meray Aaqa Hazrat-e-achay miyaan
Ho Raza acha wo soorat kejiey
3a8082e126