::: 3 Shaban ::: Yom-e-Wiladat
Shah-e-Karbala
Nawasay Rasool
Jiger-e-Batool
Syed-u-Shohada
Hazrat Imam Hussain A-S Mubarak
Hussain kiya hay?
Hussain kudrat ki ik kamat, Hussain islam ki ikamat
Hussain hay shamiyo ki shamat, Hussain bey jisamm ki jissamat
Hussain ki zindagi karamat, Hussain ka tazkira salamat
Hussain ki her taraf imamat, Hussain ki batt ta kiyamat
Hussain hi kay wajoud say aj puri duniya main Lailaha hay
Tumhara idrak bey khbar hay, tumhay khabar kiya, Hussain kiya hay
Hussain kab ka, Hussain abb ka, Hussain, jab jab nahi tha jab ka
Hussain ik wasita hasab ka, Hussain hi fesala nasab ka
Hussain malik hay roz-o-shab ka, Hussain khalik her ik adab ka
Hussain ka rabb, Hussain rabb ka, Hussain kay sab, Hussain sab ka
Hussain hi ka haseen lunger, zamana her wakat kha raha hay
tumhara idrak bey khbar hay, tumhay khbar kiya, Hussain kiya hay