Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

Nazm for Diwali

4 views
Skip to first unread message

Srinivas Ganti

unread,
Nov 4, 1999, 3:00:00 AM11/4/99
to
hi Folks,
Like the proverbial "Lull before the storm" Diwali has made its presence
felt and there are fire works all around :)And the eternal preacher of
RMIM seems to be on song:)Probably he is offended as many of his quotes
didn't make to my top 10 list and wants to make up for it with a
vengeance:)Anyways Diwali is of special significance to me as on Diwali
eve in 97 I tried to write a sher for the first time,and Sahir helped
me.
Rang aur noor ki baaraat kise pesh karun
Ye diwali ki mubarak baat kise pesh karun

Nagma-o-sher ki saugaat kise pesh karun
Ye diwali ki mubarak baat kise pesh karun.
And on eve of Diwali 1998 I wrote my first poem,without any help.
For a change here's a Nazm by Nazeer Akbarabadi.

har aik makaaN meiN jalaa phir diyaa diwaali ka
har aik taraf ko ujaala huaa diwaali ka
sabhi ke dil meiN samaaN bha gayaa diwaali ka
kisi ke dil ko mazaaH kHush lagaa diwaali ka
ajab bahar ka hai din banaa diwaali ka

jahaaN meiN yaaroN, ajab tarah ka hai yeH tyohaar
kisi ne naqad liya aur koi karay hai udhar
khilaunay, khaliyoN, bataasoN ka garam hai bazaar
har aik dukaaN meiN charagHon ki ho rahi hai bahar
sabhoN kofikr hai ja ba ja diwaali ka

miThaiyoN ki dukaneiN lagaa ke halwaai
pukartay haiN keH "lala ! Diwaali hai aai"
bataasay lay koi, barfi kisi nay tulwaai
khilaunay waloN ki unn say zyadaaH ban aai
goya inhoN ke waaN raaj aa gayaa diwaali ka

sirf haraam ki koRhi ka jin ka hai byopar
unhonay nay khaaya hai iss din ke wastay hiudhaar
kahay haiN haNs ke qarz-kHwah se har aik, aikbaar
"diwaali aai hai, sab de chalayeNgay ai yaar
kHuda ke fazal se hai aasra diwaali ka"

makan laip ke, TheliyaaN jo kori rakhwaai
jalaa chiraagH ko, koRhi woH jald jhankai
asal juaari thay, unn meiN to jaan si aai
kHushi se kood uchhal kar pukartay, "O bhai!
shagun pahlay karo tum zaraa diwaali ka"

kisi nay ghar ki hawali giro rakha haari
jo kuchh thi jins muyassar, bana bana haari
kisi nay cheez kisi ki chura chhupa, haari
kisi nay gaThari paRhosan ki apni laa hari
yeH haar jeet ka charcha paRha diwaali ka

jahaaN meiN yeH diwaali ki sair hoti hai
to zar se hoti hai, aur zar bagHair hoti hai
jo haaray, unn peH kHarabi ki fair hoti hai
aur unn meiN aan ke jin jin ki kHair hoti hai
to aaRhay aata hai unn ke diyaa diwaali ka

baateiN sach hain, naH jhooT inn ko janiyoN yaaro
nasihateiN haiN, inhay dil meiN ThaaniyoN yaaro
jahaaN ko jaao, yeh qissa bakhaniyo yaaro
jo juaari ho, naH buraa uss ka maniyo yaaro
NAZEER aap bhi hai juaariya diwaali ka

Srinivas.


Sent via Deja.com http://www.deja.com/
Before you buy.

0 new messages