Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

Lyrics - Shakeel Badayuni [Movies] --- Long!

69 views
Skip to first unread message

Dinesh K. Prabhu

unread,
May 17, 1992, 10:49:02 PM5/17/92
to

Hi y'all,

This is part four of the series of songs(classified by lyricists).
Earlier, I had posted songs by Gulzar, Kaifi Azmi and Sahir Ludhianvi.
Shakeel Badayuni is arguably the classiest lyricist in Hindi movies.
Like Sahir, he too has a large number of songs for Hindi movies and
the Shakeel/Naushad combination has produced some of the most
memorable songs in Hindi films. As before, the collection posted here
is only a small sample of Shakeel Badayuni's work and perhaps others
in this newsgroup can add some more.

Regards
Dinesh
(pra...@corvus.arc.nasa.gov)
-----------------------------------cut here------------------------------------

Film: Mughal-e-Azam, Music: Naushad, Singer: Lata Mangeshkar

pyaar kiya to Darna kya jab pyaar kiya to Darna kya
pyaar kiya koyi chori naheeN ki pyaar kiya
pyaar kiya koyi chori naheeN ki chhup chhup aaheN bharna kya
jab pyaar kiya to Darna kya
pyaar kiya to Darna kya jab pyaar kiya to Darna kya

aaj kaheNge dil ka fasana jaan bhi le le chaahe zamaana (2)
maut vohi jo duniya dekhe
maut vohi jo duniya dekhe ghuT ghuT kar yooN marna kya
jab pyaar kiya to Darna kya
pyaar kiya to Darna kya jab pyaar kiya to Darna kya

un ki tamanna dil meN rahegi, shamma isi mehfil meN rahegi (2)
ishq meN jeena ishq meN marna
ishq meN jeena ishq meN marna aur hameN ab karna kya
jab pyaar kiya to Darna kya
pyaar kiya to Darna kya jab pyaar kiya to Darna kya

chhup na sakega ishq hamaara chaaroN taraf he un ka nazaara (2)
parda naheeN jab koyi khuda se
parda naheeN jab koyi khuda se bandoN se pardah karna kya
jab pyaar kiya to Darna kya
pyaar kiya to Darna kya jab pyaar kiya to Darna kya

pyaar kiya koyi chori....
-------------------------------------------------------------------------------
Film: Mere Mehboob, Music: Naushad, Singer: Mohd. Rafi

mere mehboob tujhe
meri muhabbat ki qasam

mere mehboob tujhe meri muhabbat ki qasam
phir mujhe nargisi aaNkhoN ka sahaara de de
mera khoya hu'a rangeeN nazaara de de
mere mehboob tujhe meri muhabbat ki qasam

bhool sakti naheeN aaNkheN voh suhaana manzar
jab tera husn mere ishq se Takraaya tha
aur phir raah meN bikhre the hazaaroN naghme
maiN voh naghme teri aavaaz ko de aaya tha
saaz-e-dil ko unhi geetoN ka sahaara de de
mera khoya hu'a rangeeN nazaara de de
mere mehboob tujhe meri muhabbat ki qasam

yaad he mujh ko meri umr ki pehli voh ghaDi
teri aaNkhoN se koyi jaam piya tha maine
mere rag rag meN koyi barq si lehar aayi thi
jab tere marmari haathoN ko chhu'a tha maine
aa mujhe phir unhi haathoN ka sahaara de de
mera khoya hu'a rangeeN nazaara de de
mere mehboob tujhe meri muhabbat ki qasam

maine ik baar teri ek jhalak dekhi he
meri hasrat he ke maiN phir tera deedaar karooN
tere saaye ko samajh kar maiN haseen taaj mahal
chaaNdni raat meN nazaroN se tujhe pyaar karooN
apni mehki hui zulfoN ka sahaara de de
mera khoya hu'a rangeeN nazaara de de
mere mehboob tujhe meri muhabbat ki qasam

DhooNDhta hooN tujhe har raah meN har mehfil meN
thak gaye heN meri majboor tamanna ke qadam
aaj ka din meri ummeed ka he aakhri din
kal na jaane maiN kahaaN aur kahaaN tu ho sanam
do ghaDi apni nigaahoN ka sahaara de de
mera khoya hu'a rangeeN nazaara de de
mere mehboob tujhe meri muhabbat ki qasam

saamne aa ke zara parda uTha de rukh se
ik yehi mera ilaaj-e-gham-e-tanhaayi he
teri furqat ne pareshaan kiya he mujh ko
ab mil ja ke meri jaan be bhan aayi he
dil ko bhooli hui yaadoN ka sahaara de de
mera khoya hu'a rangeeN nazaara de de
mere mehboob tujhe meri muhabbat ki qasam

mere mehboob tujhe

Lata version:

mere mehboob tujhe
meri muhabbat ki qasam

mere mehboob tujhe meri muhabbat ki qasam....

ay mere khwaab ki taabeer meri jaan-e-ghazal
zindagi meri tujhe yaad kiye jaati he
raat din mujh ko sataata he tasavvur tera
dil ki dhaDkan tujhe aavaaz diye jaati he
aa mujhe apni sadaa'oN ka sahaara de de
mera khoya hu'a rangeeN nazaara de de
mere mehboob tujhe meri muhabbat ki qasam

yaad he mujh ko meri umr ki pehli voh ghaDi....

saamne aa ke zara parda uTha de rukh se....
-------------------------------------------------------------------------------
Film: Mere Mehboob, Music: Naushad, Singer: Lata Mangeshkar

paas rehte hue bhi tujh se bahut door heN ham
qissa-e-dard sunaate heN ke majboor heN ham

tere pyaar meN dildaar jo he mera haal-e-zaar |
koyi dekhe ya na dekhe allah dekh raha he | (2)

jab se teri yaad mere dil meN samaayi he
vallah kisi raat mujhe neeNd naheeN aayi he
meeTha meeTha dard he
hoNToN pe aaheN sard he
chehra bhi mera zard he
na jaane kya rang dikhaaye tera intezaar | (2)
tere pyaar meN dildaar....

tu hi meri zindagi he tu hi meri jaan he
mujh ko tu mil jaaye mera yehi ek armaan he
tera mera saath ho
kuchh dil se dil ki baat ho
jee bhar ke mulaaqaat ho
naghme gaayeN pyaar ke mil kar chheDeN dil ke taar | (2)
tere pyaar meN dildaar....

sadqe tere jaa'ooN mera TooTa dil joD de
nazaroN ka hijaab zara nazaroN se hi toD de
aaNkhoN se kyooN door he
kyooN milne se majboor he
dil mera gham se choor he
yooN hi taDpe jaa'ooNgi jab tak na hoga deedaar | (2)
tere pyaar meN dildaar....
-------------------------------------------------------------------------------
Film: Bin Badal Barsaat, Music: Hemant Kumar, Singer: Hemant Kumar

jab jaag uThe armaan to kaise neeNd aaye

jab jaag uThe armaan to kaise neeNd aaye
ho ghar meN haseeN mehmaan to kaise neeNd aaye - neeNd aaye
jab jaag uThe armaan to kaise neeNd aaye

yeh raat yeh dil ki dhaDkan yeh baDhti hui betaabi |
ik jaam ki khaatir jaise bechain ho koyi sharaabi | (2)
sholoN meN giri ho jaan to kaise neeNd aaye
jab jaag uThe armaan to kaise neeNd aaye

nazdeek bahut he manzil phir bhi he ghazab ki doori |
ay dil yeh tu hi batla de yeh kauN si he majboori | (2)
jab soch meN ho insaan to kaise neeNd aaye
ho ghar meN haseeN mehmaaN to kaise neeNd aaye - neeNd aaye
jab jaag uThe armaan to kaise neeNd aaye
-------------------------------------------------------------------------------
Film: Bees Saal Baad, Music: Hemant Kumar, Singer: Hemant Kumar

zara nazaroN keh do ji

nishaana chhooT na jaaye zara nazaroN se keh do ji
maza jab he tumhaari har ada qaatil he kehlaaye
zara nazaroN keh do ji
nishaana chhooT na jaaye zara nazaroN se keh do ji

qaatil tumheN pukaarooN ke jaan-e-vafa kahooN
hairat meN paD gaya hooN ke maiN tum ko kya kahooN

zamaana he tumhaara
zamaana he tumhaara chaahe jis ki zindagi le lo
agar mera kaha maano to aise khel na khelo
tumhaari is sharaarat se na jaane kis ki maut aaye
zara nazaroN keh do ji
nishaana chhooT na jaaye zara nazaroN se keh do ji

haay - kitni maasoom lag rahi ho tum - tum ko zaalim kehte - voh jhooTha he

yeh bholaapan tumhaara
yeh bholaapan tumhaara yeh sharaarat aur yeh shokhi |
zaroorat kya tumheN talwaar ki teeroN ki khanzar ki | (2)
nazar bhar ke jise tum dekh lo voh khud hi mar jaaye
nishaana chhooT na jaaye zara nazaroN se keh do ji

ham pe kyooN is qadar bigaDti ho - chheDne vaale tum ko aur bhi heN

bahaaroN par karo ghussa ulajhti heN jo aaNkhoN se
havaa'oN par karo ghussa jo Takraati heN zulfoN se
kaheeN aisa na ho koyi tumhaara dil bhi le jaaye
zara nazaroN se keh do ji
nishaana chhooT na jaaye zara nazaroN se keh do ji
-------------------------------------------------------------------------------
Film: Bees Saal Baad, Music: Hemant Kumar, Singer: Hemant Kumar

beqaraar kar ke hameN yooN na jaa'iye |
aap ko hamaari qasam lauT aa'iye | (2)

dekhiye voh kaali kaali badaliyaaN
zulf ki ghaTa chura na le kaheeN
chori chori aa ke shokh bijliyaaN
aap ki ada chura na le kaheeN
yooN qadam akele na bhi baDhaa'iye
aap ko hamaari qasam lauT aa'iye
beqaraar karke....

dekhiye gulaab ki voh DaaliyaaN |
baDh ke chubh le na aap ke qadam | (2)
khoye khoye bhaNvareN bhi heN baagh meN
koyi aap ko banaana na le sanam
behki behki nazaroN se khud kyooN bachaa'iye
aap ko hamaari qasam lauT aa'iye
beqaraar karke....

zindagi ke raaste ajeeb heN
in meN is tarah sala na keejiye
khair he isi meN aap ki huzoor
apna koyi saathi DhooNDh leejiye
sun ke dil ki baat na muskuraa'iye
aap ko hamaari qasam lauT aa'iye

beqaraar kar ke hameN yooN na jaa'iye |
aap ko hamaari qasam lauT aa'iye | (2)
--------------------------------------------------------------------------------
Film: Chaudhvin Ka Chand, Music: Ravi, Singer: Mohd. Rafi

chaudhveeN ka chaaNd ho ya aaftaab ho |
jo bhi ho tum khuda ki qasam laa-javaab ho | (2)
chaudhveeN ka chaaNd ho

zulfeN heN jaise kaanDhoN pe baadal jhuke hu'e
aaNkheN heN jaise mai ke pyaale bhare hu'e
masti he jis meN pyaar ki tum voh sharaab ho
chaudhveeN ka chaaNd ho

chehra he jaise jheel meN haNsta hu'a kaNwal
ya zindagi ke saaz pe chheDi hu'i ghazal
jaan-e-bahaar tum kisi shaa'ir ka khwaab ho
chaudhveeN ka chaaNd ho

hoNToN pe khelti heN tabassum ki bijliyaaN
sajde tumhaare raah meN karti heN kaikashaaN
duniya-e-husn-o-ishq ka tum hi shabaab ho
chaudhveeN ka chaaNd ho....
--------------------------------------------------------------------------------
Film: Dil-e-Nadan, Music: Ghulam Mohammad, Singer: Talat Mahmood

zindagi de ne vaale sun
teri duniya se dil bhar gaya
maiN yahaaN jeete ji mar gaya

raat kaTti naheeN din guzarta naheeN
zakhm aisa diya he ke bharta naheeN
aaNkh veeraan he
dil pareshaan he
gham ka saamaan he
jaise jaadu koyi kar gaya

bekhata too ne mujh se khushi chheen li
zinda rakha magar zindagi chheen li
kar diya dil ka khooN
chup kahaaN tak rahooN
saaf kyooN na kahooN:
too khushi se meri Dar gaya
--------------------------------------------------------------------------------
Film: Baiju Bawra, Music: Naushad, Singer: Mohd. Rafi

akeli mat jaiyo raadhe jamuna ke teer

o ji o
tu ganga ki mauj maiN jamuna ka dhaara (2)
ho rahega milan
yeh hamaara o hamaara tumhaara rahega milan
yeh hamaara tumhaara

agar tu he saagar to maNjhdhaar maiN hooN - maNjhdhaar maiN hooN
tere dil ki kashti ka patvaar maiN hooN - patvaar maiN hooN
chalegi akele na tum se yeh naiyya - na tum se yeh naiyya
milegi na manzil tumheN bin khevaiyya - tuhmeN bin khevaiyya
chale aa'o ji (2)
chale aa'o maujoN ka lekar sahaara
ho rahega milan yeh hamaara tumhaara

bhala kaise TooTeNge bandhan yeh dil ke - bandhan yeh dil ke
bichhaDti naheeN mauj se mauj mil ke - O mauj mil ke
chhupoge bhaNvar meN to chhupne na deNge - to chhupne na deNge
Dubo deNge naiyya tumheN DhooNDh leNge - tumheN DhooNDh leNge
banaayeNge ham (2)
banaayeNge toofaaN ko ik din kinaara
ho rahega milan yeh hamaara tumhaara

tu ganga ki mauj....
--------------------------------------------------------------------------------

0 new messages