Hi Aashu,
HMV released an album called "Bachchan recites Bachchan" which
featured Amitabh Bachchan reciting a few of Harivansh Rai's poems, and
Manna Dey singing a few excerpts from Madhushala ...
I don't own any more of Madhushala except what's there in the cassette
above. If no one else is posting Madhushala, I will post those
excerpts starting tomorrow.
Regards,
Ravindra.
+---------------------------------+-------------------------------------+
| U.V. Ravindra | agni desh se aataa hooN maiN! |
| Senior Engineer -- R&D | |
| Tata Elxsi (India) Ltd., | jhulas gayaa tan, jhulas gayaa man |
| 123, Richmond Road, | jhulas gayaa kavi komal jeevan |
| Bangalore -- 560 025 | kintu agni-veenaa par apne |
| Phone: +91-80-845-2016 | dagdh kanTh se gaataa hooN maiN! |
| E-mail: uvr@tata_elxsi.soft.net | -- Harivansh Rai Bachchan |
+-----------------------------------------------------------------------+
I have some couplets which were posted a long time back. The original
posters are mentioned alongside.
-Prince
---This was posted on SCI, by rps...@uwovax.uwo.ca---
ek baras me ek bar hi, jagati holi ki jwala,
ek bar hi lagati baazi, jalati dipon ki mala,
duniyawalon kintu kisi din, aa madiralaya me dekho,
din ko holi raat diwali roz manati madhushala.
musalman aur hindu hain do, ek magar unka pyala,
ek magar unki madiralaya, ek magar unki haala
dona rahate ek na jabtak, mandir masjid me jate
bair badhate mandir masjid mel karati madhushala.
lalayit adharon se jisne hai nahin choomi haala
harsh vikampit karke jisne ha na chua madhu ka pyala
hath pakar kar lazzit saki ka paas nahin jisne khincha
vyartha sukha dali jeevan ki usne madhumaya madhushala.
lal sura ki dhar lapat se kah na ise dena jwala
phenil madira hai mat isko kah dena ur ka chaala
darad nasha hai es madira ka vigat smritiyan saaki hai
pidaa me anand jise ho aaye meri madhushaala.
I'm really tempted to write more but I have to go to India tomorrow
and have got a lot to do before I go. So long..
----And this on SCI too, by pan...@gn.ecn.purdue.edu (Ravindra K. Pandey)----
[1]
Bane pujaree premee saki
Ganga jal paawan hala,
Rahe pherta aviral gati se
Madhu ke pyalon ke le mala.
Aur liye ja aur piye ja
Isee mantra ka jap kare,
main shiva ke pratima ban Bathoon,
Mandir ho ya madhushala.
[2]
Madiralay jane ko ghar se chalta hai peene wala,
kis path se jaoon asmanjas mein hai wo bhola bhala.
Alag alag path batlate sab, per main ye batalata hoon,
Rah pakad to ek chala ja, pa jayega madhushalaaaaa.
[3]
Lal sura ki dhar lapat se, kah na ise dena jwala,
Phenil madira hai mat isko kah dena ur ka chhal.
Dard nasha hai is madira ka, vigat smritiyan saki hain,
peeda mein anand jise ho, aye meri madhushalaaaaaaaaaa.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
[4]
Nam agar pooche to koi, kah dena peene wala.
Kam dhalna aur dhalana, bhar-bhar madira ka pyala.
Jati priye poochhe yedi koi kah dena dewanon ke.
Dharm batana pyalon ke le, mala Japna madhushala.
[5]
Sajen na masjid aur namajee, kahta hai Allah tala,
Saj dhaj kar per saki ata, ban than ker peene wala.
Sheikh! kahan tulna ho saktee, masjid ke madiralaya se.
Chir widhawa hai masjid teri, sada suhagin Madhushala.
[6]
Ek baras mein ek bar he, chadhatee deepon ke mala.
Ek bar he lagatee bajee, Jaltee holee ke jwala.
Duniya wlon kintu kisi din, a madiralay mein dhekho,
Din ko holee, rat deewalee roj manateee madhushala,