movie : Sharaabi
Scene : AB's birthay and has been waiting for meena for a long time. AB is
talking to munshiji.
AB : (angry and frustrated) yeh sub aapki wajeh se hua hai munshiji. kya kehte
the aap, haaa, jab tak zindagi mein aurat na aa jaaye tab tak mard ki baat
mein wazan nahee paida hota. ab dekhiye, baat mein wazan paida karte karte
hummara wazan gir pada hai. pehle humhe kisi ka intezaar karte dekha hai
aapne, abhi to aisa lag raha hai ki hum jubse paida hua hein, tubse
kisi ka intezaar kar rahe hein.
Munshi: beta, mera dil kehta hai chahe qayamat aaye vo jaroor aayegi..
AB : haa..(looks at the candle)munshiji agar uss mombatti ke bujhne tak vo
nahin aayi, to... to(thinking...) humhe mombattiyon se hamesha ke liye
nafrat ho jaayegi.
Munshi: vo jaroor aayegi beta..
AB : vaise ek baat kahen munshiji.., vo jaroor aayegi.....(picks up the guitar)
la la la looooo
la la la looooo
la la la la
la la la la
uhh huu huuu
wooooow... what a song!!
well AB fans out there, I'm pretty sure u gys have lot of stuff to post.keep
them coming.:-))
Ancha
"a die hard BIG B fan, the GREATEST!!"
I can think of another from the same movie...dunno if it already has been posted.
I am not sure about the accuracy of the dialogues.....may be
Ancha could help out.
AB to JayaPradha(he is inviting her to his b'day party adn jaya
has problems commiting):
JP: Mein aane ka vaada to nahin kar sakti, magar koshish karungi
AB: haan!! Vaade aksar toot jate hein, koshishen kamiyaab ho jati hain.
hum aapke is koshish ka intejaar karenge.
Ancha , corrrections are welcome:)
satish
>
> I am not sure about the accuracy of the dialogues.....may be
> Ancha could help out.
>
> AB to JayaPradha(he is inviting her to his b'day party adn jaya
> has problems commiting):
>
> JP: Mein aane ka vaada to nahin kar sakti, magar koshish karungi
>
> AB: haan!! Vaade aksar toot jate hein, koshishen kamiyaab ho jati hain.
> hum aapke is koshish ka intejaar karenge.
>
>
> Ancha , corrrections are welcome:)
>
> satish
That was perfect Satish. I have got one more from the same scene. this one
is before the dialogue u have posted.
JP : vicky babu, itna keemti tohfa mein kuubul nahin kar sakti.(or something like that)
AB : Meena ji, tohfe ki keemat nahin dene waale ki neeyat dekhi jaati hai!!!!
CooOOL...
Ancha
: CooOOL...
O.K. guys, here comes one more. This is before the dance performance of
Meena (Mujhe naulthka manga dere....)
Meena starts dancing...while in the pranaam pose, just glances at
audience from the corner of her eye. She finds none but AB.
Meena: Yeh Kya baththmeeji hai Vicki babu...
AB: Bathameeji. Hum to sirf baite hai
Meena: public kahaan hai
AB: Hum ne saare ticket khareed daali, to public kaise ayeegi.
Meena: Kalaakaar ko sirf paisoan ki jaroorat nahin, Use thaaliyoan ke
bhook hoti hai.
AB: Meena ji aap jab nachegi, aur hum ne hajaar thaaliyoan ki ghooj
nahi sunadi to, hamaari naam bi Vicki nahin hai.
I think somewhere in between these, Munshiji says some shayaari too.
Guys please correct it.
--
Shiva S. Kondapalli SMOOTH SEAS NEVER MADE A SKILLFUL SAILOR
Email: s-kond...@bgu.edu
Meena : yeh kya mazaak hai vicki babu?
AB: Mazaak!! kaisa mazaak, yahaan to hum akayle bhaithe hai, humare saath bhi
koi nahin hai, to phir hum mazaak kisse karenge.
Me : yahi to mein puuch rahi hu, yeh hall khali kyu hain(talks with a terrible accent)
AB : haaan, ye hall khali kyon hai?? vo aapke natwar shah sahab aaye the hamare
paas, kaha ki ek naye kalakaar ki hosla-afzayi karnihai, to hamne socha
ki kanha dar dar ticket bechte phirenge, saare ticket hami ne khareed liye.
Me : shayad aapko maalum nahin kalakaar paiso ka nahin, taarif ka bhuka hota,
talliyon ki...blah blah blah
AB : va meenaji aapne to badi gehraayi waali baat kehdi, itni gehraayi me to hum
kabhi gaye hi nahin, upar hi upar ter ke nikal gaye.
Me : jo baat ki gehrayi ko nahin samajhta, vo kalakaar ki kala ko kya samjhega.
jo kalakaar ki kala ko na samjhe vo insaan nahin hota!! agar yehi sab dekhna
tha to tawif ke kothe pe kyo nahin chale gaye!!
AB : Tawaif! kotha! to hum aapko kothon pe jaane waale nazar aate hain. Meenaji
hum to aapki hosla-afzayi karne aaye the, aapne to hume zalleel karke rakh
diya. kotha kya cheez hai aur tawaif kise kehte hain, yeh na hum jaante hain
aur na hi jaan-na chahte hein. aur jo baat aapne kahin ki jo insaan kalakaar
ki kala na jaanta ho, vo insaan nahin hota, to is baat pe hum bhi kehna chahenge
ki jo kalakaar insaan ko na jaanta ho, vo kalakaar bhi insaan nahin hota.
kher, humne aapka dil dukhaya iske liye maafi chahenge. kyaaa kehte hein
munshiji aise maukon par...
Munshi: bade be-aabru hoke hum tere kuuche se nikle...
AB : haaan. chaliye munshiji..
Me : theheriya..
AB : kahiye..
Me : baithiye..
AB : kamaal hai munshiji, kabhi jaane ko kehti hein, to kabhi aane ko kehti hein,
haan kehiye.
Me : kya sunenge aap??
AB :(sarcastically) ab-bhi kuch sunaana baki reh gaya hai kya haa haaa... kher
hum to humecha sapnon ki duniya mein rahen hein, aapka bhi koi sapna ho to
sunaa dijiye aur phir dekhiye in haaton ka kamaal, hazaar taliyon ki guunj
na sunayi di, to hamara naam bhi vicki nahin..
well there was the whole scene)) correction welcome:-)