Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

Qawali from Main Hoon Na

295 views
Skip to first unread message

dodo

unread,
Oct 19, 2004, 2:36:50 PM10/19/04
to

I heard this song and liked the words, and transcribed it. I have a few
doubts about some of the words I came up with (indicated with ? in the
transliteration)

Would be much obliged if some kind soul fixed them, and or clarified
their meaning

Also does the chorus Dum-Taara etc. have any meaning?

Thanks in advance

DODO
========================
Song by Sonu Nigam, Aftab Sabri, Hashim Sabri
Lyrics by Javed Akhtar (???)
Music Anu Malik

Ishq jaise hai ek aandhi Ishq hai ek toofan
Ishq ke aage bebas hai duniya main har ilzaam/insaan (?)
Ishq me sab diwaane hai ishq me sab hairaan
Ishq me sab kuch mushkil hai ishq me sab aasaan
Dekho pyaare yeh nazaare, yeh diwaane, yeh parwaane, hai ishq main
kaise gum

Hai,
Tum se milke dil ka hai jo haal kya karen, ho gaya hai kaisa yeh kamaal
kya kahen
Tum se milke dil ka hai jo haal kya karen, ho gaya hai kaisa yeh kamaal
kya kahen

Dum taara Dum Taara Dum Taara Dum Taara Dum-ma
Dum taara Dum Taara Dum Taara Dum Taara Dum
Dum taara Dum Taara Dum Taara Dum Taara Dum-ma
Dum taara Dum Taara Dum Taara Dum Taara Dum

Dil to hai ek raahi jaana, dil ki tum manzil ho
Dil to hai ek kashti jaana, jiska tum saahil ho
Dil na phir kuch maange jaana, tum agar haasil ho
Dil to hai mera tanha jaana, aao tum mehfil ho

Ishq se hi saari Khushiyaan, Ishq hi barbaadi
Ishq hai paabandi lekin, ishq hi azaadi
Ishq ki duniyaa mein yaaro, khwabon ki abaadi
Kho gaya hai jis ko manzil, ishq ne dikhlaadi
Dekho pyaare yeh nazaare, yeh diwaane, yeh parwaane, hai ishq main
kaise gum

Hai,
Tum se milke dil ka hai jo haal kya karen, ho gaya hai kaisa yeh kamaal
kya kahen
Tum se milke dil ka hai jo haal kya karen, ho gaya hai kaisa yeh kamaal
kya kahen

Dum taara Dum Taara Dum Taara Dum Taara Dum-ma
Dum taara Dum Taara Dum Taara Dum Taara Dum
Dum taara Dum Taara Dum Taara Dum Taara Dum-ma
Dum taara Dum Taara Dum Taara Dum Taara Dum

Tum ko pooja hai, tumhari hi ibaadat (?) ki hai
Humne jub ki hai, to phir aise mowbat (?) ki hai
Humne jub ki hai, to phir aise muhabbat ki hai

Dil mera paagal(?) hai jaana, isko tum behla do
Dil main kyun hal-chal hai jaana, mujhko tum samjha do
Leh (?) ka jo aanchal hai jaana, isko tum lehra do
Zulf jo baadal hai jaana, mujh pe tum barsa do

Jaana leke jaaya hai, tera yeh diwaana
Jaan tujh pey mit jaaye ga, tera yeh parwaana
Jaana mere dil main kya hai, tune ye na jaana
Jaana tujh ko yaad ayega, mera yeh afsaana
Dekho pyaare yeh nazaare, yeh diwaane, yeh parwaane, hai ishq main
kaise gum

Tum se milke dil ka hai yeh haal kya karen, ho gaya hai kaisa yeh
kamaal kya kahen

0 new messages