Assalamoalaikum Muskrikeen ko har daur me kuch na kuch shubhaat lahiq hote hain jinhe shaitan unhe daleel bawar karwata hai, ise liye wo apne shirk per qaim rehte hain aur samghte hain ke hum bohat achay kaam kar rahe hain...
Laykin Allah Ta'la ne bhi in ke tamam shubhaat ka jawab Quran o Hadees ke surat me day diya hai. Alhamdulillah Allah Ta'la ka farman hai: "Ye app ke pass koi etiraz ki baat, misaal ya shubha lain gay, to hum us ka sacha jawab aur umdah toujeeh app ko bata dain gay." (Al-Furqan: 33)
ise ke paish-e-nazr sheikh saleh al fozan (hafidaullah) ke book se kuch iqtabaas paish-e-khidmat hai...