: "Farq Sifr Itna Sa Tha"

1 view
Skip to first unread message

Mohammed Salman

unread,
Apr 30, 2011, 6:35:54 AM4/30/11
to

 as received....



Fact of life
                Barat.....aur.......Janazey....(Arthi)
mein farqe
Farq Sirf Itna Sa Tha
The difference between a wedding and a funeral!!
(-: FARQ SIRF ITNA SA THA :-)
Teri doli uthi,
Meri mayyat uthi,
Phool tujh par bhi barse,
Phool mujh par bhi barse,
FARQ SIRF ITNA SA THA
Tu saj gayi,
Mujhe sajaya gaya .


Tu bhi ghar ko chali,
Main bhi ghar ko chala,
FARQ SIRF ITNA SA THA
Tu uth ke gayi,
Mujhe uthaya gaya .


Mehfil wahan bhi thi,
Log yahan bhi the,
FARQ SIRF ITNA SA THA
Unka hasna wahan,
Inka rona yahan.


Qazi udhar bhi tha, Molvi idhar bhi tha,
Do bol tere pade, Do bol mere pade,
Tera nikah pada, Mera janaaza pada,
FARQ SIRF ITNA SA THA
Tujhe apnaya gaya ,
Mujhe dafnaya gaya.
 
 
 
Jab mera janaza unki gali se nikla,
 
Janaaza mera rok kar
woh kuch is andaaz se bole
Gali to hamne kahi thi
Tum to duniya chhod kar chale
 
 
 
 
 
 
 
Reply all
Reply to author
Forward
0 new messages