Sabse pehlae to aap se ik sawaal ka jawaab chahiye janaab....itni lambi-
chauDi post "ishq" par...kahiye kya irada hai? kahin ishq to nahin farma
baiTHe :))))Khair, aap ki post se mutalliq chand tas'suraat pesh-e-khidmat hain...
>
>
> ishq hi duniya ka sabse baRha sach hai. lekin ishq ka matlab woH nahiN
> jo aamtaur se zahaN meiN aata hai, yaane aik laRhka aur laRhki ke
> darmayaan ishq. ishq woH nahiN, ishq to us se kahiN baRhkar hai, ishq
> bahut hi paak hai yeH insaan ko kHuda se milaata hai.
aap ne farmaya ki "ishq duniya ka sab se baDa sach hai"... "Sab se baDa
sach"..
magar agar insaan ki buniyaad hi na ho to phir ishq kiya, aur rashk
kiya...insaan
hai to jazbaat hain...aur jazbaat hain to ishq hai....meri zahaanat mein
"hayaat"
zindagi ka sab se ahm sach hai....
jahaN ishq khayali taur par ik falsafi mauzoo hai, .vahan ishq aam zindagi
mein
aik be-jism insaan ka sa ehsaas bhi rakhta hai. kiyon ki roz marrah ki
zindagi mein ishq ki paemaa'ish muqad'daspan ke tarazu main hai...isi
paemaa'ish
ki dain hain ishq ke mukhtalif numaa'indae, maslan maa aur aulaad vegerah
vegerah...aap ki di hui misaal mein aik baat ka izaafa karna chahun ga vo yeh ki aik
aulaad ka jo jazbi naata hai apni maaN se us ka sab se sundar pehlu is se
behtar kiya hoga ki jab bhi kisi chhoTe bach.chae ko chOt lagti hai to
aansuoN ke saath saath us ke laboN par maaN ka naam yak lakht chala aata hai.
aik nazar se dekhain to yeh bhi to ishq hi hai...>
> ishq sirf insaan se nahiN , kisi cheez se bhi ho sakta hai ishq, kHuda
> se ishq.
>
> humare jo sufis hueiN haiN ( jinhone hindustan meiN islaam ko phailaya)
> unhe kHuda se ishq tha, jo urdu shayari meiN ishq ka zikr hota hai, woH
> dar-asal kHuda ke ishq ki baat honi chahiye, shuru meiN humaari shayari
> yahi thi. magar kHuda se ishq ka aik rasta yeH bhi hai keH baNdo se ishq
> karo. magar hua yuN keH humare sho'ara insaani ishq meiN yuN ulajh gaye
> keH allah ko hi bhool gaye.
>
> yahaaN yeH bhi kahna zaroori hai keH shayari meiN jis sharab aur nasha
> ke baare meiN zikr hota tha woh bhi ishq ka hi naha tha. magar baad ke
> sufiyoN ne is ishq ko is kuchh junoon aur diwanepan ki had tak le gaye,
> aur namaz hi chhoRh di, jo keH gHalat tha. allah ne apni ibadat ka
> tareeqa bataya hai, aur use to man-na hi paRhega. ibadat bhi ishq ka aik
> darja hai.
Punjabi adab mein be-shumar sufiana kalaam isi mauzoo pe tehrir kiye gaye
hain.
"khuda se muhab'bat" .Khwaja Ghulam Farid, Sultan Bahoo, Sarmast, Bulle Shah, Ghulam Rasool, aur
bhi bahut se shayar(jo mujjhe is vaqt yaad nahin aa rahe) hue hain jin ne
baD-chaD
kar is mauzoo pe bahut kuchh tehrir kiya hai.Maslan, Khwaja Ghulam Farid ka ye kalaam: meinDa ishq vi tu, meinDa yaar vi tu
meinDa deen vi tu, imaan vi tu
je yaar Farid qubool kare shaala
ilm vi tu, irfaan vi tumeinDa = mera, my(about the only multani word I know :))) )
(I am writing from memory so please forgive the mistakes)aur ye ishq aur nashae ki jo baat aap ne cheDi hai..us par Khwaja Ghulam Faridke ye chand misare to waqe hi daad talab hain: ishq te aatish doN hi baraabar
ateh ishq ka da daaNv tikhera
aatish saaDe kath te kanera
ateh ishq saaDe dil jeDa
aatish nu paani bujhave
te das'so ishq da daru kehDa
aakhe Ghulam Farida , othe kuj nahin vachda
jith'the ishq ne laa laya DeraRough translations are as follows: ishq aur aathish dono barabar
magar ishq ka daaNv hai teekha
jala.ae hai aatish tan aur kapDe magar
raakh kar deta hai dil ko ishq
aatish ko to paani bhujhaae
magar ishq ka ilaaj hai kiya, bataaO?
udhar kuchh nahin bachta "Ghulam Farid"
jahan ishq basa le Dera love and fire are equivalent
but love is the harder taskmaster
fire may burn body and clothes
But the soul is schorched by love
water extinguishes fire
What extinguishes love?
Ghulam Farid says: "all is destroyed where ishq makes it
home"Chaliye bahut lambi ho chuki ye post...baqi phir sahi... jaate jaate chand
ashaar ba-qaul-e-Amjad Islam Amjad yeh ajeeb khel hai isq kaa, main nay aap daekha yeh
mo'jaza
woh jo lafz mere gumaaN mein thay, woh teri zabaan peh aa
gaye
aap ke tas'suraat paD kar bahut maza aaya....magar, mera sawaal mat bhooliye
ga :))kahir andesh,Umang>
>
> --
> faqat
>
> kashif
>
>
Muddat ke baad ALUP mein raunaq laut aayi hai. I really appreciated reading the many contributions that were sparked by
Raj Kumar's long-awaited return. Kashif Sahib's views on ishq were
particularly interesting to me. I have just begun reading a book by
Anand Coomaraswamy, The Dance of Shiva, which contains the following
passage: : " All that India can offer to the world proceeds from her
philosophy. This philosophy is not, indeed, unknown to others - it is
equally the gospel of Jesus and of Blake, Lao Tze and Rumi - but nowhere
else has it been made the essential basis of sociology and education".In another book I read recently, A. Bausani wrote an article on Ghalib's
Persian poetry, and concluded with: "It is certain, however, that some
verses of Ghalib call to mind Sankara's monism or even certain aspects
of modern dialectical idealism."Ghalib's work can arouse a strong sense of deja vu in readers from
different backgrounds. I'll try to post some excerpts from Bausani's
article soon. Now that I have acquired glasses, I find I can read Urdu
and Persian after all. At a cost. I have had to give up my long held
belief that the only people who wear glasses are the ones who are too
lazy to focus their eyes properly!Nagesh
3a8082e126