Rooh Ka Safar

0 views
Skip to first unread message

Rut

unread,
Aug 4, 2024, 10:15:19 PM8/4/24
to laudevecyc
Beetehue waqt se sawaal karna

Jayaz hai ya nhi Kya pata

Kuch fayada hai ya nhi ye nhi jante

Maazi agar khushnuma ho

To aankhon main yaad krte hue sukoon utar aata hai

Aur agar dard main beeta ho

To aankhon se kadwe aansoo banke nikal aate hain

Agar beete waqt se sawaal kro to jawaab khud se hi miljaaya krta hai

Magar anewale waqt se Kuch pucho

to wo ghoor kar pehle dekha karta hai

Phir apni akdi gardan k sath apne rutbe ko aur bhi akda kar nazarandaaz karke nikl jaata hai

Ye kehte hue Chup raho aur intzaar kro

Chalta hua beet te waqt main shamil hone jaa raha waqt kinhi budhe buzurg ki tarah sar par hath rakh kar kehta hai

Jo hoga accha hi hoga

Jo beet gya use bhool ja

Jo anewaala hai uski fikr naa kar

Kyunki wo bhi beet jayega meri tarah

Budha hojaega meri tarah

Aur rooh ban jaege markar rooh bane beete hue waqt ki tarah

Tab jaana maine

Waqt bhi jawaan hota hai budha hota hai

Marta hai markar rooh bhi banta hai

Waqt bhi insaan ki tarah ek safar tey krta hai..

3a8082e126
Reply all
Reply to author
Forward
0 new messages