







How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method
Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. Inshallah
Istikahary k baary may chund baatain ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.
1) Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)
2) Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.
3) Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.
4) Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.
5) Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.
Istikhara kaisy kia jaye
Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar.
Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai
100 dafa Ya Rasheed’o ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)
Allah Pak Farmatay Hain....
Ik Teri Chahat Hai Or Ik Meri Chahat Hai
Hoga To Wohi Jo Meri Chahat Hai
Haan Ager Tune Superd (hawale) Kardia Khood Ko
Uske Jo Meri Chahat hai
To Main Tujhe Woh Bhi Donga Jo Teri Chahat Hai...
Or Ager Tune Mukhalfat Ki Uski Jo Meri Chahat Hai
Tu Main Thaka Dunga Tujhe Us Main Jo Teri Chahat Hai
Phir Hoga Wohi Jo Meri Chahat Hai.....