Mukhtalif masaalik kay darmiyaan 99 feesad cheezoan per ittefaq hay.
Jaiasy kay namaz roza haj, zakat tawheed, rasool, malayeka, kitaabain, yome aakhrat, jannat dozakh, waghaira.
In masaalik main iss per bhee ittefaq hay kay kaun see cheezain achhi hain (akhlaq, sach, eemaandari, parosi kay huqooq, insaanoan say mohabbat, har jaandaar ka khayal rakhna, poora tolna, poora naapna, saaf aur paak rehna, baroan ka adab, bachchon say shafqat, mulazmeen ka khayal rakhna, masakeen kee madad, waqt kee pabandee, waghaira, waghaira).
Tamaam masaalik main iss per bhee ittefaq hay keh kin cheezoan say bachna hay (jhoot, fahashee, gheebat, chughal khoari, larayee, jhagra, rishwat, bay eemani, waqt barbaad karna, chor daku aur badmaash ka saath dayna, waghaira, waghaira ).
Hum ko chahyeey ke achhee baton per amal karain aur doosroan kee achhee batoan kee sataaish aur taareef karain.
Sirf aik feesad batoan main shayed ikhtelaaf hoga. Iss ikhtelaaf ko uchhalnay say hamaray bachchoan per bura asar per sakta hay. Aur hamaray dushmanoan ko moqa milta hay kay voh hamaray darmiyan mazeed tafreeq paida karain.
Baraaye meherbaani ghaur karain.
Sent from my BlackBerry® Smartphone provided by Ufone
Date: Thu, 19 Jun 2014 16:30:05 +0500
Subject: RE: **JP** SHABAN KA HALWA