The Most Important & Gist (saar) of all Satsangs

6 views
Skip to first unread message

mukesh bhatia

unread,
Jan 28, 2010, 1:36:00 PM1/28/10
to sy...@googlegroups.com, hariomgr...@googlegroups.com, syvss-...@googlegroups.com, sadha...@googlegroups.com, syvs...@googlegroups.com, ashram...@googlegroups.com, thesucce...@googlegroups.com, jib...@googlegroups.com, Har...@googlegroups.com, hariom-...@googlegroups.com
hari om,

Aapne bapuji ka dusra koi bhi satsang nahi sunaa hoga toh chalegaa par niche diyaa hua satsang mat miss kijiyegaa, ye saare satsango kaa saar hai, aur sabse important bhi

Q. Sabse ucchaa padd kaunsa hai, sabse ucha sukh kya hai?
A. sabse ucha padd hai aatm padd, aur sabse uche mein ucha sukh hai aatm saakshaatkar ke baad brahmi stithi kaa sukh

Q. Aisaa kya hai jisko paane ke baad dukho kee koi daal nahi galtee
A. aatm saakshaatkar/aatm gyan

Q. Bapuji ke anusar hamare jeevan kaa udeshy kya honaa chahiye
A. Aatm saakshaatkar/brahmi stithi (aatm/brahm gyan hone ke baad ki stithi ko brahmi stithi kahte hai) "he sumukhee, aatm mein gurubudhee ke sivay anay kuch bhi satya nahi hai, satya nahi hai, issiliye iss aatmgyan ko prapt karne ke liye budheemaano ko prayatna karnaa chahiye" guru gita shlok no. 22

Q. Aisaa kya hai jisko paane/karne ke baad koi kartavy nahi rehjaataa
A. Aatm saakshaatkar dusre shabdo mein aatm gyan, tatv gyan, brahm gyan

Q. Bapuji kya chahte hai hamare liye?
A. Bapuji chahte hai kee hum jald se jald aatm saakshaatkar karke brahmi stithi mein tick jaayen aur sabhi dukho se saddaa ke liye mukt ho jaayen

Q. Sabhi sevao aur sadhanao kee paramtaa/manjil kya hai?
A. sabhi sevo, sabhi sadhano kaa param lakshy/phal hai aatm saakshaatkar, woh nahi hua toh phir kya arth rahaa sevao aur sadhanao kaa

Q. Saare satsango kaa saar kya hai?
A. saare satsango kaa saar yahi hai kee hum uss param padd ko paalen, toh phir uss itne uchhe padd ko shod kar kyon do kodi ke sukh ke peeche baagnaa

Q. kaise ho aatm saakshaatkar?
A. Bina seva ke gurukripaa nahi pachegee, mufat kaa maal hajam nahi hogaa, aur bina gurukripaa ke aatm gyan/saakshaatkar nahi ho saktaa, seva dundeeye,  bapuji kehte hai hum mein jo bhi yogyataa hai usse seva mein lagaa dena hai bas, kuch nayaa nahi karnaa/sikhnaa

Q. kab hoga aatm saakshaatar?
A. tadap jeetnee jyada samay utnaa hee kam

Q. Aatm saakshaatkar kise kehte hai?
A. Aatm saakshaatkar ek stithi hai jo hone ke baad hum apne aap ko sharir nahi aatma jaante hai phir sukh dukh maan apmaan ke thapede nahi lagte phir mann param vishraanti mein rehtaa hai

bapuji bhi yehi chahte hai kee unke pyare uss param padd ko paake sabhi dukho se sadaa ke liye paar ho jaayen, jaise bache kee shadhi mein bache se jyadaa mata pita ko khushi hotee hai, aaise hee jab hum saakshaatkar karenge toh humse jyadaa bapuji ko anand hogaa

Q. Bapuji ke jeevan mein yeh kab hua?
A. "Aasoj sudd do divas, sanwat bees ikees,
   Madhyan dai baje, milaa iss se iss
   deh sabhi mithya hui, jagat hua nissar
   hua aatm se tabhi, apnaa saakshaatkar"

"puran guru kripaa milee, puran guru kaa gyan, asumal se hogaye sai asaram"

Q. Diskha liye itnaa samay hogayaa abhi tak saakshaatkar kyon nahi hua?
A. Aatm saaksaakshaatkar tab hoga jab hamara hriday shuddh hogaa, ashudh hriday mein yeh gyan nahi thehertaa, aur gurukirpaa pachane kee paatrataa hogee tab pachega, bas hriday kee shudhi aur paatrata chahiye seva aur sadhana se hriday shudh hogaa aur antaha karan kaa nirmaan hogaa tabhi yeg gyan hajam hoga

"gurudev ke upedisht marg se hriday kee shudhee karnee chahiye" - Guru Gita

Q. Koi short cut hai kya?
A. agar bapuji ke direct saanidy mein rehkar sadhana karein phir toh kehnaa hee kya, phir toh bahot hee jald kaam banjaay bapuji bhi aise paatra dundte hai jo jaldee yeh paa sakein, aur bapuji apne guru kaa prasad unhe de sakein 

dyan rahe aatm padd iss brahmaand mein sabse ucha padd yeh kisi airre gairre nathu thairre ke liye nah, isse toh koi satt paatra satt shishya hee paa sakte hai sabhi guru bhaiyo tak yeh message pahochana hai main ekele yeh kaam nahi kar saktaa kripyaa aap bhi kuch gurubhaio ko yeh message forward karein

Thanks and regards,

Mukesh
www.ashram.org/livesatsang
www.hariomgroup.org/latestsatsang
www.hindujagruti.org
www.hinduhumanrightswatch.org
http://celibacy-chastity.blogspot.com
Reply all
Reply to author
Forward
0 new messages