na khudko itna haqeer samjo,
k koi tumssay hissab mangay,
khahishon ki kitab manggay,
na khudko itna qaleel samjo,
k koi uth kr kahhay ye tumssay,
waffain apni hamyn luta do,
watan ko apnay hammain thama do
utho aur uth kr bata do unko,
k ham hain ehl-e- iman saray,
na ham me koi sanam kada hay,
hmaray dilme to ik Khuda hay,
Meray watan k udas logo..
Jhukay saroon ko Utha k Dekho,
qadam to agay barha k dekho,
Hy aak taqat tumhary sr per,
Karray gee saya jo un saroon per,
Qadam Qadam pr jo sath degi,
Agar girray to Sambal degi,
Meray Watan k Udas Logo..
Utho chalo aur Watan Sambhalo…