![]() |
![]() |
![]() |
Title: Zehra , Raaziyah , Marziyyah , Siddeeqah
Tahera , Azra , Batool Mubarekah
Zakiyyah , Muhaddesah
Kunyat: Ummul-Aimmah ,Umme-Abeeha
Sayyedatun-Nesayil-Alameen etc.
Father’s name: Hazrat Muhammad Mustafa S.A.W
Mother’s name: Janabe Khadijat-ul-Kubra
Born: 20th Jamadi-ul-Akhar,5th of B’esat
Shahadat: 3rd Jamadi-ul-Akhar,11 A.H
Buried: In Jannat-ul-Baqi (Madina)
Masaib of Bibi Fatima Zehra(s.a.):
Aap har majlis may
Hussain(a.s.) ka pursa detay hain Fatima(s.a.) ko detay hain. Aaj mujhe
yaqeen hay ke mera mola Hussain(a.s.) aaya ho ga apni maa ka pursa
lenay. Sirf Hussain nahi, Zainab aaye hain, Umme
Kulsoom aaye hain, Ali aaye hain, aray khud Rasool-e-Khuda tashreef laye hain.
Mominoo jee bhar ke aaj pursa dijye.
Aey Shaheeda Karbala Hussain
Aey mazloom-e-jafa Hasan
Aey mazlooma-e-Sham Zainab
Aey Abul Hasan Ameeral Momineen
Aey Shahenshahe kainat Rasoole Khuda
aaj ham yahan jama huay hain, aap ki beti ka pursa denay - aap ham se
Fatima Zehra(s.a.) ka pursa qabool kijye
Aey khak-e-Madina teri galiyon may abhi tak
ham bint-e-paymabar ki lahad dhond rahay hain
Aaj bhi Rasool ki beti ki qabr par fouji tazyanay le ke kharay hain -
koi matam nahi kar sakta - momin doosray momin se dartay dartay kaan
may kehtay hain ke woh jo patharon ke peechay hay na wohi Zehra(s.a.)
ki qabr hay. Aik Irani zakir ne rotay rotay roza Rasool ki taraf rukh
kar ke ro ke kaha ya Rasool Allah jo aap ki beti Iran aa jati to ham
baitiyon ke zewar baich kar us ka roza banwatay jaise ke aap ke betay
Raza(a.s.) ka banaya hay.
Fatima Zehra(s.a.) ki wasiyat thi ke meray janazay ko raat may uthana
- aey Abul Hasan meray janazay par koi mera haq ghasab karnay wala na
aaye - meray janazay ko koi na dekhay. Falan, Falan, Falan meray
janazay may shareek na honay payain. Jab tasbeeh o tehleel ki awaz
aana band ho jaye to samajh jana ke Khuda ki kaneez Khuda ke pas chali
gaye. Meray bachchon ko batana nahi. Pehlay khana khilana. Bachay
wapas aayey to sogwar mahol dekha. Asma, Fizza hamari Amma kahan hain
- kaisi udasi hay - bachon pehlay khana kha lo - Aray Asma, Amma Fizza
aisa kabhi hua hay ke baghair amma jan ke ham ne khana khaya ho - Asma
batao hamari maa kahan hay - yeh tumhari aakhain surkh kyun hain,
ankhon se ashk kyun rawan hain, baal bikhray kyun hain, batao kia
waqea hua. Na zabt ho saka Asma se, Fizza se - kaha aey bachon tumhari
maa na rahi - tumharay naz uthanay wali na rahi.
Rasool(sawaw) ke baad Zehra(s.a.) Kul 75 din zinda raheen jin may se
72 din dayain hath may tasbeeh le ke nahi parh saki. Allah janay kaisa
tazyana laga hay Hussain(a.s.) ki maa ko. Seedha hath teesray din se
zakhmi pehlo par rehta tha.
Ghusal ka waqt aaya – Ali(a.s.) ne Fizza se kaha Fizza raat bari kam
hay may ne bohat say kam karnay hain zara jaldi kar - may ne Zehra ko
ghusal dena hay, 40 qabrain banani hain, bana kar nishan mitanay hain,
Zahra ko kafan dena hay, namaz-e-janaza parhani hay, Zehra ko dafan
karna hay zara jaldi kar - Fizza kehti hay Maula may kia karoon Syeda
ki 3 paslian nahi mil rahi hain. Zehra ki woh bekas maut he ke jis par
Ali jaisa sabir cheekhain mar kar roya jab Fizza ne bataya ke Mola
Zehra ke aisay aisay zakhm hain ke jo mujh se bhi chupaye rakhe.
Ali ne janazay to ghar ke beech may la ke rakhkha, aik aik kar se sab
ne bain kiya, rukhsat li ke ab qayamat may hi mulaqaat ho gi - sab
Zehra se mil chukay - Ali ne dekha ke Hussain door alag kharay hain -
kaha beta maa ka aakhri deedart kar lo phir qayamat may hi milo gay.
Hussain ne kaha Baba Nana se suna hay ke Eisa Maryam ke janazay par
nahi gaye thay jab tak Maryam ne nahi bulaya tha - may fakhr-e-Eisa
hoon meri maa fakhr-e-Maryam hay. May tab tak janazay pe nahi jaoon ga
jab tak amma hath utha kar mujhe nahi bulain gi. Yeh suntay hi Syeda
ka band-e-kafan tootay – bayaan hath to foran hi kafan se nikal aaya -
dayan hath nikalnay may zara dair lagi - Ali ne amama zameen par
phainka - aray beta Hussain maa abhi zakhmi hay Zehra ke shikasta
pehlu se khoon ka fawara nikal raha hay ........
Janaza utha raat ki tareeki may - jannatul baqi ki taraf janaza chala
- yakdam Ali ko ihsas hua ke koi peechay peechay koi aa raha hay -
murh kar dekha to nanhi si Zainab sar pe nanhi si rida dalay Amma Amma
kehti hui roti chali aati hay. Pareshani ke alam may rida kabhi sarak
rahi hay kabhi us ko sahi kar rahi hay. Aray Ali ne goad may uthaya,
pyar kia aur ghar may pohonchaya ke kaha beti ghar se bahar na nikalna
aray wohi Zainab Sham-e-gharibaan Ali ko pukarti rahi – Baba, Baba
meri chadar meri chadar....
Ala lanatullahe alal qaumiz zalimeen
Dar Se Lagi Wo Kheti Thi Ansu Baha Baha,
Q Ghar Mera Jlate Ho Mai Ne Hy Kya Kia?
Ek Shaks Ne Sitam Ye Kya Wa Musibata,
Drwaza Lat Mar K Us Py Gira Dia,
Pehlu Py Aa'e Zarb Jo Bint'e RASOOL K
MOHSiN Hua Shaheed Shikm Mai BATOOL K.
Brief History
The holy daughter of our holy prophet Hazrat Muhammad S.A.W was sent by God to this world as an perfect example for all muslim women to show a woman’s role in Islam i.e how to be a good daughter , wife and a mother. The example of the role of a sister was shown by her daughter Janabe Zainab. That is true that no woman can ever reach to the level of Janabe Fatema-e-Zahra S.A but the women in Islam can at least try their best in following the steps of our Divine Lady.
Just to show our love for Janabe Fatema S.A with shallowness doesn’t make our Holy prophet S.A.W happy nor Allah. But our love should also be shown in our actions and not just in empty words. If our way of living resembles the characterisitics of this holy Lady then the muslim women have the right to call themselves as the maidservants of Hazrat Fatema Zehra S.A otherwise we don't possess the right at all. This month of Jamadi-ul-Akhar belongs to remember only Janabe Fatema-e-Zahra S.A , of course we should recollect all our Masomeen A.S all the time but there is something special about this month which contains only the martyrdom and birthday-anniversary of Janabe Fatema Zehra S.A.
On the 3rd day of Jamadi-ul-Akhar all momeneen and momenaat around the world grieve for Bibi Fatema Zehra (S.A) and remember how her enemies tortured her which can not be described. Due to the calamities she faced after the demise of her holy father (S.A.W), her life came to an end after 3 months and 5 days. The sufferings she was put through was already foretold by her Holy father(S.A.W).
Our holy prophet(S.A.W) had reported and informed His beloved daughter of every event of suffering that she was going to face after His departure from this world. Janabe Fatema Zehra S.A was also told that she was going to be the first of the Ahlul-Bayt to follow him in Paradise. On the 28th Safar in 11 A.H the noble soul of her holy father left this mortal world and now the enemies who claimed to be the lovers of the Holy Prophet (S.A.W) made their move. The history reports us how Janabe Fatema Zahra’s (S.A) rights were usurped , how the house was set on fire , how the door fell on Janabe Fatema S.A which caused the death of Janabe Mohsin , how Imam Ali A.S was dragged to the mosque to pay allegiance to Abu Bakr.
They who were behind all this actions in hurting the beloved daughter of Rasool-e-Khuda S.A.W had forgotten all the ahadith of the Noble Messenger of Allah:
”Whoever injures Janabe Fatema S.A injures me and Allah and whoever injures Allah practises unbelief.” And also :
”Allah is satisfied with her satisfaction and is angered when she is angered”.
She was hurt and tortured by they who were to be the closest to our holy Prophet S.A.W. If this was true how come they ignored the holy tradition of the Holy Messenger S.A.W. The tragedies of Hazrat Fatema Zehra S.A can be understood by her own words as she has said:
"O my Father! After your death I was subjected to such tortures and tyranny that if they had been inflicted on the Day , it would have turned into Night."
Janabe Fatema S.A lived a short life , the shortest life of all Masomeen A.S , a vitality that was coming to an end even before it was given a chance to completely blossom! Janabe Fatema S.A was only 18 years old when she left this world to join her Holy Father in Paradise. The last days of Bibi Fatema S.A had arrived and she requested the following as her will to Imam Ali A.S:
1. O Ali , you will perform my funeral rites
2. Those who have displeased me should not be allowed to attend my funeral
3. My corpse should be carried to the graveyard at night.
Janabe Fatema Zahra S.A was ready to meet her Lord. She wanted to be alone spending her last moments of her life praying. She instructed Janabe Asma binte Umais to wait outside her door and said :" A complete silence in my room will confirm my departure from this world ." After a while when the praying voice of the Divine Lady was no longer heard the sad news of the martyrdom was spread. The holy children of Imam Ali A.S was now orphans , everyone were wailing , mourning and crying. As her wish to Imam Ali A.S , a quiet funeral was arranged in the darkness of the night .The funeral prayers were conducted by Hazrat Ali A.S and the holy body was buried in Jannat-ul-Baqi in Madina. Our holy Lady left this world to come to Paradise to join her holy father and inform Him that she left the world with a broken heart.
Muslim women should do their best in following our Lady Fatema Zehra S.A . If our actions are bad we will indeed continue to hurt our holy Lady and if she is injured , our Holy Prophet S.A.W and Allah is also injured. We share this sorrow with all momeneen and momenaat around the world and together offer our condolence to Imam-e-Zamana(A.S) on this sorrowful day of the martyrdom of His great mother.
For more please visit
http://www.duas.org/SyedaZehrasa.htm
Iltemase dua
Riyaz Mehdi
&
Team