Kya samjh payegi yeh duniya ke kya abbas hai
Mojize hairan hai esa mujiza abbas hai
Qalbe haider se uthi aur arshe aazam tak gi
Surkh rooh ho ke jo palti wo dua abbas hai
Yeh haqikat hai ke hai shabbir dil islam ka
Aur usi dil ke dharkne ki sada abbas hai
Kuin na shamshire tabbasum se ho larza foje sham
Shah ka nanha sipahi dusra abbas hai
Kya koi us foj se takraega jis foj ki
Ibteda beshir hai our inteha abbas hai
Bap bete main ager kuch farq hai to bas yahi
Kule ima hai ali kule wafa abbas hai
Bhagti fojo ko uljhae raha bas yeh saval
Sahibe mashko alam haider hai ya abbas hai
De raha hai ho ke bhi bedaste jo rizqe murad
Dekh aie nayab woh hajit rava abbas hai