بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
السلام عليكم ورحمة الله وبركاته
A'amal e Umme Dawood
Is
dinka bhetareen amal hai. Tamam hajatoon k poora hone, ranj o ham k
dafa hone aur zalemoon k door karne k liye. Is amal ka tareeqa
"Misbah al-Mutahajjid" k mutabiq ye hai k jab is amal ko bajalana chahe
to pehle 13th, 14th and 15th Rajab ko roza rakhe. phir 15th ko waqt e
zawal ghusl kare aur Zawal k baad namaz e zuhr o asr ko bhetareen rooko
aur sajde k saath tanhai k maqam mei bajalaye/ koi cheez us ko mashgool
na kar sake aur koi us se baat na kare aur jab namaz se farig ho jaye to
robaqibla reh kar surah Alhamd 100 martaba, Surah e ikhlas 100 martaba
aur ayat al kursi 10 martaba parhe. us k baad sura e Inam, Bani Isreal,
Kahf, Luqman, Yaseen, Safat, Hay Mem Sajda, Hay Mem Ain Sin Qaf, Hay Mem
Dakhan, Fatah, Waqya, Mulk, Nun, Izas Sama Un Shaqqat aur is k baad
quran k akhir tak k tamam suray parhe aur jab is se farig ho jaye to
robaqibla dua e Umme Dawood parhe.
[Reference : Misbah al-Mutahajjid by Shaykh al-Tusi]