Rahul Sharma
unread,Apr 15, 2012, 1:19:49 PM4/15/12Sign in to reply to author
Sign in to forward
You do not have permission to delete messages in this group
Either email addresses are anonymous for this group or you need the view member email addresses permission to view the original message
to Hindi Shayari
Andheron Ki Tapish Ne Rooh Ko Kuch Aise Tha Jhulsaya,
Chaandni Ki Har Kiran Se Karne Laga Tha Dil Kinaara,
Na Jaane Kahanse Aayi Zindagi Ek Ajnabi Ka Roop Lekar,
Laya Ek Shakhs Hazar Khushiyaan Apne Daaman Mein Samet Kar,
Chahta Tha Laaye Wo Meri Zindagi Mein Khushiyon Ki Bahar,
Waade Bhi Beshak Nibhaye Usne Har Ek Zakham Ko Bharkar,
Jaane Kyon Uski Har Baat Par Aitbaar Karne Ko Dil Chahta Tha,
Tha To Koi Farishta, Par Na Jane Kyon Apna Saaya Sa Lagta Tha,
Hairani Hui Aaj Kyon Chehra Apna Aayne Mein Dekhkar,
Ye Kiska Aqs Tha Jo Muskura Raha Tha Meri Taraf Dekhkar,
Dhire Dhire Sama Liye Mere Saare Gam Usne Apni Aagosh Mein,
Nayi Aahatein Di Usne Khushiyon Ki Meri Veeraniyon Mein,
Mere Ashqon Se Nam Ho Jaati Hai Wo Khwabeeda Aankhein Bhi,
Ab Ashqonko Dafan Kar Dein Uski Alhad Si Muskurahaton Mein,
Duwaon Ki Bheed Ojhal Ho Gayi Dheere Dheere Bikhar Kar,
Ek Hi Dua Thi Rahe Wo Sanam Zindagi Mein Zindagi Bankar...