Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur'an Mein, Rukhsar Ka Alam Kya Hoga
Mehboobe Khuda Ke Jalwon Se, Iman Ki Ankhen Raushan Hain Bin Dekhey Hi Jab Yeh Alam Hai, Didar Ka Alam Kya Hoga
Jab Unke Gada Bhar Detey Hain, Shahane Zamana Ki Jholi Mohtaj Ki Jab Yeh Halat Hai, Mukhtar Ka Alam Kya Hoga
Hai Naam Mein Unka Itna Asar, Ji Uthte Hai Murdey Bhi Sun Kar Woh Haal Agar Khud Puchein To, Bimar Ka Alam Kya Hoga
Jab Unke Ghulamon Ke Dar Par, Jhukte Hain Salaati-ne Alam Phir Koi Bataey Aqa Ke, Darbar Ka Alam Kya Ho Ga
Jab Sunke Sahaba Ki Baaten, Kuffar Musalman Hote Hain Phir Donon Jahan Ke Sarwar Ki, Guftar Ka Alam Kya Hoga
Taibah Se Hawa Jab Ati Hai, Bekal Ko Sukun Mil Jata Hai Is Paar Ka Jab Yeh Alam Hai, Us Par Ka Alam Kya Hoga
Sarkare Do Alam Ke Rukh Par, Anwaar Ka Alam Kya Hoga Jab Zulf Ka Zikr Hai Qur'an Mein, Rukhsar Ka Alam Kya Hoga
--
بسم الله الرحمن الرحيم اللهم صل على محمد واله وعترته بعد دا كل
معلو م لك استغفر الله العظيم الذى لا اله الا هو الحى القيوم واتوب اليه لا اله الا الله محمد رسول الله قل هو الله احد الله الصمد لم يلد ولم يو لد ولم يكن له كفوا احد اشهد ان لااله الا الله واشهد ان محمدا عبده ورسوله ياهو هادى رب لا تذر على الارض قوما ظا لمين