Dil mein ishq e Nabi ki ho aisi lagan, Ruh tarapti rahe dil machalta rahe, Zindagi ka maza he ke har saans se, Ya Muhammad Muhammad nikalta rahe Dil mein ishq e Nabi ki ho aisi lagan… Ya Muhammad Muhammad mein kehta raha, Noor ke moti-on ki lari ban gaee, Ayaton se milata raha ayatain, Phir jo dekha to Naat e Nabi ban gaye Jo bhi ansoo bahe mere Mehboob ke, Sab ke sab abr e rehmat ke cheente bane, Chah gaee raat jab zulf lehra gaee, Jab tabassum kiya chandani ban gaee Yeh to maana ke jannat hai bagh e haseen, Khoobsurat he sab khuld ki sar zameen, Husn e jannat ko phir jab samayta gaya, Sarwar e ambiya ki galee ban gaee Jab chirah tazkira un ke rukhsaar ka, Waduha par liya, wal qamar keh dia, Sooraton kee tilawat bhi hoti rahi, Naat bhi ho gayi baat bhi ban gayi Sab se saim zamane main mazoor tha, Sab se bekas tha bebas tha majboor tha, Un ko reham agaya mere halaat par, Meri azmat meri bebasi ban gaee Dil mein ishq e Nabi ki ho aisi lagan, Ruh tarapti rahe dil machalta rahe, Zindagi ka maza he ke har saans se, Ya Muhammad Muhammad nikalta rahe
--
بسم الله الرحمن الرحيم
اللهم صل على محمد واله وعترته بعد دا كل
معلو م لك
استغفر الله العظيم الذى لا اله الا هو الحى القيوم واتوب اليه
لا اله الا الله محمد رسول الله
قل هو الله احد الله الصمد لم يلد ولم يو لد ولم يكن له كفوا احد