< Shab-e-Rukhsati >
Bibi Um-e-Salma (r.a) fermati hein k Rasool'Allah (saww) nay mujhe hukm dia k Fatima (s.a( ko araasta kerdo,
menay Bibi se pocha k aap k pas koi khushbu hai ?
wo 1 sheshe lay aain jis say aisi khushbu i k kabhi na songhi thi.
...
Deryaft kia k ye kahan say mili ?
Bibi (s.a) nay fermaya, "jub kabhi Wehb-e-Kalbi, meray Baba (saww) ki khidmat mein aatay to takya ker k baithtay aur jub uthtay to jo kuch un k kapRon say girta Baba (saww) fermatay is ko jama kerlo,
pocha k ye kia cheez girti hai ? Baba nay fermaya ye Jibrael thay jo basurat Wehb-e-Kalbi atay hein, aur ye Amber hai jo in k badan se jhaRta hai."
[ Jila-ul-Ayon v#1 pg#198 ]
19 Zilhaj 2H;
Shab-e-Rukhsati-e-Bibi FATIMA ZEHRA (s.a) humrah Mola ALI (a.s) bohat bohat mubarak ho !!