Groups
Groups
Sign in
Groups
Groups
FCI-JET'88
Conversations
About
Send feedback
Help
Dost hotaa naheen har haath milaane vaala - Ahmed Faraz
5 views
Skip to first unread message
Sampurnanand
unread,
Sep 3, 2010, 6:07:57 AM
9/3/10
Reply to author
Sign in to reply to author
Forward
Sign in to forward
Delete
You do not have permission to delete messages in this group
Copy link
Report message
Show original message
Either email addresses are anonymous for this group or you need the view member email addresses permission to view the original message
to FCI-JET'88
Dost ban kar bhi naheen saath nibhaanevaala
Vahee andaaz hai zaalim ka zamaane vaala
Ab ise log samajhte hain giraftaar meraa
Sakht nadeem hai mujhe daam me laane vaala
[Nadeem = Companion, Daam = net]
Kyaa kahen kitne maraasim the hamaare is se
Vo jo ik shakhs hai muh pher ke jaane vaala
[Maraasim = relationship]
Tere hote huye aa jaatee thi saaree duniyaa
Aaj tanhaa hoon to koyee naheen aane vaala
Muntazir kis ka hoon tootee huyee dahaleez pe main
Kaun aayegaa yahaan kaun hai aane vaala
[Muntazir = waiting]
Maine dekhaa hai bahaaron me chaman ko jalte
Hai koyee khvaab ki taabeer bataane vaala
[Taabeer = way]
Kyaa khabar thee jo meree jaan me ghulaa hai itnaa
Hai vahee mujh ko sar-e-daar bhi laane vaala
[Sar-e-daar = at the tomb]
Tum taqalluf ko bhi ikhlaas samajhte ho 'faraz'
Dost hotaa naheen har haath milaane vaala
[Taqalluf = etiquette, Ikhalaas = sincerity]
Reply all
Reply to author
Forward
0 new messages