Sampurnanand
unread,Aug 13, 2010, 8:38:53 AM8/13/10Sign in to reply to author
Sign in to forward
You do not have permission to delete messages in this group
Either email addresses are anonymous for this group or you need the view member email addresses permission to view the original message
to FCI-JET'88
Yunhi besabab na phiraa karo, koyi shaam ghar bhi rahaa karo
Wo gazal ki sachchi kitaab hai use chupke chupke padhaa karo
Koyeei haath bhi na milaayega jo gale miloge tapaak se
Ye naye mizaaj ka shahar hai, zaraa faasle se milaa karo
Mujhe ishtehaar si lagti hain ye mohabbaton ki kahaaniyan
Jo kaha nahee wo sunaa karo, jo sunaa nahee wo kahaa karo
Nahi behijaab wo chaand sa, ke nazar ka koyi asar na ho
Use itnee garm-e-shauq se, badee der tak na takaa karo
Abhi raah me kayee mod hain, koyi aayega koyi jaayega
Tumhe jis ne dil se bhulaa diyaa, use bhoolne ki duaa karo