करता है अपने बंगले की हर रोज़ बात तू
निर्धन के कभी ठौर-ठिकाने की बात कर
पहले ही बढ़ रही हैं मेरे दोस्त दूरियाँ
लड़ने की बात कर न लड़ाने की बात कर
लो, भूल जाता हूँ सभी मैं कहा-सुना
तू भी कहे-सुने को भुलाने की बात कर
हमको तो घर बसाने का देता है मशवरा
तू भी तो अपने घर को बसाने की बात कर
छोटे से अपने कमरे में है यार चुपचुपी
कुछ मेरी सुन कुछ अपनी सुनाने कीबात कर
.
.
Rone ki baat kar na rulaane ki baat kar
Gar ho sake to hansne hansaane ki baat kar
Karta hai apne bungle ki har roz baat too
Nirdhan ke kabhi thaur-thikaane ki baat kar
Pahle hi badh rahee hain Mere Dost dooriyaan
Ladne ki baat kar na ladaane ki baat kar
Lo, bhool jaata hoon sabhi main kaha-suna
Too bhi kahe-sune ko, bhulaane ki baat kar
Humko to ghar basaane ka deta hai mashwara
Too bhi to apne ghar ko basaane ki baat kar
Chhote se kamre me hain yaar chup-chupee
Kuchh meri sun kuchh apni sunaane ki baat kar