मेरे पर तो क़तर ही दिए आपने,
अब तो पैरों की ये रस्सियाँ खोलिए
पहले आहट को पहचानिए तो सही,
जल्दबाजी में मत खिड़कियाँ खोलिए
भेज सकता है कागज़ के 'बम' भी कोई,
ऐसे झटके से मत चिट्ठियाँ खोलिए
जिसको बिकना है चुपके से बिक जायेगा,
यूँ खुले-आम मत मंडियाँ खोलिए
Kuchh namak se bharee thailiyan kholiye
Phir mere ghaav kee pattiyaan kholiye
Mere par to katar hee diye aapne,
Ab to pairon ki ye rassiyaan kholiye
Pahle aahat ko pahchaaniye to sahee,
Jaldbaazi me mat khidkiyaan kholiye
Bhej sakta hai kaagaz ke 'bum' bhi koyee,
Aise jhatke se mat chitthiyaan kholiye
Jisko bikna hai chupke se bik jaayega,
Yoon khule-aam mat mandiyaan kholiye