Maqsad E Zindagi Hindi Pdf Download

0 views
Skip to first unread message

Ezekiel Tulagan

unread,
Aug 4, 2024, 6:15:45 PM8/4/24
to dysgcurece
Nahizindagi mein aur bohot kuch hai, toh chale isske baare mein sochte hai. Shuruaat karne ke liye, apne aas-paas dekhe. agar aap ek gufaa mein nahi rehte hain, to aap unn cheezon se ghire huye hain jinhe hum insaano ne apne haathon se banaaya hain. Ab, humne in cheezon ko kyun banaaya hain? Jawaab, beshak yeh hai ke hum cheezon ko humaare liye kuch khaas kaam karne ke liye banaate hai. Ises dhyaan mein rakhte hue, Parmeshwar Nee hume kyun banaaya, yadi Uski seva nahi ki toh?

Toh kya Kehta hai hume Banaane Waala, Ishwar, humaare maqsad ke baare mein? Ishwar Quran mein bataate hai ki Woh Insaan ko prithvi par Unke trustee banne ke liye Banaaye hai. Maanav jaati ka bunyaadi vishwaas aur humaari zimmedaari yeh hai ki hum Ishwar ko maane aur uski ibaadat kare:


Bohot aasaan! Manushya ka maqsad Ishwar ki ibaadat karna hai. Ibaadat ki Islami samajh ek insaan ke poore jeevan ko ibaadat ka kaarya maanti hai, jab tak ke us jeevan ka maqsad Ishwar ki razaa haasil karna hai, jo ke accha karne se aur buri cheezo se door rehne se haasil hoti hai. Ek insaan apne dinbhar ke kaarya ko ibaadat mein badal sakta hai sirf apni neeyaton ko saaf karke aur sacchaai/imaandaari se yeh kaarya ke dwaara Ishwar ki razaa haasil kare. Nabi Muhammad (rehmatein aur salaamatein ho aap par) ne kaha:


Ibaadat, Ishwar ko maanne waalon ko bohot se faydein deti hai jo unke dhaarmik aur dunyaavi haal ke liye bohot faydemand hoti hai. Insaan ke shareer ko jeene ke liye materialistic cheezon ki zaroorat hai jaise ke khaana, paani, aur prajanan ka ek zariya. Rooh/Aatma ke zarooratein sirf Ishwar ke nazdeek hone ke baad poori hoti hai aur Unse humari nazdeeki Imaan/Shraddha aur Unna paalan karne ke dwaara ho sakti hai, jo ki sirf Unki Ibaadat karne se mumkin hai.


Magar Ishwar ki ibaadat karne ke liye bohot zaroori hai ke hum Unnhe acchi tarah se jaane taake hum Unnhe ghalat samajhkar raastey se bhatak naa jaaye. Ishwar maanav jaati ko bataate hai ke Woh kya hai aur kya nahi, jaise ke jab Nabi Muhammad (rehmatein aur salaamatein ho aap par) ko poocha gaya tha Ishwar ke baare mein, Ishwar ne bataaya:

3a8082e126
Reply all
Reply to author
Forward
0 new messages