Seedhaysaade saara saula seedha seedha hona jee
Maine tum ko paana hai ya tune main ko khona jee
Aaja dil ki karein saude baazi, kya naraazi arrey aare
aare yaar
Seedhay saade saara saula seedha seedha hona jee
Maine tum ko paana hai ya tune main ko khona jee
Aaja dil ki karein saude baazi, kya naraazi arrey aare
aare yaar
Sauda hai dil ka yeh, tu kar bhi le
Mera jahaan baahon mein tu bhar bhi le
Saude mein de kasam, kasam bhi le
Aake tu nigaahon mein sanwar bhi le
Sauda udaanon ka hai ya aasmaano ka hai
Le le udaane meri, le mere par bhi le
Sauda umeedon ka hai, khwaabon ka neendon ka hai
Le le tu neendein meri, naino mein ghar bhi le
Dil kahe tere main honton se, baaton ko chupke se loon utha
Uss jagah dheere se, haule se, geeton ko apne main doon bitha
Ho dil kahe tere main honton se, baaton ko chupke se loon utha
Uss jagah dheere se, haule se, geeton ko apne main doon bitha
Sauda taraanon ka hai, dil ke fasaano ka hai
Le le taraane mere, honton pe dhar bhi le
Sauda ujaalon ka hai, roshan khayalon ka hai
Le le ujaale mere, aaja nazar bhi le
Main kabhi bhoolunga na tujhe, chaahe tu mujhko dena bhula
Aadatein jaisi hai tu meri, aadatein kaise bhoolun bhala
Oo main kabhi bhoolunga na tujhe, chaahe tu mujhko dena bhula
Aadatein jaisi hai tu meri, aadatein kaise bhoolun bhala
Kabhi kabhi mere dil main khayaal aata hai
Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaanv main
Guzarne paati to shadab ho bhi sakti thi
Ye teergi jo meri ziist ka muqaddar hai
Teri nazar ki shuaon main kho bhi sakti thi
Ajab na tha ki main begana-e-alam ho kar
Tire jamal ki ra'ana'iyonmain kho rahta
Tera gudaz-badan teri nim-baaz ankhein
Inhi haseen fasanon main mahv ho rahta
Pukartin mujhe jab talḳhiyan zamane ki
Tere labon se halavat ke ghoont pi leta
Hayat chiḳhti phirti barahna sar aur main
Ghaneri zulfon ke saaye main chhup ke ji leta
Magar ye ho na saka aur ab ye aalam hai
Ki tu nahi tera gham teri justuju bhi nahi
Guzar rahi hai kuchh is tarah zindagi jaise
Ise kisi ke sahare ki aarzu bhi nahi
Zamane bhar ke dukhon ko laga chuka huun gale
Guzar raha huun kuchh an-jani rahguzaron se
Muhib saaye miri samt badhte aate hain
Hayat o maut ke pur-haul kharzaron se
Na koi jada-e-manzil na raushni ka suragh bhi
Tak rahi hai ḳhalaon main zindagi meri inhi
Khalaon main rah jaunga kabhi kho kar
Main janta huun meri ham-nafas magar
Yunhi kabhi kabhi mire dil main khayal aata hai
3a8082e126