Barbaad-e-mohabbat ki duaa sath liye ja
Tuuta hua iqraar-e-wafaa saath liye ja
Ik dil tha jo pehle hi tujhe somp diya tha
Yeh jaan bhi ae jaan-e-adaa saath liye ja
Taptii hui rahon se tujhe aanch na pohanche
Diwanon ke ashkon ki ghataaa saath liye ja
Shaamil hai mera khuun-e-jigr teri hinaa mei
Yeh kum ho to khuun-e-wafaa saath liye ja
Hum jurm-e-mohabbat ki saza paayen ge tanhaa
Jo tujh se hui ho woh khataa saath liye ja