Baba balak nath chaalisaGuru charno mein sheesh dhar karu pratham parnam
Baksho mujh ko bahubal sewa karu nishkam
Rom rom mein ram raha roop tumhara nath
Dur karo avgunn mere pakdo mera hath
*Balak nath gyan bhandara ,divas raat japu naam tummhara
*Tum ho japi-tapi avnashi ,tum ho mathura kashi
*Tumra naam jape narr nari ,tum ho sab bhaktan hitkari
*Tum ho shivshankar k dass parvat lokk tumhare vasa
*Sarv lok tumhra jas gave,rishi muni tav naam dhiyave
*Kandhe par mrigshala viraje ,haath mein sunder chimta saaje
*Suraj k sam tej tummhara,mann mandir mein kare ujiyara
*Baal roop dhar gau charave,Ratno ki kar dur balave
*Amar katha sunane k rasiya,mahadev tumhre mann vasiya
*Shahtalai aasan laye,jisam vibhut jata ramaye
*Aisa chamatkar dikhlaya ,sab mann ka rog gavaya
*Ridhi sidhi navnidhi k daata,maat lok k bahg vidhata
*Jo narr tummhra naam dhiyave,janam janam k dukh visrave
*Anantkaal jo simran kare,so narr mukt bhaav se mare
*Sankat kate mitte sab roga, balak nath jape jo lokka
*Lakshmi putr shiv bhakt kahaya,balak nath janam pragtaya
*Dudadhari sirr jataramaye,ang vibhuti ka batna laye
*Kanan mundra nainan masti ,dil vich vasse teri hasti
*Adbhut tej prakash tummhara,ghat-ghat k tum jananhara
*Baal roop dhar bhakt ramaye,nij bhaktan k paap mitaye
*Gorakh nath sidhi jatadhari,tum sang kare gosht bhari
*Jab uss pesh gayi na koi ,haar maan fir mitr hoye
*Gaht-gaht k antar ki janat,bhale bhure ki peed pachanat
*Sukshm roop dharr pavan ahara,ponahari hua naam tumhara
*Darr par jyot jagge din rehan,tum rakshas bhaye kou hena
*Bhakt jan jab baam pukara,tab unka dukh nivara
*Sevak ustad karta sada hi,tumm jaisa daani na koi
*Teen lokk mahima tav gayi,akad anadi bhed na paye
*Balaknath ajay avinashi,karo kripa ghat ghat k vaasi
*Tumhra path kare jo koi ,vandhu chhut mahasukh hoyi
*Trahi trahi mein nath pukaro,dehi aksar mohe paar utaro
*Le trishul shatrugan maro bahktjana hirde tharo
*Maat pita vandhu aur bahi,vipat kal puch nahi koi
*Dudadhari ek aas tumhari ,aan haro abb sankat bahri
*Putr heen icha kare koi,nishchay nath prasad se hoyi
*Balaknath ki guffa niyari,roth chadhave jo narr nari