johumari (shia) sumaj mein hai wo teek hai, pur yeh be baath hai ke jub laug hum ko dekhteh hai aur hum eik horse (zuljana) ko saja kur haath lagatei hai aur roteh be hai, dusro (non-shia or non-muslim) ko batana perta hai ke hum kya kur rahe hai....is liyeh jub dusreh dekhteh hai un ko lugta hai ke hum goreh (horse) ko khuda manteh hai. Humari niyyat teek hai pur kubhi apni society mein precaution be zaroori hai.....yaha precaution yahee hai ke hum dusro ko galti se islam se duur na kere.
bhai jaan aap logo k jawabat sunay... jin sahib nay mujh say kaha hai k iss amal ko deobandio k kuch ulma bhi support kartay hain... un say mera yeh kehna hai k bhai mai yahan sirf Aqal, Quran aur seerat-e-masoomeen say yeh janna chahoon ga k kya waqai iss ki ijazat hai??
>> Hazrat abbas k asli alam aur imam hussain k asli horse ko na hi kisi nay chooma na hi kisi nay uski aesay tazeem ki jaisa k aaj kal horahi hai... tou jab asli alam o zuljinah ko vo ahmiat hasil nahe thi tou aaj 1400yrs k baad uski naqal ko itni ahmiat Q di jarahi hai?? kya hum had say aagay nahe barh rahay???
For example jab tak aik page khali hai to os ka etna ehteraam nahee aur jab es par Quran ki ayat lekh dee jaien to os ko chumna baise sawaab lehaaza es usool k tehat agar lakrio ki jama kar k ose Taboote Imam Hussain(AS) se nisbat ya koi muqaddas hasti k taboot se tashbeeh dejaie to es mai koi muaziqa nahee
maslan... aap kisi larki ko apni behan kehtay rahain.... vo aap ki behan us waqt tak nahe hosakti jab tak uska baap apka baap ya uski ma aapki maa na ho.... aap us larki say nikkah bhi kar saktay hain hala k agar vo aap ki behan hoti tou aap us say nikkah nahe kar saktay thay
2) Quran ko pages par likhnay ki sunnat humko Ayemma say mili hai... usko choomnay ki sunnat humko Ayemma aur rasool say mili hai... Kya aap bata saktay hain k Alam, Zuljinnah ya taboot (vo bhi jali) ko choomnay ki sunnat aap ko kis say mili hai??
3) Karbala mai Alam uthanay ka vohi maqsad tha jo har jung mai har Army k Flag uthanay ka hota hai yani yehi k Pori army iss Flag par jama rahay.... Lekin mujhe aap ki Army tou kaheen nazar nahe aae jo kisi dushman say lar rahi ho
5) Imam hussain ki shahadat k baad Vo alam kabhi utha hi nahe..... agar aap k baqool vo koi aesi cheez thi jisko choomna vajib tou chorain mustahib bhi tha tou Q imam zainul abdeen aur dosray Ayemma nay Ummat ko iss Azeem sharf say mehroom rakha???
6) aaj kal jo alam banaye jatay hain unko kaha jata hai k yeh Hazrat abbas k Alam ki shabih hai.... shabiha ka matlab hota hai Aks, Tasveer..... Ab zara kisi authentic book ko tou chorain kisi unauthentic book say hi sabit kar dain k Hazrat Abbas ka Alam 10 ft say ziada lamba tha.... agar nahe tha tou 30 ft k alam bana kar aap log usay shabih kehtay hain..... starnge...
>> Banu Abbas nay jab bani umayya k khilaf jung ki tou unho nay bhi Black jhanda uthaya... unho nay inteqam-e-hussain o zaid ka nara lagaya aur apna Flag black rakha... aur jab Government hasil karli tou Ayemma par bani ummay say ziada Torture kia....
Lekin pori history gawah hai k na hi ayemma nay Black flag uthaya... na hi Apnay ghar par ya ghar mai lagaya.... na Incident of karbala say pehlay na hi us k baad... aur history yeh bhi batati hai k Ayemma k dushmano nay hamesha Black Flag uthaya..... KYA YEH NAINSAFI NAHE K HUM UNKAY ALAM KI SHABIH KA NAM DAY KAR UNKAY DUSHMANO KA ALAM TAYYAR KARAIN
>> jin cheezo ki Ayemma nay ziarat nahe ki... unkay sahabio nay ziarat nahe ki jab k vo cheezain ayemma k samnay mojoof\d theen.... tou aaj 1400 yrs k baad unki naqal ko choomnay chatnay ki Logic kya hai??? Kya bata shoes store say koi chappal khareed kar aur usko Imam hussain say mansoob kar k uski ziarat ki jasakti hai?? agar nahe tou phir alam o zuljinah o taboot ko Q mansoob kar k choomna sahi hai???
^ App sahi keh rahey hai, saray ullama, mara-e-karam jo alam taaziya, zuljinah key ijazaat detay hai woh yeh sub nahi jantay unka ilm zaroor kum hoga, warna woh bhee zaroor in cheezo ko manna kartay. Lekin shukar hai app is faislay pay khod phonch gayee or jaiiz or na jaaiz amal key pehchan khod hogaye app ko.
mai jab iss behas mai varid hua tha tou mujhe andaza tha k Ahl-e-sunnat ko hum jis aqeeday ki buniyad par ghalat aur batil par samjhtay hain aaj Vo ghalat thinking hamaray yahan bhi aa mojood hue hai.... yani ANDHI taqleed....
>> Ahle sunnat un logo ki andhia taqleed kartay hain jin ko Direct rasool nay taleem tou di Lekin kisi bhi tarah yeh sabit nahe kia jasakta k rasool ki taleem k baad unka har amal Qabil-e-qabool hai aur vo koi gunnah nahe karsaktay..... Lekin aaj aap jaisay shia hazraat un mujtahideen ki ANDHI taqleed kartay hain jin Na hi rasool nay taleem di na hi kisi imam nay phir bhi aap logo ki bato say lagta hai k aap log mujtahideen ko masoom samjhtay hain..... tou iss mamlay mai tou phir ahlesunnat ziada theek huay... Q k vo rasool k period k sahabio ki taqleed kartay hain....
MAI YAHAN HISTORY, QURAN, AQAL AUR AYEMMA KI SEERAT SAY DALAIL LA RAHA HOON AUR AAP KEHTAY HAIN K HAMARAY MUJTAHID IJAZAT DAYTAY HAIN??? KYA AAP KI AQAL GHAS CHARNAY GAE HAI YA PHIR AAP IMAMAT K PARRALLEL MUJTAHIDO KO BHI LA RAHAY HAIN??
>> MUJTAHID KI TAQLEED VAHAN KI JATI HAI JAHAN QURAN, AQAL AUR SEERAT SAY VAZAY TAUR PAR KOI DALEEL NAHE MILTI.... MAI SABIT KAR CHUKA HOON K INN CHEEZO KI ZIARAT SEERAT, QURAN AUR AQAL K KHILAF HAI TOU TUM LOGO NAY MUJTAHIDEEN KA NARA LAGANA START KAR DIA??
>> KYA TUMHARAY MUJTAHID MASOOM HOTAY HAIN?? KYA VO KOI GHALTI NAHE KARSAKTAY?? KYA TUM LOG UNKI KHAMOSHI MAI BHI UNKI TAQLEED KARO GAY??? AGR KHAMOSHI MAI BHI UNKI TAQLEED KARO GAY TOU ZARA BATAO AYATULLAH BAQAR US SADR NAY SADDAM K KHILAF JIDOJIHAD KI... MOHSINULHAKEEM NAY KI... UNKI FAMILY NAY KI.... LEKIN AYATULLAH KHOI KHAMOSH RAHAY AB ZARA BATAO TOU K TAQLEED KIS KI KARO GAY????
3a8082e126