Zawiya jitna nigahon ka sanwar jata hai,
Tera rukhsaar b utna he nikhar jata hai,
Aese lamhaat b aate hain rah_e_ulfat mein,
Ya wafa hath se jati hai ya to sar jata hai,
Main tere gham mein bhala ashq bahaon kab tak,
Aankh to aankh hai darya b utar jata hai,
hasti_e_gul hai faqat chand adao,n pe muheet,
Phool sharmata hai, hansta hai bikhar jata hai,
Qurbat_e_yaar se "Mohsin" ko baqqa milti hai,
zarf parwane ka chhota hai k mar jata hai