Jay Bharat
Vijay Ghatborikaraji Aapka bahot bahot Dhanyawad 'Arthshastra of
Chanakya' uplabdh karane ke liye. Ek vinti hai agar apke pass ( ya aur
kisi ke pas ) Hindi aur Gujarati Bhasha me ho to wo uplabdh karaye.
Mahamati MahaAacharya MahaAmatya Chanakyaji ki kai pustake hai jaise
ki - 'Chanakya Niti' / 'Chanakya Sutrani' / 'Kautilya nu
Arthashastra' / 'Bhagawan Kautilya' / Chanakyaji pe likhi
gai koi bhi Kitab ya Lekh adi.
Aur unke samay ko ‘Bharat ka Suvarna Yug’ kaha gaya hai jo Bharat ne
kabhi nahi dekha tha aur aaj tak nahi dekha, us Yug ko “Gupta Yug”
bhi kahate hai. To is Gupta Yug pe likhi gai Kitab ya Eitihasik
Navalkatha ho to vo bhi jarur uplabth karaye, koi Web-Link ho to
bataye.
Mere pas Shri Ramavatar Vidhyabhaskar dvara anuvadit
“ChanakyaSutrani”
ki (Hindi me) pdf file hai use Google Group pe kaise upload karna hai
iska margadarshan kare. Aap is link se bhi Download kar sakte hai
http://sanskritebooks.wordpress.com/tag/chanakya/ -->
http://www.mediafire.com/?nnwokqrufr4gg94
Iske ilava Shriman Dhumketu ji ki likhi “Gupta Yug Navalkathavally”
bhi
bazaar me uplabdh hai jo us Yug ki Sabhyata, Sansruti, Rajya
Vyavastha, RajNiti, Taknik, Samrudhi, Vaibhav, Kala-Kruti, Shaurya,
Sandhi, Praja aur Raja,
MahaMantri (Maha Amatya) ki mahatta, Rashtra Bhakti, adi kai pahalu
ko
prastut karti bahut Umada likhi gai hai. Ise avashya padhe.
Muje Hindi me likhana ho to kai se likhe koi bataye.
Dhanyawad
Nirmal Jansari
Bhuj-Kutch
+91 9724314292