Assalamualikum,
Dear Shahab Ahmad Saheb,
Please find required sher which is as,
THEY TOW AABA WOH TUMHARAY HI MAGAR TUM KYA HO,
HAATH PER HAATH DHARAY MUNTAZIRAY FARDA HO.
beside this I will try tosubmit SHIKWAH now as follows (Please forgive my spellings and typing mistakes) :
Kiyoon Ziyaan Kaar Banoon Sood Faramoosh Rahoon?
Fikr E Farad Na Karoon, Mehw E Gham Doosh Rahoon
Nalay Bulbul K Sunoon Aur Hamatan Goosh Rahoon
Hamnawa! Mein Bhi Koi Gul Hoon K Khamoosh Rahoon?
Jurrat A Mooz Taree Tab E Sukhn, Hai Mujh Ko
Shikwa Allah Say Khakum Ba Dahan, Hai Mujh Ko
Why should I be destructive and remain reckless of betterment?
Think not of the future, remain occupied in today’s problems?
Should I hear nightingale’s wails, and remain completely silent?
O companion! Am I some flower so that I may remain silent?
The strength of my poetry is encouraging to me
Woe be to me 1! My remonstrance is against God!
Hai Baja Shaywa E Tasleem Mein Mashoor Hein Hum
Qissa Dard Sunatay Hein K Majboor Hein Hum
Saaz Khamoosh Hein, Faryaad Say Ma'moor Hein Hum
Nalaa Aata Hai Agar Lab Pay, To Ma'zoor Hein Hum
Ay Khuda! Shikwa E Arbab O Wafa Bhi Sun Lay
Khogar E Hamd Say Thora Sa Gila Bhi Sun Lay
It is true that we are famous in the methods of obeisance
But we are relating our story of pain out of
compulsion
Though a silent orchestra, we are full of complaint
If the wailing comes to lips we are excusable
O God! Listen to the remonstrance also from the faithful
Listen to some complaint also from the one accustomed to praise you
Dil se jo baat nikalti hai, asar rakhti hai,
Par nahin, taaqat-e-parwaaz magar rakhti hai.
Qudsi-ul-asal hai, rif-atpe nazar rakhti hai,
Khaak se uthti hai, gardoon pe guzar rakhti hai.
Ishq tha fitna gar-o-sarkash-o-chalaak mira,
Aasman cheer gaya nala-e-bebaak mira. _______________
Whatever comes out of the heart is effective
It has no wings but has the power of flight
It has holy origins, it aims at elegance
It rises from dust, but has access to the celestial world
My love was seditious, rebellious and clever
My fearless wailing rent through the sky
Pir-e-gardoon ne kaha sun ke, kahin hai koi!
Bole sayyaare, sar-e-arsh-e-barin hai koi!
Chaand kahta tha, nahin, ahl-e-zamin hai koi!
Kahkashaan kahti thi, poshida yahin hai koi!
Kuchh jo samjha tau mere shikwe To Rezwan samjha,
Mujhe jannat se nikala hua insaan samjha. _______________
On hearing it the sun said, “Somewhere there is somebody!”
The planets said, “At the ‘Arsh-i-Barân there is somebody!”
The moon was saying, “No, it is some inhabitant of the earth!”
The milky way was saying, “Somebody is concealed just here”!
If someone understood my Remonstrance Riîw«n did
He understood me as the Man turned out of the Paradise
Thi To Mojood Azal Say He Taree Zaat Qadeem
Phool Tha Zaib E Chaman, Par Na Pareshaan Thi Shamim
Shart Insaaf Hai Ay Sahib E Altaf E Ameem
Bo E Gul Phailti Is Tarhe Jo Honti Na Nasim
Hum Ko Jamiat E Khatir Yeah Pareshaani Thi
Warna
Ummat Teray Mehboob Ki Deewani Thi.
Though Thy Eternal Essence had existed since eternity
The flower existed in the garden but fragrance had not dispersed
Justice is a condition, O Lord of Universal Benevolence
How could flower’s fragrance spread if zephyr did not exist?
This problem’s solution was the source of satisfaction to us
Otherwise was the Holy Prophet’s Ummah insane?
Hum Say Pehlay Tha Ajab Tairay Jahan Ka Manzar
Kaheen Masjood Thay Pathar Kaheen Ma'bood Shajar!
Khogar E Paiker E Mehsoos Thi Insaan Ki Nazar
Manta Phir Koi Un-Daikhay Khuda Ko Kiokar
Tujh Ko Maloom Hai Laita Tha Koi Naam Tera?
Quwwat E Baazo E Muslim Nai Kiya Kaam Tera!
The scene of Thy world was strange before us
Stones were adored somewhere, trees were worshipped somewhere
The eyes of Man were accustomed to tangible forms
How could they be amenable to accept the Unseen God?
Doth Those know who ever told Thy beads?
The strength of the Muslim’s arm completed Thy task!
Thi farishton ko bhi hairat, ke yeh aawaaz hai kya!
Arsh waalon pe bhi khulta nahin yeh raaz hai kya!
Taa sar-e-arsh bhi insaan ki tag-o-taaz hai kya?
Aa gai khak ki chutki ko bhi parwaaz hai kya?
Ghaafil aadaab se yeh sukkaam-e-zamin kaise hain,
Shokh-o-gustaakh yeh pasti ke makin kaise hain, _______________
Even angels exclaimed in surprise “What could this voice be!
Unknown even to the ‘Arsh’s keepers what the secret could be!
Is the mankind’s reach really even to the ‘Arsh?
Has this pinch of dust also learned flight?
How ignorant of good manners the earth’s denizens are!
How bold and insolent these denizens of the low are!
Is qadar shokh ke Allah se bhi barham hai,
Tha jo masjud-e-malaik yeh wohi Aadam hai?
Aalam-e
kaif hai, dana-e-ramuz-e-kam hai,
Haan, magar ijaz ke asrar se namahram hai.
Naaz hai taaqat-e-guftaar pe insaanon ko,
Baat karne ka saliqa nahin nadaanon ko! _______________
Is he so insolent that even angry with God he is?
Is he the same Man who once worshipped by angels was ?
He is the knower of Kamm, and of the enigmas of Kaif
But, he is unacquainted with the secrets of modesty
Mankind are proud of the power of their rhetoric
These ignorant people are incapable of talking”!
Bus Rahay Thay Yaheen Saljooq Bhi, Torani Bhi
Ehl E Chee Cheen Mein, Irani Mein Sasani Bhi
Isi Ma'moor Mein Aabad Thay Yonani Bhi
Isi Dunya Mein Yahoodi Bhi Thay Nasrani Bhi
Per Tairay Naam Pe Talwaar Uthaii Kiss Nai?
Baat Jo Bigri Howi Thi, Wo Banaii Kiss Nai?
Saljuqs were living here and the Turanâs also
The Chinese in China and in Iran the
Sasanâs also
The Greeks were also living in the same habitation
In the same world were the Jews and the Christians also
But who raised the sword in Thy name?
Who reclaimed the despoiled world in Thy name?
Aai aawaaz ghum-angez hai afsana tira,
Ashk-e-betaab se labrezhai paimana tira.
Asman gir hua nalaye mastana tera
Kis kader shokh zaban hai deley dewana tera
Shukr shikwe ko kiya husn-e-ada se tu ne,
Hum sakhun kar diya bandon ko khuda se tu ne.
A voice came “Very pathetic is your story
Full of restless tears is your wine-measure
You sweetened the Remonstrance with elegant graces
You established intercourse between God and His people
We are inclined to Mercy, but there is no one to implore
Whom can we show the way ? There is no wayfarer to the destination
Thay Hameen Aik Teray Ma'ar K Aaraoon Mein
Khushkiyoon Mein Kabhi
Lartay, Kabhi Daryaaon Mein
Dee Azanein Kabhi Europe K Kaleesaoon Mein
Kabhi Afreeqa K Taptay Hoay Sehraon Mein
Shaan Aankhon Mein Na Jajti Thi Jahandaaron Ki
Kalima Parhtay Thay Hum Chaaon Mein Talwaaron Ki
We alone were the marshals of Thy troops!
We were fighting now on land and now in the oceans
Some times we were calling adhans in the Europe’s cathedrals
And sometimes in the scorching African deserts
We never cared for the grandeur of monarchs
We recited the Kalimah under the shade of swords
Khud kushi Shewa tumhara wo Ghuyur-o-Khuddar
Tum ukhuwwat se gurezan, wo ukhuwwat pe nisar
Tum ho Guftaar sarapa, wo sarapa Kirdar
Tum taraste ho kali ko wo gulistaan bakinar
Ab talak yaad hai Qaumon ko hikayat unki
Naqsh hai safha-e-hasti pe sadaqat unki
Hum Jo Jeetay Thay, To Jangoon Ki Musibat K Liyeah
Aur Martay Thay Teray Naam Ki Azmat
K Liyeah
Thi Na Kuch tez Zani Apni Hakomat K Liyeah
Sir Bakaf Phirtaythey Kia Dehr Mein Dawlat K Liyeah
Qaum Apni Jozaro Maal Jahan Per Marti
But Farooshi K Iwaz But Shikni Kiyoon Karti!
If we lived we lived for the calamities of wars
If we died we died for the grandeur of Thy name
We did not wield the sword for our kingdoms
Did we roam about the world fearlessly for wealth?
If our nation had been greedy of worldly wealth
Why would we have been idol breakers instead of idol sellers?
Haath be-zor hain, ilhaad se dil khoo-gar hain,
Ummati baais-e-ruswai-e-paighamber hain.
But-shikan uth gaye, baaqi jo rahe but-gar hain,
Tha Brahim pidar, aur pisar Aazar hain.
Bada aasham naye baaqi naya khum bhi naye,
Harm-e-Kaaba naya, but bhi naye, tum bhi naye.
Arms are feeble, hearts are accustomed to apostasy
The ‘believers’ are a source of disgrace to the Prophet
Idol-breakers have departed, the rest are idol-makers
Though the father was Ibr«hâm the sons are ÿzar
The wine-drinkers, the wine, even the decanters are new
The sanctuary of the Ka‘bah, the idols, even you are new
Tal Na Sakay Thay, Agar Jang Mein Urh Jatay Thay
Paoon Shairoon K Bhi Maidaan Say Ukhar Jatay Thay
Tujh Say Sirkash Howa Koi, To Bigar Jatay Thay
Taigh Kia Cheez Hai? Hum Toap Say Lar Jatay Thay
Naqsh Toheed Ka Her Dil Pay Bithaya Hum Nai
Zeer E Khanjar Bhi Yeah Paighaam Sunaya Hum Nai
Once firmly standing in the battle we were immovable
Even lions in the battle against us would be in flight
We were enraged if some one rebelled against Thee
Not to talk of sword we were fighting against canons
We impressed Tawéâd’s picture on every heart
We conveyed this
message even under the dagger
Wo bhi din thay ke yihi maayai raanaa-i thaa
Naazish-i mausami gul laala-i Sahra-i tha
Jo musalman tha allah ka shaida-i tha
Kabhi mahboob tumhara yihi harjai tha
Kisi yakjai sey ab ahd-i ghulaami karlo
Millat-i Ahmad-i Mursil ko Moqami karlo
(There was a time when this alone was the source of beauty
The wild tulip was the pride of the season of spring
Whichever Muslim there was, the Lover of Got he was
A while ago your beloved this very Unfaithful was
Make the covenant of fealty now with some local one
Make the Ummah of the Holy Prophet a local one.)
Tu He Keh Day K Ukhara Dar Khyber Kiss Nai
Shehr E Qaiser Ka Jo Tha Is Ko Kiya Sir Kiss Nai?
Toray Makhlooq Khudaoon K Paiker Kiss Nai?
Kaat Ker Rakh Diyeah Kuffaron K Lashkar Kiss Nai?
Kiss Nai Thanda Kia Aatish Kada E Iran Ko?
Kiss Nai Phir Zinda Kia Tazkara E Yazdaan Ko?
Tell us Thou, by whom was uprooted the gate of Khaibar7
By whom was conquered the city which was Qaisar’s?
By whom were the images of created gods destroyed?
By whom were the armies of infidels slaughtered?
By whom was the fire temple of Iran extinguished?
By whom was the story of Yazdan restored to life?
Jin ko aata nahin Duniya me koi fan tum ho
Nahin jis qaum ko parwaaye Nasheman tum ho
Bijliyaan jis me ho aasuda, wo Khirman tum ho
Bech khaate hain jo aslaaf ke madfan tum ho
Ho niko naam jo Qabron ki tijarat karke
Kya na bechoge jo miljaayen sanam paththar ke ?
Kaun Si Qaum Faqat Teri Talabgaar Howi?
Aur Teray Liyeah Zehmat Kash E Paiker Howi?
Kiss Ki Shamsheer Jahangir, Jahandar Howi?
Kiss Ki Takbeer Say Dunya Teri Baidaar Howi?
Kiss Ki Haibat Say Sanam Sehmay Hoay Rehtay Thay
Moun K Bal Girtay Ho Allah Ho Ahad Kehtay Thay
Which nation did become Thy seeker exclusively?
And became embroiled in wars’ calamities for Thee?
Whose world-conquering sword did world-ruler become?
By whose Takbâr did Thy world enlightened become?
Through whose fear idols did perpetually alarmed remain?
Falling on their faces saying “Huwa Allah O Ahad did remain?
Kis Kader tum pe gira subah ki naadari he?
Hum se kab pyaar he haa neend tumhe pyaari he.
Taba'e aazad pe Qaid-e-Ramazan bhari hai
Tum hi kah do kya yahi aaen-e-vafa dari hai
Qaum Mazhab se hai, Mazhab jo nahi tum bhi nahin
Jazb-e-baaham jio nahi Mahfil-e-anjm bhi nahin
Agaya Yain Larai Mein Agar Waqt E Namaaz
Qibla Ro Ho K Zameen Boos Hoee Qaum E Hijaaz
Aik He Saf Mein Kharay Ho Ga'ay Mehmood O Ayaaz
Na Koi Banda Raha Na Koi Banda Nawaaz
Bunda O Sahib O Muhtaaj O Ghani Aik
Hoay
Teri Sarkaar Mein Pohchay To Sab He Aik Hoay
If the time of prayer right during the battle fell
Hijaz’ nation in prostration facing the Ka’abah fell
Both Mahmud and Ayaz in the same row stood
None as the slave and none as the master stood
The slave and the master, the poor and the rich all became one!
On arrival in Thy Audience all were reduced to one!
Kaun hai Taarik-e-Aain-e-Rasool-e-Mukhtaar?
Maslihat Waqt ki hai kis ke Amal ka Ma'iyar?
Kis ki aankhon me samaya hai Shi'aar-e-Aghyaar?
Ho gayi kis ki nigah Tarz-e-Salaf se Bezaar?
Qalb me Soz nahi, Rooh me Ehsaas nahin
Kuch bhi Paigham-e-Muhammad(SAW) ka tumhen paas nahin
Mehfil E Kon O Makaan Mein Sehr O Shaam Phiray
Mai Tauheed Ko Lay Ker Saft E Jaam Hoay
Koh Mein, Dasht Mein Lay Ker Tera Paighaam Phiray
Aur Maa'loom Hay Tujh Ko Kabhi Nakaam Phiray
Dasht To Dasht Hein Darya Bhi
Na Choray Hum Nai
Behr E Zulmaat Mein Dora Diyeah Ghoray Hum Nai
We continuously wandered all over the world
We wandered like the wine-cup with Tawéâd’s wine
We wandered with Thy Message in the mountains, in the deserts
And doth Thou know whether we ever returned unsuccessful?
What of the deserts! We did not spare even oceans!
We galloped our horses in the dark ocean!
Shor hai ho gaye duniya se musalmaan naabood,
Hum yeh kahte hain ke the bhi kahin Muslim maujood?
Waza mein tum ho nisari, tau tamuddan mein Hanood,
Yeh musalmaan hain! Jinhen dekh ke sharmain Yahud?
Yun to sayyad bhi ho mirza bhi ho afghan bhi ho
Tum sabhi kuch ho, batao to musalmaan bhi ho?
Clamor is that Muslims have disappeared from the world
We ask whether the Muslims were present anywhere?
In fashion you are Christians, in culture you are Hindus
Are these
Muslims ! Who put the Jews to embarrassment!
Saf A E Dehr Say Baatil Ko Mitaya Hum Nai
No'h Insaan Ko Ghulami Say Churaya Hum Nai
Tere Kaa'bay Ko Jabeenoon Say Basaya Hum Nai
Tere Quran Ko Seenon Say Lagaya Hum Nai
Phir Bhi Hum Say Yeah Gila H Ke Wafadaar Nahi
Hum Wafadar Nahi, Tu Bhi To Dildaar Nahi
We effaced falsehood from the earth’s surface
We freed the human race from bonds of slavery
We filled Thy Ka’bah with our foreheads
We put Thy Qur’an to our hearts
Still Thou complaineth that we are lacking fealty
If we are lacking fealty Thou also art not generous
Safah-e-dahar se baatil ko mitaya kis ne?
Nau-e-insaan ko ghulami se chhuraya kis ne?
Mere Kaabe ko jabeenon se basaya kis ne?
Mere Quran ko seenon se lagaya kis ne? _______________
The tau aaba who tumhaare hi, magar tum kya ho?
Haath par haath dhare muntezir-e-farda ho!
Who effaced false worship from the face of the world?
Who rescued the human race from slavery ?11
Who adorned my Ka‘bah with their foreheads in Love?
Who put my Qur’«n to their breasts in reverence?
They were surely your ancestors, but what are you ?
Sitting in idleness, waiting for tomorrow are you !
Ummatein Aur Bhi Hein, Is Mein Gunaahgaar Bhi Hein
Ijz Walay Bhi Hein Mast Maye Pandaar Bhi Hein
In Mein Kaahil Bhi Mein, Ghaafil Bhi Hein, Hushyaar Bhi Hein
Sainkroon Hein Jo Tere Naam Say Beezar Bhi Hein
Rehmatein Hein Teere Aghyaar K Kashaanon Per
Barq Girti Hai To Becharay Musalmaanon Per
There are other ummahs, among them are sinners also
There are modest people and arrogant ones also
Among them are slothful, indolent as well as clever people
There are also hundreds who are
disgusted with Thy name
Thy Graces descend on the other people’s abodes
Lightning strikes only the poor Muslims’ abodes
Munfa ek hai is qaum ki, nuqsaan bhi ek,
Ek hi sab ka nabi, din bhi, imaan bhi ek,
Harm-e-paak bhi, Allah bhi, Quran bhi ek,
Kuchh bari baat thi hote jo musalmaan bhi ek! _______________
Firqa bandi hai kahin, aur kahin zaaten hain.
Kya zamane mein panpaneki yehi baaten hain?
The gain of this nation is one, also the loss is one
Only one is the prophet of all, deen is one, imaan is one
The Holy £aram is one, God is one, Qur’an also is one
Would it have been very difficult for Muslims to be one
Sects abound somewhere and somewhere are castes!
Are these the ways to progress in the world?
But Sanam Khaanon Mein Kehtay Hein Musalmaan Ga'ay
Hai Khushi Unko K Kaa'bay K Nigahbaan Ga'ay
Manzil E Dehr Say Oonton K Hudi Khuwaan Ga'ay
Apni Baghloon Mein Daba'ay Hoay Quraan Ga'ay
Khanda Zan Kufr Hai, Ehsaas Tujhay Hai K Nahi?
Apni Tauheed Ka Kuch Paas Tujhay Hai K Nahi?
The idols in temples say ‘The Muslims are gone’
They are glad that the Ka’bah’s sentinels are gone
From the world’s stage the hudi singers are gone
They, with the Qur’an in their arm pits, are gone
Infidelity is mocking, hast Thou some feeling or not?
Dost Thou have any regard for Thy own Tawheâd or not?
Wa'ez-e-Qaum ki wo pukhta khayali na rahi
Barq taba'i na rahi, sho'la maqali na rahi
rah gayi rasm-e-azan rooh-e-bilaali na rahi
falsafa rah gaya, talqeen-e-gazali na rahi
Masjiden marsiya khwan hain ke Namazi na rahe
Ya'ni wo sahab-e-awsaaf-e-Hijaazi na rahe
Yeah Shikayat Nahi, Hein In K Khazanay Maa'moor
Nahi Mehfil Mein Jinhein Baat Bhi Karnay
Ka Sha'oor
Qehr To Yeah Hai K Kaafir Ko Milein Hoor O Qusoor
Aur Becharay Musalmaanon Ko Faqt Wada O Hoor
Ub Woh Altaf Nahi, Hum Pay Inayaat Nahi
Baat Yeah Kia Hai K Pehli Si Madaraat Nahi?
We do not complain that their treasures are full
Who are not in possession of even basic social graces
Outrageous that infidels are rewarded with Houris and palaces
And the poor Muslims are placated with only promise of Houris
We have been deprived of the former graces and favors
What is the matter, we are deprived of the former honors?
Kya kaha? "bahr-e-musalmaan hai faqt waade-e-hur,"
Shikwa beja bhi kare koi tau laazim hai shaoor!
Adal hai faatir-e-hasti ka azal se dastur,
Muslim aaeen hua kafir tau mile hur-o-qasur; _______________
Tum mein hooron ka koichahne wala hi nahin,
Jalwa-e-tur tau maujood hai, Moosa hi nahin.
What did you say?
“For the Muslim is only the promise of houri
Even if the Remonstrance be unreasonable decorum is necessary
Justice is the Creator of Existence’ custom since eternity
When the infidel adopts Muslim ways he receives houris and palaces
Not a single one among you is longing for houris
The Effulgence of tur exists but there is no Moses
Kiyoon Musalmaanon Mein Hai Dolat Dunya Nayaab
Tairee Qudrat To Hai Woh Jinki Na Had Hai Na Hisaab
Tu Jo Chahay To U thay Seena E Sehra Say Habaab
Rehro E Dasht Ho Seeli Zada Mooj Saraab
Taa'n E Aghyaar Hai, Ruswaai Hai, Nadari Hai
Kia Tere Naam Pay Marnay Ka A'wiz Khuwari Hai?
Why is the material wealth rare among Muslims?
Thy omnipotence is boundless and inestimable
With Thy Will the desert’s bosom would produce bubbles
The desert’s rambler can be facing flood of mirage’s waves
Others’ sarcasm, disgrace and poverty is our lot
Is abjection the reward for Loving Thee?
Jaa ke hote hain masaajid mein saf-aara tau gharib,
Zahmat-e-roza jo karte hain gawara tau gharib.
Naam leta hai agar koi hamara, tau gharib,
Pardah rakhta hao agar koi tumhara, tau gharib. _______________
Umra nasha-e-daulat mein hain ghafil hum se,
Zinda hai millat-e-baiza ghurba ke dam se.
If some array themselves in mosques, it is the poor
If some endure the discomfort of fasting it is the poor
If some are reverent to Us it is the poor
If some hide your faults it is the poor
The rich in their arrogance of wealth are negligent of Us
The Millat-i-Baiza is alive on the strength of the poor
Bani Aghyaar Ki Ub Chahnay Wali Dunya,
Reh Gayi Apnay Liyeah Aik Khayali Dunya!
Hum To
Rukhsat Hoay Auron Nai Sambhali Dunya
Phir Na Kehna Howe Tauheed Say Khaali Dunya!
Hum To Jeetay Hein K Dunya Mein Tera Naam Rahay
Kaheen Mumkin Hai K Saaqi Na Rahay, Jam Rahay?
Now, this world is the lover of others
For us it is only an imaginary world
We have departed, others have taken over the world
Do not complain now that devoid of Tawheâd has become the world
We live with the object of spreading Thy fame in the world
Can the wine-cup exist if the cup-bearer does not live?
Mardum-e-Chashm-e-Zamin yaani wo kaali duniya
Wo tumhaare Shohada paalne waali duinya
Garmi mahar ki parvarda hilaali duniya
Ishq waale jise kahte hain bilaali duniya
tapish andoz hai is naam se paare ki tarah
Gauta zan noor mein hai aankh ke taare ki tarah
Hum tau mayal ba-karam hai, koi sayal hi nahin,
Rah dikhlain kise rahraw-e-manzil hi nahin.
______
Tarbiat aam tau hai, jauhar-e-qabil hi nahin,
Jis se taamir ho aadam ki yeh who gil hi nahin.
Koi qabil ho tau hum shan-e-kai dete hain;
Dhoondne waalon ko duniya bhi nai dete hain!