The poet is Shaad (Ali Mohammed) Azim aabadi, contemporary of Haali n Shabli.....one of the beautiful verses from same poem is....
Ho jaaye bakheda paak kahin, paas apnay bula lain, behter hai
Ab dard e judayee say unki, aye aah! Bahot betaab hain hum
Regards
Zubair
--
Murghan-e-Qafs ko Phooloon Ne Aey Shaad Yeh kehla bheja haiAana Ho Jo tumko Aa Jao Aisay Main Abhi Shaadaab Hain Hum:مُرغانِ قفس کو پھولوں نے اے شاد یہ کہلا بھیجا ہےآنا ہے جو تم کو آ جاؤ ایسے میں ابھی شاداب ہیں ہم
Dhuundhoge agar mulkoN mulkoN milne ke nahiiN, naayaab haiN ham
taabiir hai jiskii hasrat-o-gam, aye ham nafsoN voh Khwaab haiN ham
aye dard pataa kuchh tuu hii bataa ab tak ye moamma hal na huaa
ham meN hai dil-e-betaab nihaaN yaa aap dil-e-betaab haiN ham
maiN hairat-o-hasrat ka maaraa khamosh khaDaa huuN saahil par
daryaa-e-mohabbat kahtaa hai aa kuchh bhii nahiiN paayaab haiN ham
laakhoN hii musaafir chalte haiN manzil pe pohaNchte haiN do ek
aye ahl-e-zamaana qadr karo naayaab na hoN kamyaab haiN ham
murgaan-e-qafas ko phuuloN ne aye Shaad ye kahlaa bhejaa hai
aa jaao jo tumko aanaa hai aise meN bhii shaadaab haiN ham
Shad Azeemabadi
|