Assalam o Aliqum,
Please find the attached file , Please download all files and read it when you are free.
Please keep forwarding this email to your friends and family , Jazak Allah)
Ramzan ka mahina bara he babarkat mahina hay , is mahinay may insan kay rizq may izafa kerdiya jata hay , Ramzan kay mahinay may naiki karnay ka sawab aam din kay muqablay may zada hojata hay or isi tarah buray kernay karnay ka gunah bhee berh jata hay , Ramzan
ka mahina aisa mahina hay jis may shayateen ka jaker diya jata hay. Ramzan kay mahinay may hamay zada say zada naik kam kernay ki koshish kerni chaiyay , Ramzan kay mahinay kay tamam Rozay ikhlas kay sath rakhnay chaiyay , hamari koshish honi chaiyay kay hamari
tamam Namaz jamat kay sath masjid may jaker ada ki jaye or khawateen ko khas khayal rakhna chaiyay kay un ki koi Namaz Qaza na ho or tamam Namaz waqt per gher bhee ada kee jaye , Farz Namaz kay sath Nafil Namaz ka khas khayak Rakhna jaye or Namaz e Taraweeh
khas tor per perhi jaye , Quran majeed or Namaz to her hal may her roz baqaidgi say perhni hi chaiyay likin Ramzan may is ka zada say zada khayal rakha jaye , Quran majeed ki tilawat zada say zada ki jaye. Ramzan kay mahinay may zada say zada Allah say dua
mangi jaye , zada say zada Durood Shareef perhnay ki koshish ki jaye, Sadqa , Khairat zada say zada kiya jaye , burai say bachnay ki or naik amal kernay kl koshosh ki jaye. Ramzan kay under hamay burai say bachna chaiyay werna Ramzan kay mahinay or us may
Roza rakhnay ka koi faida nahee hoga , Hum nay roza rakha likin namaz waqt per ada nahee ki , ganay sun na band nahee kiyay , behayai walay kam kerna or behaayi wali cheezay daikhna band nahee kiya , jhoot bolna nahee chora , naap tol may kami kerna nahee
chora , haram kamana or haram khana or haram khana khatam nahee kiya to koi faida nahee hay Rozay rakhnay ka , Geebat kerna khatam nahee ki , kisi ki geebat kerna or kisi per bohtan lagana khatam nahee kiya to koi faida nahee hay Roza rakhnay ka , ap ko her
kisam kay buray kam say bachna hay .Sehri kay bad daikha gaya hay log sojatay hay , Fajar or Isha ki Namaz bajamat ada kernay ki her mumkin koshish ki jaye , Sehri say pehlay thora uth jaye or Tahajud ki Namaz perhlay , isi tarah Sehri kay bad Suraj tuloo
honay ka intizar kerlay or Namaz Ishraq perhnay ka aihtamam kerlain , isi tarah magrib ki Namaz kay bad Namaz Awabeen perhlijyay , Salat Tasbeeh ki Namaz perhnay ka jab moqa milay us ko perhnay ka aihtamam kerlijyay. Ramzan kay mahinay may zada say zada Allah
ka zikar kernay ki koshish keray , Sadqa , Khairat or zakat ada kernay ki koshish kijyay , Kisi Roza dar ka Roza khulwadijyay , Garz yay ka yap ko apna waqt Naik kam kernay may guzarna hay or burai say bachna hay ap ko. Ramzan kay mahinay may daikha gaya
hay kay log bagair kisi waja kay Roza nahee rakhtay hay jo kay bohat hi buri bat hay, Jo shaks bagair kisi waja kay aik bhe Roza chorday or us kay bad zindagee bher woh Roza rakhta rahay to woh us Rozay kay jo us nay bagair kisi waja say chora tha us Rozay
jay barabar nahee hosakta , aksar daikha gaya hay kay Roza rakhnay kay bawajood or Ramzan kay kahinay may bhe Gana sun na , dramay Daikhna , Film Daikhnay, Fahashi Uryani ki cheezay daikhna or kerna khatam nahee hota hay , Dukandar or Sabzi or Phal Farosh
naap tol may kami kertay hay , Najaiz qeemat wasool kertay hay phal or Sabzi ki , Koi Namaz ki pabandi nahee ker raha hota hay , Allah hamay hidayat naseeb keray , Allah hamay gunaho say bachnay or naik amal kernay ki toufeeq ada farmaye or Hamay Ramzan kay
tamam Rozay rakhnay , Namaz ki pabandi kernay , Quran majeed ki tilawat kernay , Allah ka zikar kernay ,zada say zada naik amal kernay or Gunaho say bachnay ki toufeeq ada farmaye (Ameen)