Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

قومى ترانہ

73 views
Skip to first unread message

Macabre Tel Aviv

unread,
May 1, 2008, 11:49:29 AM5/1/08
to
قومى ترانہ


پاک سرزمین شاد باد
كشور حسين شاد باد
تو نشان عزم عالیشان
! ارض پاکستان
مرکز یقین شاد باد
پاک سرزمین کا نظام
قوت اخوت عوام
قوم ، ملک ، سلطنت
! پائندہ تابندہ باد
شاد باد منزل مراد
پرچم ستارہ و ہلال
رہبر ترقی و کمال
ترجمان ماضی شان حال
! جان استقبال
سایۂ خدائے ذوالجلال

Kali Hawa

unread,
May 2, 2008, 6:42:49 AM5/2/08
to
On May 1, 8:49 pm, "Macabre Tel Aviv" <xxtakxxnos...@hotmail.com>
wrote:
paak sarzameen shaad baad
kishwar haseen shaad baad
tu nishaan azm aalishaan !
arz pakistaan
markaz yaqeen shaad baad
paak sarzameen ka nizaam
quut aKhuut aawaam
qaum mulk saltnat !
paaindah taabindah baad *
shaad baad manzil muraad
parcham sitaarah o halaal
rahbar taraqee o kamaal
tarzumaan maazii shaan haal !
jaan istaqbaal
saaiie Khudaaye zawaaljalaal **


Please correct it if I got it wrong and explian * and ** lines

Thanks

Kali Hawa

Naseer

unread,
May 3, 2008, 6:17:46 AM5/3/08
to
qaumii taraanah

paak sar-zamiin shaad baad
kishvar-i-Hasiin shaad baad

tuu nishaan-i-'azm-i-'aalii-shaan
'arz-i-Pakistan

markaz-i-yaqiin shaad baad

paak sar-zamiin kaa nizaam
quvvat-i-uKHuvvat-i-'avaam

qaum, mulk, saltanat
paa'indah, taabindah baad

shaad baad manzil-i-muraad

parcham-i-sitaarah-o-Hilaal
rah-bar-i-taraqqii-o-kamaal

tarjumaan-i-maazii, shaan-i-Haal
jaan-i-istiqbaal

saayah-i-KHudaa-i-zu_ljalaal

baad, in this context=rahe
KHudaa-i-zu_ljalaal= jalaal vaalaa KHudaa= majestic God, loosely God
almighty

Naseer

Message has been deleted

Kali Hawa

unread,
May 3, 2008, 6:42:43 AM5/3/08
to
> Naseer- Hide quoted text -
>
> - Show quoted text -

Janab Naseer Sahib,

aadaab


Please explain the entire line

> paa'indah, taabindah baad

and

> saayah-i-KHudaa-i-zu_ljalaal


and tell me if you are angry with me?

shukriya o aadaab arz hai.


Kali Hawa


Naseer

unread,
May 3, 2008, 7:11:20 AM5/3/08
to

janaab-i-Kala Sahib, aadaab 'arz hai.

> qaum, mulk, saltanat
> paa'indah, taabindah baad

May the nation, the dominion, the realm
be enduring and refulgent..

i.e. Long live the...and may its future be bright.

>saayah-i-KHudaa-i-zu_ljalaal

the shadow of God almighty.

I believe the implication is something like, "may the (shadow of) the
flag be as it were, God almighty's shadow over us. I am open to other
friends' interpretations.

I have posted my views to you. Whether I am angry or not does not make
one iota's difference. What is important is whether you still regard
your actions to be honourable.

KHair-KHvaah,
Naseer

Naseer

unread,
May 9, 2008, 5:46:55 PM5/9/08
to
Haaziriin-i-maHfi, aadaab 'arz hai.

I saw the following translation in English of Pakistan's Qaumii
taraanah which I thought was pretty accurate.

paak sar-zamiin shaad baad
kishvar-i-Hasiin shaad baad
tuu nishaan-i-'azm-i-'aalii-shaan
'arz-i-Pakistan
markaz-i-yaqiin shaad baad

Blessed be the sacred land
Happy be the bounteous realm
Symbol of high resolve
Land of Pakistan!
Blessed be thou, citadel of faith

paak sar-zamiin kaa nizaam
quvvat-i-uKHuvvat-i-'avaam
qaum, mulk, saltanat
paa'indah, taabindah baad
shaad baad manzil-i-muraad

The order of this sacred land
Is the might of the brotherhood of the people
May the nation, the country, and the state
Shine in glory everlasting!
Blessed be the goal of our ambition

parcham-i-sitaarah-o-Hilaal
rah-bar-i-taraqqii-o-kamaal
tarjumaan-i-maazii, shaan-i-Haal
jaan-i-istiqbaal
saayah-i-KHudaa-i-zu_ljalaal

This flag of the crescent and star
Leads the way to progress and perfection
Interpreter of our past, glory of our present
Inspiration of our future!
Symbol of the Almighty's protection


KHair-KHvaah,
Naseer

Raj Kumar

unread,
May 9, 2008, 6:46:09 PM5/9/08
to
On May 9, 2:46 pm, Naseer <qures...@googlemail.com> wrote:
> Haaziriin-i-maHfi, aadaab 'arz hai.
>
> I saw the following translation in English of Pakistan's Qaumii
> taraanah which I thought was pretty accurate.

Naseer saahib, yeh to hu'aa aap ke qaumii taraane ka aNgrezii zabaan
meiN tarjama. ab --- baqaul-e-Majeed Laahaurii ---"ko'ii Khudaa ka
baNda hamaare qaumii taraane ka tarjama hamaari qaumii zabaan meiN bhi
to kare"! :)

R.K.

---------------------

UVR

unread,
May 9, 2008, 6:53:21 PM5/9/08
to
On May 9, 3:46 pm, Raj Kumar <rajkumarq...@hotmail.com> wrote:
> On May 9, 2:46 pm, Naseer <qures...@googlemail.com> wrote:
>
> > Haaziriin-i-maHfi, aadaab 'arz hai.
>
> > I saw the following translation in English of Pakistan's Qaumii
> > taraanah which I thought was pretty accurate.
>
> Naseer saahib, yeh to hu'aa aap ke qaumii taraane ka aNgrezii zabaan
> meiN tarjama. ab --- baqaul-e-Majeed Laahaurii ---"ko'ii Khudaa ka
> baNda hamaare qaumii taraane ka tarjama hamaari qaumii zabaan meiN bhi
> to kare"! :)
>
> R.K.
>

mujhe to lagaa k Naseer saahib ne Pakistan ke qaumi taraane
kaa tarjumaa apni (aur meri-aapki bhi!) qaumi zubaan hi meN
meN kiyaa hai! :) LOL!

-UVR.

Naseer

unread,
May 9, 2008, 8:00:06 PM5/9/08
to
janaab-i-Raj Kumar Sahib awr janaab-i-UVR Sahib aadaab 'arz hai.

On May 9, 11:53 pm, UVR <u...@hotmail.com> wrote:
> On May 9, 3:46 pm, Raj Kumar <rajkumarq...@hotmail.com> wrote:
>
> > On May 9, 2:46 pm, Naseer <qures...@googlemail.com> wrote:
>
> > > Haaziriin-i-maHfi, aadaab 'arz hai.
>
> > > I saw the following translation in English of Pakistan's Qaumii
> > > taraanah which I thought was pretty accurate.
>
> > Naseer saahib, yeh to hu'aa aap ke qaumii taraane ka aNgrezii zabaan
> > meiN tarjama. ab --- baqaul-e-Majeed Laahaurii ---"ko'ii Khudaa ka
> > baNda hamaare qaumii taraane ka tarjama hamaari qaumii zabaan meiN bhi
> > to kare"! :)
>
> > R.K.
>
> mujhe to lagaa k Naseer saahib ne Pakistan ke qaumi taraane
> kaa tarjumaa apni (aur meri-aapki bhi!) qaumi zubaan hi meN
> meN kiyaa hai! :) LOL!

mujhe aap kii baatoN se yuuN lagtaa hai kih merii yih posT aap kii
Gham-zadah zindagiyoN meN LOL le aaii hai awr aap mujhe yih KHush-
KHabarii bataane ke liye barq-raftaarii se aan pahuNche haiN:)

dekhiye janaabaan-i-muHtaramii, har zabaan ke muKHtalif "register"
hote haiN awr Pakistan kaa qaumii taraanah usii register meN hai jis
meN Ghalib kii shaa'irii kaa ek KHaasaa Hissah hai. maiN itnaa 'arz
kar duuN kih go yih taraanah merii maadarii zabaan meN nahiiN hai
lekin phir bhii merii qaumii zabaan meN zaruur hai, KHvaah Majeed
Lahiihori kuchh bhii kahe. awr is ke ma'nii se maiN apne primary
school ke zamaane hii se vaaqif thaa.

kuchh logoN kaa qaul hai kih is taraane se ek "kaa" kaa lafz nikaal
diyaa jaae to yih taraanah Farsi zabaan kaa ho jaae gaa. un kii
ma'luumaat ke liye itnaa kahe detaa huuN kih Farsi meN "paak sar-
zamiin shaad baad" nahiiN kahte, balkih "sar-zamiin-i-paak shaad baad
" kahte haiN. lihaazah "kaa" ke nikaalne se bhii yih Farsi taraanah
nahiiN ban saktaa.

mere taraane ke Urdu tarjume kii baat aap logoN ne chheRii hai. kyaa
"jaana, gaana, maanaa" aap kii qaumii zabaan meN hai? Let's all now
ROL!!:) haaN agar "taraanah-i-Hindi" ko aap apnaa qaumii taraanah
samajhte haiN to vuh vaaqi'ii aap kii apnii zabaan meN hai!! By the
way, UVR Sahib, maiN ne yih tarjumah nahiiN kiyaa. kisii awr KHudaa ke
bande ne kiyaa hai.

Please take the contents of this post in the same vein as your posts.
No hard feelings intended.

KHair-andesh,
Naseer

Afzal A. Khan

unread,
May 9, 2008, 9:51:28 PM5/9/08
to
Naseer wrote:


> dekhiye janaabaan-i-muHtaramii, har zabaan ke muKHtalif "register"
> hote haiN awr Pakistan kaa qaumii taraanah usii register meN hai jis
> meN Ghalib kii shaa'irii kaa ek KHaasaa Hissah hai. maiN itnaa 'arz
> kar duuN kih go yih taraanah merii maadarii zabaan meN nahiiN hai
> lekin phir bhii merii qaumii zabaan meN zaruur hai, KHvaah Majeed
> Lahiihori kuchh bhii kahe. awr is ke ma'nii se maiN apne primary
> school ke zamaane hii se vaaqif thaa.
>
> kuchh logoN kaa qaul hai kih is taraane se ek "kaa" kaa lafz nikaal
> diyaa jaae to yih taraanah Farsi zabaan kaa ho jaae gaa. un kii
> ma'luumaat ke liye itnaa kahe detaa huuN kih Farsi meN "paak sar-
> zamiin shaad baad" nahiiN kahte, balkih "sar-zamiin-i-paak shaad baad
> " kahte haiN. lihaazah "kaa" ke nikaalne se bhii yih Farsi taraanah
> nahiiN ban saktaa.
>
> mere taraane ke Urdu tarjume kii baat aap logoN ne chheRii hai. kyaa
> "jaana, gaana, maanaa" aap kii qaumii zabaan meN hai? Let's all now
> ROL!!:) haaN agar "taraanah-i-Hindi" ko aap apnaa qaumii taraanah
> samajhte haiN to vuh vaaqi'ii aap kii apnii zabaan meN hai!! By the
> way, UVR Sahib, maiN ne yih tarjumah nahiiN kiyaa. kisii awr KHudaa ke
> bande ne kiyaa hai.
>
> Please take the contents of this post in the same vein as your posts.
> No hard feelings intended.

> Naseer


Naseer Saheb,

I can understand your feelings. It is every nation's prerogative
to choose its National Anthem, and that choice (and its language)
should be respected.

BTW, it is not quite "jaana, gaana, maana" in the Indian Anthem.

Also, I (for one) can understand without difficulty the entire
Anthem posted by you, in its original form, though I do not know
Faarsi. And I am sure some of our ALUP friends do likewise.
And, I am certain, a great many of your countrymen too.

As regards Majeed Lahori, please do not react as if he was some
profound scholar. He was a humorist/satirist and poking fun at
various things was his profession and source of livelihood ---
much like political cartoonists. You may perhaps recall a sher
by Akbar Ilaahabadi :

Bas~ke tha naama-e-a'amaal mira hindi men
Koi paRh hi na saka, mil gayee fil~faur najaat

Majeed Lahori was born in Gujrat District of Punjab around 1917
and died in Karach in June 1957. Some years back, "Dawn"
(the Pakistani newspaper) had published a short article on him
where, inter alia, it was stated that "the intellectual level of
Majeed's humour was not very high as he was not an intellectual
type".

It is interesting to note that he was quite capable of writing in
a "language" or "register" which is not all that different from
the vocabulary one finds in your Anthem. For instance, here are
a few lines from his poem on Gujrat (where he was born) :


KHitta-e-Gujrat

Mera maulid hai KHitta-e-Gujrat
Naazish-e-rooh, raNg-e-roo-e-hayaat

KHuld bar~dosh Khwaab hai us ka
Jaan-e-Kausar 'Chenaab' hai us ka

Qud'siyoN ki jabeeN ka noor hai yeh
RaNg-e-naqsh-e-Kaleem-o-Toor hai yeh

'Aalam-e-sar~KHushi men behta hai
'Ishq ki daastaan kehta hai

Hai yeh tasweer KHuld~zaaroN ki
Hai yeh rooh-e-rawaaN bahaaroN ki

GHaur se dekho in haseenoN ko
Meh~jabeenoN ko, naazneenoN ko

In pe qurbaan maah ki tanweer
Aur tasadduq ho in pe mehr-e-muneer

In dinoN hai yehi mira maaman
Jannat-e-husn hai mira maskan


So, all in all, you need not be concerned all that much on
his comment. To use a modern idiom, "just chill" !

Afzal

UVR

unread,
May 10, 2008, 10:36:31 AM5/10/08
to
On May 9, 5:00 pm, Naseer <qures...@googlemail.com> wrote:
> janaab-i-Raj Kumar Sahib awr janaab-i-UVR Sahib aadaab 'arz hai.
>
> On May 9, 11:53 pm, UVR <u...@hotmail.com> wrote:
>
>
>
> > On May 9, 3:46 pm, Raj Kumar <rajkumarq...@hotmail.com> wrote:
>
> > > On May 9, 2:46 pm, Naseer <qures...@googlemail.com> wrote:
>
> > > > Haaziriin-i-maHfi, aadaab 'arz hai.
>
> > > > I saw the following translation in English of Pakistan's Qaumii
> > > > taraanah which I thought was pretty accurate.
>
> > > Naseer saahib, yeh to hu'aa aap ke qaumii taraane ka aNgrezii zabaan
> > > meiN tarjama. ab --- baqaul-e-Majeed Laahaurii ---"ko'ii Khudaa ka
> > > baNda hamaare qaumii taraane ka tarjama hamaari qaumii zabaan meiN bhi
> > > to kare"! :)
>
> > > R.K.
>
> > mujhe to lagaa k Naseer saahib ne Pakistan ke qaumi taraane
> > kaa tarjumaa apni (aur meri-aapki bhi!) qaumi zubaan hi meN
> > meN kiyaa hai! :) LOL!
>
> mujhe aap kii baatoN se yuuN lagtaa hai kih merii yih posT aap kii
> Gham-zadah zindagiyoN meN LOL le aaii hai awr aap mujhe yih KHush-
> KHabarii bataane ke liye barq-raftaarii se aan pahuNche haiN:)
>
> dekhiye janaabaan-i-muHtaramii, har zabaan ke muKHtalif "register"
> hote haiN awr ... [snip snip SNIP!]

>
> mere taraane ke Urdu tarjume kii baat aap logoN ne chheRii hai. kyaa
> "jaana, gaana, maanaa" aap kii qaumii zabaan meN hai? Let's all now
> ROL!!:) haaN agar "taraanah-i-Hindi" ko aap apnaa qaumii taraanah
> samajhte haiN to vuh vaaqi'ii aap kii apnii zabaan meN hai!! [SNIP!]
>

Naseer saahib,

It's my turn to say "you didn't 'get' it."

huzoor, Khaaksaar ne to bas itnaa 'arz kiyaa thaa k aap kaa post-
kardah tarjuma to pahle hi se us "qaum" ki qaumi zabaan meN hai jahaaN
ke aap baashinde haiN! (ya'ani, UK)

"Urdu tarjume" ki baat *maiN* ne kab ki?!

ab yeh aap par hai k apni is 'Ghalati' ki munaasib 'sazaa' Khud
DhooNDeN. :)

-UVR.

Naseer

unread,
May 11, 2008, 5:38:25 AM5/11/08
to

janaab-i-muHtaram UVR Sahib, aadaab 'arz hai.

> > mujhe to lagaa k Naseer saahib ne Pakistan ke qaumi taraane
> > kaa tarjumaa apni (aur meri-aapki bhi!) qaumi zubaan hi meN
> > meN kiyaa hai! :) LOL!

aap ke is jumle ke mutaabiq ek baat jo vaaziH hai vuh yih hai kih
*maiN ne* Pakistan ke qaumii taraane kaa tarjumah kiyaa hai jo durust
nahiiN hai. maiN ne shuruu' hii meN 'arz kiyaa thaa kih mujhe yih
tarjumah internet se milaa hai.vaise is baat par baHs fuzuul hai
kyoNkih yih ma'muulii sii baat hai.

rahii baat merii Ghalat-fahmii kii kih aap ne (bhii) is taraane ke
Urdu tarjume kii baat chheRii hai, us kii maiN aap se Ghair-mashruut
ma'zirat chaahtaa huuN.

merii is Ghalt-fahmii kaa *us* Ghalat-fahmii ke saath ( jis meN
"shiishe" kaa zikr hai) mu'aazanah karte hue, mujhe ummiid hai kih aap
ise faraamosh kar deN ge:)

KHair-KHvaah
Naseer

UVR

unread,
May 12, 2008, 5:42:31 PM5/12/08
to

Naseer saahib, aadaab.

aap ne "doosri baar" yaad dilaayaa to mujhe yaad aayaa. maiN apni
Ghalati qubool karte hue aap se ma'azrat chaahtaa hooN. mazeed sirf
itni "safaa'ii" pesh kar lene ki ijaazat de deN k maiN ne post type
karte waqt lafz "meN #2" ki bajaaye lafz "post" it'emaal kiyaa thaa.
ya'ani --

"Naseer saahib ne tarjuma apni ... qaumi zubaan hi meN post kiyaa
hai."

magar 'post' na jaane kaise 'meN' meN tabdeel ho gayaa! meri is
Ghalati ki wajh se aap ko jo takleef hui, us ke liye maiN sharminda
hooN. aa'inda Khayaal rakhooNgaa.

-UVR.

Naseer

unread,
May 14, 2008, 6:44:02 AM5/14/08
to
Haaziriin-i-maHfil, aadaab 'arz hai.

skuul ke zamaane meN "assembly" ke dauraan ham 'umuum-an Iqbal kii
nazm "lab pih aatii hai..." gaayaa karte the awr aaKHir meN yih qaumii
taraanah. lekin Iqbal kii du'aa kii jagah kabhii kabhii ham yih
"du'aa" bhii gaa lete the.

ai KHaaliq tere jalve kaa hotaa hai nuur zamaane meN
tuu bastaa hai har bastii meN to rahtaa hai viiraane meN

mujhe yih "bastaa hai har bastii meN..." vaalaa shi'r is liye pasand
hai kyoNkih *us* vaqt mere zihn meN *bastaa* ke ma'nii zihn meN
kitaaboN kaa "bastah" huaa karte the!:)

mujhe bas itnaa hii yaad hai. merii jagah Afzal Sahib yaa Raj Kumar
Sahib hote to saarii du'aa un ko yaad hotii. kyaa koii ALUP-er jaantaa
hai kih is kaa shaa'ir kaun hai awr puurii du'aa kyaa hai?

KHair-KHvaah,
Naseer

Naseer

unread,
Sep 3, 2022, 12:30:27 AM9/3/22
to
Haziriin-i-maHfil aadaab,
In 2014, while searching for this "du3aa", I discovered that the poet for it was a man called Roshan Laal who was a teacher at R. B. Sunderdaas High School, Dinga, District Gurjat, Punjab, Pakistan. The wording of the du3aa is..

ai xaaliq tere jalve kaa phailaa hai nuur zamaane meN
tuu bastaa hai har bastii meN, tuu rahtaa hai viiraane meN

Naseer
0 new messages