Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

Shukriya

56 views
Skip to first unread message

Khursheed Ahmed

unread,
Feb 17, 2023, 10:33:08 AM2/17/23
to
Bohat bohat shukriya Arghwan Saheb. Yeh dekh ker khushi aur itmeenan hai ke ALUP mehfil maiN abhi tak aap jesay kher-khwaah aur ba-wafa log maujood haiN jo is bazm ki mehfil sajaaye rakhte haiN. Lekin, kayee aziz dost hum se judaa bhi ho gaye. Lekin yeh to zindagi ka maa'mool hai - koi aataa hai, koi jaataa hai.

Brij Narayan Chakbast Ji ka ek sher yaad aata hai:
Zindagi kiya hai, anaasir maiN zahoor-e-tarteeb
maut kiya hai, in hee ajza' ka pareshaan hona

(anaazsi=elements, zahoor-e-tarteeb=beauty of order, ajza'=pieces/components)

Koshish karooN ga ka waqtan-fa-waqtan is mehfil maiN haazri deta rahooN.

Aap ke istaaqbaal ka dohat bohat shukriya.

Khursheed Ahmed
Hamilton, ON, Canada

On 16-Feb-2023 3:47 p.m., Arghwan Baba wrote:
> Khursheed sahib,
> aadaab,
>> It is wonderful to see you back on Alup after a looooong gap.
Message has been deleted

Zoya

unread,
Feb 17, 2023, 12:19:07 PM2/17/23
to
Khursheed sahib,

sab se pehle to meri jaanib se bhi Arghwan Baba ka shukriya k kisii bahaane aap mehfil meN vaapa to aaye.

lekin...... ab aap vo post dobaara paRhiye, original message jis kaa zikr aap kar rahe haiN, vo maiN ne likhaa tha. :)

Khursheed sahib, ab aap mera bhi shukriyaa adaa kiijiye. :-)

Me being me, chalte chalte Ghalib kaa yeh she'r aap kii nazr:

tum jaano tum ko ghair se jo rasm-o-raah ho
mujh ko bhi puuchhte raho to kyaa gunaah ho?! :-))

Your and your niece's "old" friend,

_________Zoya

Khursheed Ahmed

unread,
Feb 17, 2023, 2:17:23 PM2/17/23
to
Zoya Saheba, array aap to khafaa ho gayeeN. Aap se to bohat puraana rasm-o-riwaaj hai, bhalaa aap ke kesay bhool sakta hooN. Aap to hamesha se hee se is bazm ki shaan rahi haiN. To lijiye, lefz "poochne" per Mushtaq Hashmi Saheb ke ek sher arz hai:

tujhe kis baat kā ġham hai vo itnā pūchh leñ mujh se
vo itnā pūchh leñ mujh se to phir kis baat kā ġham hai

Khursheed

Zoya

unread,
Feb 17, 2023, 5:14:51 PM2/17/23
to
On Friday, February 17, 2023 at 1:17:23 PM UTC-6, Khursheed Ahmed wrote:

> Zoya Saheba, array aap to khafaa ho gayeeN.

Khursheed sahib, maiN aur aap se Khafaa? bilkul bhi nahiiN. In fact, I was smiling while typing my response to you, it was just too tempting to pass up. :)

Aap se to bohat puraana rasm-o-riwaaj hai, bhalaa aap ke kesay bhool sakta hooN. Aap to hamesha se hee se is bazm ki shaan rahi haiN.

aisii baateN mujhe bahut achhii lagti haiN Khursheed sahib, aap idhar aate rahaa kareN aur kehte rahaa kareN.

To lijiye, lefz "poochne" per Mushtaq Hashmi Saheb ke ek sher arz hai:

> tujhe kis baat kā ġham hai vo itnā pūchh leñ mujh se
> vo itnā pūchh leñ mujh se to phir kis baat kā ġham hai

> Khursheed

bahut Khuub. javaaban Iftikhar Arif kaa yeh she'r:

Khwaab-e-deriina se ruKhsat kaa sabab puuchhte haiN
chaliye pehle nahiiN puuchhaa thaa to ab puuchhte haiN! :)

________Zoya
0 new messages