aaye din Taal-maTol karte karte, aaKhir voh saa'at aa hi pahuNchi k
maiN, "zaNdagii aur maut" ke dil-chasp mauzoo' par, aap se kuchh
shaa'iraana guft-goo kar sakooN. yooN to is mauzoo' par kehne vaaloN
ne bahut kuchh kahaa hai magar mera manshaa yahaaN sirf un baatoN se
hai jinheN Urdu sho'raa ne apne Khusoosi aNdaaz meiN bayaan kiyaa hai!
ummeed hai k aap sabhi dostoN ko yeh baateN utni hi dil-kash aur
dil-aavez lageN gi jitni mujhe lagii haiN!
sab se pehle to maiN yeh arz karna chaahooN ga k, ziNdagii aur maut ke
mauzoo' ka zikr chhiRte hi, na jaane kyooN, sab se pehle hamaare zehn
meiN janaab-e-Chakbast ka yeh laa-faani she'r ubhartaa hai:
ziNdagii kyaa hai? anaasir ka zuhoor-e-tarteeb
maut kyaa hai? inheeN ajzaa ka pareshaaN honaa!
she'r bahut Khoob hai --- aek gambheer mas'ale par achchhi-Khaassi
raushnii Daalta hai, bahut had tak sachchaa'ii par mabnii hai, kuchh
kuchh 'scientific' bhi hai aur Ghaur se dekhaa jaaye to, kaafi had
tak, maz_habi aqeedoN se be-niyaaz bhi hai. phir bhi, is she'r meiN
aek kamii hai --- voh yeh k jazbaat se sar-aa-sar aarii hai aur
she'riyat se mehroom! bar-aks is ke, maiN aap ko is mazmoon meiN kuchh
aise ash'aar se roo-shinaas karaana chaahata hooN jo k, haqq-o-baatil
ki parvaa na karte huye bhi, kam-az-kam she'riyat se to lab-rez haiN!
----------
Section 1:
hamaare mo'aashire ne maut ko kuchh aisa "hauvva" banaa rakkha hai k
har shaKhs ko har vaqt is ka khaTkaa lagaa rehtaa hai. albatta,
maqaam-e-shukr hai k hamaare sho'raa-e-karaam ne jaa-ba-jaa, apni
raushan-zameeri ka sahaara lete huye, hameN is be-jaa khaTke se
be-niyaaz hone aur be-niyaaz rehne ki talqeen kii hai. misaal ke taur
par, aap mulaahiza kareN janaab-e-Aasi ka yeh she'r:
umr faanii hai to phir maut se Darnaa kaisaa?
ik na ik roz yeh haNgaam hu'aa rakkhaa hai!
I love the phraseology at the end of this she'r!
yaa phir aap Jigar Saahib ko dekhiye:
yeh misra, kaash, naqsh-e-har-dar-o-deevaar ho jaaye
"jise jeenaa hai, marne ke liye taiyaar ho jaaye"!!!
aur isi baat ko Mirzaa Ghaalib ne, apne Khusoosi aNdaaz meiN, kyaa
Khoob kahaa hai; farmaate haiN k
havas ko hai nashaat-e-kaar kyaa kyaa!
na marnaa ho to jeene ka mazaa kyaa!!!
albatta, mauzoo' aisaa ho aur janaab-e-Faani kisi se peechhe reh
jaayeN? No way at all!
to, leejiye, ab aap un ka yeh she'r suniye aur sar dhuniye; farmaate
haiN k
har nafas umr-e-guzashta ki hai mayyat, Faani!
ziNdagii naam hai "mar mar ke" jiye jaane kaa!!!
aur Ghaaliban yihi vajah hai k
umr bhar masroof haiN marne ki taiyaarii meiN log
aek din ke jashn ka hotaa hai kitnaa eihtemaam!!!!!
[?]
----------
Section 2:
ab agar yeh baat tai ho hi gayii hai k maut koi "bhyaanak jaanvar"
naheeN hai --- bal-k, hamaari ziNdagi ka aek "aTooT hissa" hai --- to
phir (jab yeh aaye to) kyooN na ise haathoN-haath liyaa jaaye, gale se
lagayaa jaaye aur is ka (dil khol kar) istiqbaal kiya jaaye?
to, is zimn meiN, aap sab se pehle to Khwaaja Meer Dard ka yeh
dil-kash-o-dil-fareb da'ava suniye; farmaate haiN k
maze jo maut ke aashiq bayaaN kabhoo karte
Maseeh-o-Khizr bhi marne ki aarzoo karte!!!
magar, yaaro, jo ta'assur janaab-e-Be-Khud Dehlvi ne pesh kiyaa hai,
us ka to koi javaab hi naheeN! aaN-hazrat, apni aek Ghazal meiN (jo k
za'eef-ul-umrii ke aalam meiN kahii gayee thi), farmaate haiN k
naz'a meiN, saamne ik "soorat-e-zebaa" aa'ii!
maut chehre se haTaatii hu'ii parda aa'ii!!!!!
dekha aap ne? kyaa 'imagery' hai aur kyaa husn-e-bayaaN hai!!!
albatta, jab baat maut ki ho rahi ho to bhalaa janaab-e-Faani kisi se
peechhe reh jaayeN? :-))
farmaate haiN k
aaj roz-e-visaaaaaal hai, Faani!
maut se ho rahe haiN raaz-o-niyaaz!!!!!!!!
aur ab sham'a-e-mehfil janaab-e-Firaaq ke saamne aati hai; aur huzoor
ka, is zimn meiN, irshaad hai k
ham ishq ki vaadii ke haiN sayyaah azal se!
tanhaa kabhi phirte haiN kabhi "maut ke hamraah"!!!
azeezo aur azeeziyo, you'll rarely find any other poet who was more
comfortable with this topic than Firaaq was. aek aur jagah farmaate
haiN k
abhii ham yaad karte the tujhii ko!
tirii, ai maut, "lambiiiiii ziNdagii" hai!!!
----------
Section 3:
hamaare adab meiN, maut ko aek Khusoosi taur se ahamiyat di gayee hai
--- voh is liye k, ba-zaahir, maut hameN ziNdagii ki tamaam-tar
su'oobatoN se nijaat dilaati hai. yeh baat hamaare bahut se sho'raa ne
kahii hai aur baar baar kahii hai --- go k har aek ke kehne ka DhaNg
judaa hai.
is zimn meiN, sar-e-fehrist Ghaalib ka yeh mash_hoor-e-zamaaN she'r
hai:
qaid-e-hayaat-o-baNd-e-Gham asl meiN dono aek haiN
maut se pehle aadamii Gham se nijaat paaye kyooN???
aur yihi baat kisi aur shaa'ir ne yooN kahii hai --- aur, Khudaa jhooT
na bulvaaye, kyaa Khoob kahii hai:
subuk-dosh-e-masaa'ib ziNdagii meiN kaun hotaa hai?
qazaa jab tak naheeN aatii, garaaN-jaaanii nahiiN jaatii!
[?]
aur ab sham'a-e-mehfil Khudaa-e-suKhan jaab-e-Meer ke saamne aatii
hai; sub_haan Allah, kyaa misra kahaa hai:
Meer kab tak "ba-haal-e-marg" jiyeeN?
vaah, vaa! yaaraan-e-mehfil zaraa socheN to --- jeenaa, aur voh bhi
ba-haal-e-marg!
ba-har-haal (yes, pun intended!), poora she'r yooN hai:
Meer kab tak ba-haal-e-marg jiyeN?
kuchh bhi is ziNdagii se haasil hai???
dosto, ab zaraa sambhal ke baiTh jaao aur, is zimn meiN, yeh
"five-star" she'r suno; saath hi saath, mu'aaf kar do is
Khaaksaar-be-navaa ko ise is vaqt shaa'ir ka naam yaad naheeN aa rahaa
--- magar yaqeen jaano k she'r 'priceless' hai. arz hai k
milaa marne vaaloN ko aaraam voh!
k uThne ka lete naheeN naam voh!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
[?]
aur ab aap ko yeh jaan kar hairat bhi hogi aur Khushi bhi k, Khair
sham'a-e-mehfil to naheeN albatta, "mehfil ki mom-batti" aek shaa'ir
(jo Qais Qais kar ke huye haiN un) ke saamne aa rukii hai. vaise to
yeh hazrat aise haiN k jinheN, ba-qaul-e-shaKhse,
"marne ki taufeeq naheeN hai, jeene ki auqaat naheeN",
phir bhi dekhiye in ki deeda-dileri k aise "gambheer vishe" par bhi
qalam-zan hone ki jasaarat karne se naheeN chooke! farmaate haiN k
yeh ziNdagi to mujhe qatl karne vaalii thii!
bhalaa ho maut kaa, jis ne bachaa liyaa mujh ko!!!
Now, what do you think of that --- guys? :-))
----------
To be continued --- Raj Kumar
"ziNdagee aur maut" - bohot khoob. I loved the collection.
".......bhalaa ho maut kaa....." bohot hi khoobsoorat sher kahaa hai Qais
saaheb ne. shukriyaa.
vinod
>
> aur ab aap ko yeh jaan kar hairat bhi hogi aur Khushi bhi k, Khair
> sham'a-e-mehfil to naheeN albatta, "mehfil ki mom-batti" aek shaa'ir
> (jo Qais Qais kar ke huye haiN un) ke saamne aa rukii hai. vaise to
> yeh hazrat aise haiN k jinheN, ba-qaul-e-shaKhse,
>
> "marne ki taufeeq naheeN hai, jeene ki auqaat naheeN",
>
> phir bhi dekhiye in ki deeda-dileri k aise "gambheer vishe" par bhi
> qalam-zan hone ki jasaarat karne se naheeN chooke! farmaate haiN k
>
> yeh ziNdagi to mujhe qatl karne vaalii thii!
> bhalaa ho maut kaa, jis ne bachaa liyaa mujh ko!!!
>
> Now, what do you think of that --- guys? :-))
>
> ----------
>
> To be continued --- Raj Kumar
R K Sb, aadaab!
aap ke mazmuun kii is pahlii qist ko bil.aaKhir paRhne kaa sharaf
haasil huaa, aur hasb-e-tavaqqo mutaaliah lutf.angez saabit huaa.
qaabil-e-Ghaur baat ye hai ki go beshtar ash.aar sune hue haiN,
tarteeb aur peshkash ke niraalepan se dilchaspii baharhaal qaayam
rahtii hai. is koshish par merii naacheez mubaarakbaad qubuul
farmaaiye. aaindah qist kaa intizaar rahegaa.
niyaazmand,
Irfan :Abid:
Raj Kumar saahib,
is Khoobsoorat mazmoon ke liye merii jaanib se shukriya aur
mubaarakbaad qubool farmaayeN. aap ke is mazmoon kii yeh
yeh pahlii qist aayii to aate-aate, lekin jab aayii to apne
daaman meN baRe dilchasp rang sameTe aayii! is meN kuchh
sh'er jaane-pahchaane mile, kuchh sh'er naye-anjaane -- au'
har aik aap ki tahreer ke dilchasp haar meN is Khoobsoorati
se piroya hua mila, k qasam se (ALUP ke) woh bachpan ke din
yaad aa gaye (I'm sure you know what I'm talking about).
ba-qaul-e-'angrezaaN', it was totally worth the wait.
bhai, ab to "sher ke muNh Khoon lag chukaa hai" -- aaindah
aqsaat kaa besabri se intizaar rahegaa (I hope there is
more than one).
-UVR.
PS:
> abhii ham yaad karte the tujhii ko!
> tirii, ai maut, "lambiiiiii ziNdagii" hai!!! [Firaq]
Incredible! Fantabulous!!!!
> milaa marne vaaloN ko aaraam voh!
> k uThne ka lete naheeN naam voh!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
> [?]
is se janaab Sudarshan Faakir ka ek sh'er yaad aa gayaa:
chaltii raahoN meN _yuN hii_ aaNkh lagii hai, 'Faakir'
bheeR logoN kii haTaa do! k maiN zindaa huuN abhii!
(agar yeh sh'er aap ke kisi aainda mazmoon meN shaamil
hone vaala thaa, to ma'azrat!)
> yeh ziNdagi to mujhe qatl karne vaalii thii!
> bhalaa ho maut kaa, jis ne bachaa liyaa mujh ko!!!
>
> Now, what do you think of that --- guys? :-))
"Awesome!" aap kaa yeh sh'er jab (pichhle saal) se
sunaa hai, ise maiN do-chaar baar 'quote' bhi kar
chukaa hooN.
> To be continued --- Raj Kumar
... intizaar aur abhi, aur abhi, aur abhi :))
-UVR.
>
> "ziNdagee aur maut" - bohot khoob. I loved the collection.
>
> ".......bhalaa ho maut kaa....." bohot hi khoobsoorat sher kahaa hai Qais
> saaheb ne. shukriyaa.
Vinod Saahib:
hausla-afzaa'ii ke liye, aap ka bahut bahut shukriya. maiN Khush hooN
k aap ko yeh kaavish pasaNd aa'ii magar, huzoor, abhi to aur bahut
kuchh baaqi hai --- paRhna mat bhooliye ga! :-))
aur jo aap ne Khaksaar ke she'r ko Khusoosi taur se saraahaa hai, us
se to meri saari agli-pichhli takaan door ho gayee hai! Special
thanks for that!!!
R.K.
>
>
> aap ke mazmuun kii is pahlii qist ko bil.aaKhir paRhne kaa sharaf
> haasil huaa, aur hasb-e-tavaqqo mutaaliah lutf.angez saabit huaa.
> qaabil-e-Ghaur baat ye hai ki, go beshtar ash.aar sune hue haiN,
> tarteeb aur peshkash ke niraalepan se dilchaspii baharhaal qaayam
> rahtii hai. is koshish par merii naacheez mubaarakbaad qubuul
> farmaaiye. aaindah qist kaa intizaar rahegaa.
>
Irfan Saahib:
mere is mazmoon par, aap ne apni pasaNdeedagi ka izhaar kar ke mujhe,
har lihaaz se, masroor-o-mutma'in kar diya hai. aap ki is navaazish ke
liye, aap ka bahut bahut shukriya.
baaqi, jahaaN tak "tarteeb aur peshkash" ki baat hai, voh to aek
she'rii mazmoon ke laazimi anaasir hu'aa karte haiN aur unheeN par to
ziyaada vaqt sarf hota hai --- varna yeh sabhi ash'aar mere
bar-sar-e-lab to the hi! vaise yeh bhi ain mumkin hai k, kuchh ALUPers
ke liye, bahut se ash'aar naye bhi hoN ge!
ba-har-haal, ab agli qist aayaa hi chaahati hai; aap zaraa
Khair-maqdam ke liye taiyaar rahiye ga! :-))
R.K.
shukriya, saahib, k aap ne meri is TooTii-phooTi kaavish par apni
nazar-e-inaayat Daali. aap chooN-k in dinoN be-had masroof haiN, is
liye kisi bhi shaKhs ka yeh chaahana k aap ki tavajjo us ki jaanib
mabzool ho --- can very well end up being "hoping against hope"! Khair
se, maiN to "qismat ka dhanii" niklaa! :-))
> is meN kuchh
> sh'er jaane-pahchaane mile, kuchh sh'er naye-anjaane -- au'
> har aik aap ki tahreer ke dilchasp haar meN is Khoobsoorati
> se piroya hua mila ---
Again, thank you very much for the overly handsome compliment on my
organization of this material, but I am really keen to know how many
of the sixteen ash'aar I quoted in this installment were truly new to
you! I wish all correspondents would let me know of that particular
statistics --- just for fun!
> --- qasam se (ALUP ke) woh bachpan ke din
> yaad aa gaye (I'm sure you know what I'm talking about).
> ba-qaul-e-'angrezaaN', it was totally worth the wait.
>
ya'ani, ALUP ke voh din jab k "Aatish javaaN tha"? :-))
are miyaaN, maiN to ab bhi aise mazameen aur aisi tashreehaat likhne
par aamaada hooN magar kyaa karooN? in dinoN, bazm-e-yaaraaN ki voh
soorat hi naheeN rahi k jo hu'aa karti thi! aaj kal to
yaaraan-e-mehfil ka saara zor "takneeki nikaat" par lag rahaa hai,
she'riyat par naheeN lag rahaa! goya, baateN hoti haiN to
Shams-ul-Rahmaan Faarooqi ki, na k Jigar Muraadaabaadi ki! :-((
> bhai, ab to "sher ke muNh Khoon lag chukaa hai" -- aaindah
> aqsaat kaa besabri se intizaar rahegaa (I hope there is
> more than one).
>
yaqeenan, mazeed aqsaat aane ko haiN --- sirf aek naheeN, bal-k do!
aur, haaN, qist #2 meiN mazeed 17 ash'aar hoN ge aur qist #3 meiN 11
--- goya, yeh poora mazmoon kul 44 ash'aar par mushtamil hoga!
>
> > abhii ham yaad karte the tujhii ko!
> > tirii, ai maut, "lambiiiiii ziNdagii" hai!!! [Firaq]
>
> Incredible! Fantabulous!!!!
>
lagta hai k yeh she'r aap ke liye nayaa tha. aur, huzoor, yeh she'r to
maiN ne Khud Firaaq Saahib ke muNh se sunaa tha --- aur ain isi liye
maiN ne lafz "lambii" ko yooN phailaaaaaa diyaa tha jaise Khud Firaaq
Saahib ne phailaaya tha!!!
> > milaa marne vaaloN ko aaraam voh!
> > k uThne ka lete naheeN naam voh!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
> > [?]
>
> is se janaab Sudarshan Faakir ka ek sh'er yaad aa gayaa:
>
> chaltii raahoN meN _yuN hii_ aaNkh lagii hai, 'Faakir'
> bheeR logoN kii haTaa do! k maiN zindaa huuN abhii!
>
> (agar yeh sh'er aap ke kisi aainda mazmoon meN shaamil
> hone vaala thaa, to ma'azrat!)
>
naheeN, Faakir Saahib ka yeh she'r (agarch bahut achchha hai, magar)
mere mazmoon meiN aane ka naheeN tha --- kyooN-k, is she'r meiN,
"haqeeqi maut" ka zikr naheeN hai; faqat "aarzi neeNd" ka zikr hai,
jise kuchh (be-baihra) log "maut" samajh baiThe the!
> > yeh ziNdagi to mujhe qatl karne vaalii thii!
> > bhalaa ho maut kaa, jis ne bachaa liyaa mujh ko!!!
> >
> > Now, what do you think of that --- guys? :-))
>
> "Awesome!" aap kaa yeh sh'er jab (pichhle saal) se
> sunaa hai, ise maiN do-chaar baar 'quote' bhi kar
> chukaa hooN.
>
My goodness --- you liked this she'r so much that you have even quoted
it on occasion! magar aek baat bataaiye --- aur, yeh baat bataate
vaqt, apna daahana haath zaraa oopar uThaaiye --- k jab aap ne yeh
she'r quote kiyaa tha to kyaa asl shaa'ir ka naam liyaa tha yaa k yooN
kahaa tha --- "haazireen-e-mehfil, suniye yeh laa-javaab she'r --- jo
k abhi kal raat hi hu'aa hai"! LOLOLOL
Khair-aNdesh, Raj Kumar
Yeah, wouldn't that be fun? jo sh'er mere liye naye the
unheN, aap ke mazmoon se lekar, zail meN (post ke aaKhir
meN) de rahaa hooN.
>> --- qasam se (ALUP ke) woh bachpan ke din
>>yaad aa gaye (I'm sure you know what I'm talking about).
>
> ya'ani, ALUP ke voh din jab k "Aatish javaaN tha"? :-))
ji haaN, wahi jab k "kabootar KhaaN faaKhte uRaataa thaa" ;)
> are miyaaN, maiN to ab bhi aise mazameen aur aisi tashreehaat likhne
> par aamaada hooN magar kyaa karooN? in dinoN, bazm-e-yaaraaN ki voh
> soorat hi naheeN rahi k jo hu'aa karti thi! aaj kal to
> yaaraan-e-mehfil ka saara zor "takneeki nikaat" par lag rahaa hai,
> she'riyat par naheeN lag rahaa! goya, baateN hoti haiN to
> Shams-ul-Rahmaan Faarooqi ki, na k Jigar Muraadaabaadi ki! :-((
is baat par pehle bhi aapkaa-meraa 'mat-bhed' ho chukaa
hai :) merii naacheez raay yeh hai k jab shaa'iri kaa
daaman itnaa wasee' ho saktaa hai k JM aur SURF is meN
samaa jaayeN, to phir ALUP meN bhi kyoN na utnii hii
wus'at ho?
> yaqeenan, mazeed aqsaat aane ko haiN --- sirf aek naheeN, bal-k do!
> aur, haaN, qist #2 meiN mazeed 17 ash'aar hoN ge aur qist #3 meiN 11
> --- goya, yeh poora mazmoon kul 44 ash'aar par mushtamil hoga!
Great! Can't wait!
>>>abhii ham yaad karte the tujhii ko!
>>>tirii, ai maut, "lambiiiiii ziNdagii" hai!!! [Firaq]
>>
>>Incredible! Fantabulous!!!!
>
> lagta hai k yeh she'r aap ke liye nayaa tha. aur, huzoor, yeh she'r to
> maiN ne Khud Firaaq Saahib ke muNh se sunaa tha --- aur ain isi liye
> maiN ne lafz "lambii" ko yooN phailaaaaaa diyaa tha jaise Khud Firaaq
> Saahib ne phailaaya tha!!!
Khud Firaaq saahib se yeh sh'er sun_ne kaa lutf yaqeenan
aur hi rahaa hogaa! albatta yeh sh'er mere liye nayaa
naheeN thaa. Infact, aap hii kii tarah yeh mujhe bhii
muNh-zubaanii yaad hai -- shaayad aap bhool gaye haiN, p'
yeh sh'er mujhe mere ek pasandeeda shaa'ir, janaab-e-Qais
se, Khud apne ek 'maut' vaale sh'er kii wazaahat karte-
karte, sunaayaa thaa. :)) LOL
dar_asl Qais-ji kaa mazkoora sh'er bhi zubaan_zad-e-man
ho chukaa hai --
maut pyaarii hai to mar jaa! magar ai 'Qais'-e-hazeeN
kaun aayegaa tirii laash uThaane waalaa?!
>>>milaa marne vaaloN ko aaraam voh!
>>>k uThne ka lete naheeN naam voh!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
>>>[?]
>>
>>is se janaab Sudarshan Faakir ka ek sh'er yaad aa gayaa:
>>
>>chaltii raahoN meN _yuN hii_ aaNkh lagii hai, 'Faakir'
>>bheeR logoN kii haTaa do! k maiN zindaa huuN abhii!
>>
>>(agar yeh sh'er aap ke kisi aainda mazmoon meN shaamil
>>hone vaala thaa, to ma'azrat!)
>
> naheeN, Faakir Saahib ka yeh she'r (agarch bahut achchha hai, magar)
hai naa? mujhe yeh sh'er bahut pasand hai. It has that
vivid "visual" imagery which Zoya-ji was also referring
to, not too long ago :)
> yeh mere mazmoon meiN aane ka naheeN tha --- kyooN-k, is she'r meiN,
> "haqeeqi maut" ka zikr naheeN hai; faqat "aarzi neeNd" ka zikr hai,
> jise kuchh (be-baihra) log "maut" samajh baiThe the!
Of course. woh to 'k uThne kaa lete naheeN naam woh'
ne mujhe 'yuuN-hi aaNkh lagii hai' kii yaad dilaa dii
thii, bas! But 'bheeR logoN kii haTaa do!' -- *that*
is my favorite part of this sh'er.
>>>yeh ziNdagi to mujhe qatl karne vaalii thii!
>>>bhalaa ho maut kaa, jis ne bachaa liyaa mujh ko!!!
>>>
>>>Now, what do you think of that --- guys? :-))
>>
>>"Awesome!" aap kaa yeh sh'er jab (pichhle saal) se
>>sunaa hai, ise maiN do-chaar baar 'quote' bhi kar
>>chukaa hooN.
>
> My goodness --- you liked this she'r so much that you have even quoted
> it on occasion! magar aek baat bataaiye --- aur, yeh baat bataate
> vaqt, apna daahana haath zaraa oopar uThaaiye --- k jab aap ne yeh
> she'r quote kiyaa tha to kyaa asl shaa'ir ka naam liyaa tha yaa k yooN
> kahaa tha --- "haazireen-e-mehfil, suniye yeh laa-javaab she'r --- jo
> k abhi kal raat hi hu'aa hai"! LOLOLOL
LOL ... I know you're just joking, RK saahib, lekin
chooN-k mumkin hai k aap kii is baat se kisi aur ke
zehn meN koi shakk-o-shub_ha 'utpann' ho gayaa ho,
is liye 'arz hai k maiN *hamesha* yeh zaroor bataataa
hooN k jo sh'er maiN ne sunaayaa hai, kis kaa hai --
unless, of course, the sh'er is my own! :) aap ko
naheeN ma'aloom k merii badaulat aap ke kitne 'fan'
paidaa ho gaye haiN! kambaKht mere apne sh'er naheeN
sunte, 'Qais-Qais' karte, deewaane phirte haiN! :))
LOL! balke, ROTFL!!!!
mKhls
-UVR.
PS: yeh rahi fehrist un ash'aar ki jo maiN ne aap ke
mazmoon meN pehli daf'a paRhe the:
'umr faanii hai to phir maut se Darnaa kaisaa?
ik na ik roz yeh hangaam hu_aa rakkhaa hai! [Aasi]
har nafas 'umr-e-guzashta ki hai maiyat, 'Faani'
zindagi naam hai *mar mar ke jiye jaane kaa*
'umr bhar masroof haiN marne ki taiyaarii meN log
aik din ke jashn kaa hotaa hai *kitnaa* aihtemaam! [?]
naz'a meN saamne ik soorat-e-zeba aa_ii
maut chehre se haTaatii hu_ii parda aa_ii [BeKhud Dehlvi]
aaj roz-e-visaal hai, 'Faani'
maut se ho rahe haiN raaz-o-niyaaz!
subuk-dosh-e-masaaib zindagii meN kaun hotaa hai?
qazaa jab tak naheeN aatii, giraaN-jaanii naheeN jaati [?]
milaa marne vaaloN ko aaraam woh
k uThne kaa lete naheeN naam woh! [?]
RK Sahib,
Very interesting, is mazmuun kii pehlii qist post karne kaa shukriyaa,
aane waalii qistoN kaa iNtezaar hai. aap ne statistics ke liye
puuChhaa hai, to arz hai k aap ke mazmuun meiN ab tak shaamil kiye hue
ashaar meiN se beshtar yaa to mere liye naye haiN, yaa bahut kam sune
hue haiN, sivaaye do tiin ke. aap_kaa iNteKhaab bahut aChhaa lagaa.
vaise mazmuun pa.Dhte vaqt jo ashaar mere zehn meiN aaye haiN, unhe
filhaal hold par Daal rahii huuN, sab qisteN mukkamall hone par
shaayad share karuuNgii.
Waiting for #2,
_________________Zoya
Respected Rajkumar Sahib,
jiska bahut besabri se intezaar thaa, us mazmuuN kii pahlii qist dekh kar
bahut acchaa lagaa, magar is vaqt main tafseel se is mazmuuN ke upar ho rahi
guftguu mein hissaa nahiiN le paaoungaa kyooNki ek bahut hi zaroori kaam se
mujhe kal hi India jaanaa par rahaa hai... plans bahut jaldi mein ban gaye,
is liye vaqt ki abhi bahut tangii ho rahii hai. itna zaroor kahounga ki
aapki pahlii qist poori paDh lii :) .. India pahunch kar jaise hi mauqaa
milega, vaise hi is guftguu mein hissaa lene ki zaroor koshih karounga ...
jaate jaate ... aapkaa bahut shukriya ki aapne itne acche mauzoo par ek
itnaa acchaa mazmoon pesh kiya.
Warm regards,
Amit Malhotra
itna Khubsuurat mazmoon hai ke bhai waah! duusrii qist ka bahut hii
be_chainii se intezaar rahegaa, Khaas_taur pe iss liye ke maine to besh_tar
ash'aar jo aap ne pesh kiye pehle na to paRhe the aur na kabhii sune the.
bahut bahut shukria,
Nahyan Fancy
>
> Very interesting, is mazmuun kii pehlii qist post karne kaa shukriyaa,
> aane waalii qistoN kaa iNtezaar hai. aap ne statistics ke liye
> puuChhaa hai, to arz hai k aap ke mazmuun meiN ab tak shaamil kiye hue
> ashaar meiN se beshtar yaa to mere liye naye haiN, yaa bahut kam sune
> hue haiN, sivaaye do tiin ke. aap_kaa iNteKhaab bahut aChhaa lagaa.
> vaise mazmuun pa.Dhte vaqt jo ashaar mere zehn meiN aaye haiN, unhe
> filhaal hold par Daal rahii huuN, sab qisteN mukkamall hone par
> shaayad share karuuNgii.
>
Zoya Saahiba:
Thanks for your ready response to my long-awaited essay and for the
accompanying statistics.
maiN Khush hooN k aap ko mera "inteKhaab-e-she'r" pasaNd aaya aur,
mera mazmoon paRhte vaqt, jo ash'aar aap ke zehn meiN ubhre the aap ne
unheN fil-haal "hold" par Daal diyaa hai --- achchha kiyaa, varna mere
mazmoon meiN to khalbali mach gayee hoti! :-))
albatta, aap aek kaam zaroor keejiye ga --- voh yeh k jo ash'aar zehn
meiN aayeN unheN *section-wise* 'note' karti jaayeN aur, ba'ad meiN,
ba-taur-e-zameema (ya'ani, in the form of a supplement) ham sab ke
saath 'share' kareN! That, I think, will be great!!!
And insofar as statistics are concerned, I was very much surprised to
learn that a vast majority of the ash'aar I quoted in my essay so far
were, more or less, new to you. mujhe hairat is liye huyee k aap to,
har mauq'e par, dhaRaa-dhaR she'r quote kar diyaa karti haiN; is liye,
mera Khayaal tha k kam-az-kam aap to mere quote-karda ash'aar se kaafi
had tak vaaqif hoN gi. vajah is soorat-e-haal ki Ghaaliban yeh hai k
maiN ne ziyaada tar puraane logoN ke ash'aar quote kiye haiN jab-k aap
muqaabiltan naye sho'raa ko ziyaada paRhti haiN. In other words, lagta
hai k ham meiN aur aap meiN thoRa-bahut "generation gap" hai! LOL
In view of this gap, your proposed supplement will be all the more
worthwhile!
Thanks again for writing.
R.K.
Amit Saahib:
Thanks for your kind response. maiN Khush hooN k aap ne, is
bhaagam-bhaag meiN bhi, kuchh vaqt nikaala aur is mazmoon ko paRhaa.
tafseelii ta'assuraat to aisi soorat-e-haal meiN kahaaN likkhe jaa
sakte the? chaliye, aap ne jaate jaate kam-az-kam apni jaanib se
"acknowledgement" to bhej di! :-))
ab yooN keejiye k apne safar ko Khair-o-aafiyat se mukammal karke
vaapas lauTiye aur aek baar phir is mehfil meiN pehle ki tarah hissa
lena shuroo' keejiye. aur, haaN, jab tak aap India meiN haiN, agar aap
ki ALUP tak rasaa'ii ho sake to is mazmoon ki baaqi qisteN paRhna mat
bhooliye ga! :-))
With best wishes for your trip,
Raj Kumar
aur agar she'r apna ho to phir "shaa'ir ka naam" kyooN naheeN bataate?
is Dar se naheeN bataate k kaheeN log sun_ne se inkaar hi na kar deN?
LOL
yaa phir is Dar se k log kaheeN mehfil se uTh hi na jaayeN? LOL
yaa phir is Dar se k, agar she'r so-so niklaa to, shaa'ir ki aabroo ka
kyaa bane ga? LOL
yaa phir ----------------------------???
> aap ko
> naheeN ma'aloom k merii badaulat aap ke kitne 'fan'
> paidaa ho gaye haiN! kambaKht mere apne sh'er naheeN
> sunte, 'Qais-Qais' karte, deewaane phirte haiN! :))
> LOL! balke, ROTFL!!!!
>
yeh baat hai to ROTFL vaali, phir bhi is ne "mera din to banaa diyaa"!
:-))
> PS: yeh rahi fehrist un ash'aar ki jo maiN ne aap ke
> mazmoon meN pehli daf'a paRhe the:
>
> 'umr faanii hai to phir maut se Darnaa kaisaa?
> ik na ik roz yeh hangaam hu_aa rakkhaa hai! [Aasi]
>
> har nafas 'umr-e-guzashta ki hai maiyat, 'Faani'
> zindagi naam hai *mar mar ke jiye jaane kaa*
>
> 'umr bhar masroof haiN marne ki taiyaarii meN log
> aik din ke jashn kaa hotaa hai *kitnaa* aihtemaam! [?]
>
> naz'a meN saamne ik soorat-e-zeba aa_ii
> maut chehre se haTaatii hu_ii parda aa_ii [BeKhud Dehlvi]
>
> aaj roz-e-visaal hai, 'Faani'
> maut se ho rahe haiN raaz-o-niyaaz!
>
> subuk-dosh-e-masaaib zindagii meN kaun hotaa hai?
> qazaa jab tak naheeN aatii, giraaN-jaanii naheeN jaati [?]
>
> milaa marne vaaloN ko aaraam woh
> k uThne kaa lete naheeN naam woh! [?]
WOW, goya aap jaise "mahaa-rathi" ke liye bhi 16 meiN se 7 she'r naye
the! These statistics are indeed fun!!!
Lest anyone should misunderstand it, I would like to make it very
clear that this staistics-business is for SHEER FUN! mere mazmoon ka
markazi maqsad ALUPers ko naye ash'aar sunaana naheeN hai; is ka
markazi maksad to yeh bataana hai k aik saNjeeda mauzoo' ke
goon-aa-gooN pehluuoN par hamaare sho'raa-e-karaam ne kyaa kyaa baateN
kahii haiN aur kis kis aNdaaz se kahii haiN! ab, is kaar-e-Khair ko
sar-aNjaam dete huye, agar maiN yaar-dostoN ko kuchh aise ash'aar bhi
sunaata chalooN jo un ke liye naye hoN to maiN ise "sone par suhaaga"
samjhooN ga! goya, ash'aar to sabhi ke sabhi cheeda-cheeda hoN ---
magar mazaa aur bhi baRh jaaye agar un meiN se kuchh ash'aar, kuchh
logoN ke liye, naa-shuneeda bhi hoN!
Going back to the above list, Ravindra Saahib, I have one observation
that I can't hold back! aur voh yeh k maiN ne apni is qist meiN
janaab-e-Faani ke sirf do she'r quote kiye the aur voh dono hi aap ke
liye naye nikle! is ka matlab (shaa'id!) yeh hai k aap ne Faani ko
itna naheeN paRhaa jitna k aap jaise suKhan-fehm ko paRhna chaahiye!
agar mera yeh mushaahida bar-haq hai to maiN aap se pur-zor takeed
karooN ga k aap, jab bhi ho sake aur jaise bhi ho sake, Faani ka
kalaam zaroor paRheN! You'll be glad you did!!!
to, leejiye, jaate jaate Faani ka aek laa-javaab she'r pesh-e-Khidmat
hai:
sune jaate na the tum se mire din raat ke shikve
kafan sarkaao, meri be-zabaanii dekhte jaao!!!!!
R.K.
None of the above!!! ... ROTFL
apnaa naam maiN is liye naheeN bataataa k sh'er sunaaye
jaane ke ba'ad kii *zor-daar* taaliyaaN aur waah-waah ke
tham jaane par jab saama'een poochheN k "yeh sh'er kis
kaa hai" to maiN, *dabi-si* aawaaz meN, saraaaaaaaaaapaa
inkisaar ho kar kahooN, "ji, is naacheez kaa", aur phir
ek baar aik round of roaring applause looT looN :)) ...
hahahahaha
> Going back to the above list, Ravindra Saahib, I have one observation
> that I can't hold back! aur voh yeh k maiN ne apni is qist meiN
> janaab-e-Faani ke sirf do she'r quote kiye the aur voh dono hi aap ke
> liye naye nikle! is ka matlab (shaa'id!) yeh hai k aap ne Faani ko
> itna naheeN paRhaa jitna k aap jaise suKhan-fehm ko paRhna chaahiye!
> agar mera yeh mushaahida bar-haq hai to maiN aap se pur-zor takeed
> karooN ga k aap, jab bhi ho sake aur jaise bhi ho sake, Faani ka
> kalaam zaroor paRheN! You'll be glad you did!!!
Your deduction is indeed correct. I have not read much of
Faani's work. I will strive to track down and read some.
Just for my clarification, this is the same gentleman who
was from Shakeel saahib's native town, and the author of
"ik muimmaa hai samajhne kaa, na samjhaane kaa", isn't he?
> to, leejiye, jaate jaate Faani ka aek laa-javaab she'r pesh-e-Khidmat
> hai:
>
> sune jaate na the tum se mire din raat ke shikve
> kafan sarkaao, meri be-zabaanii dekhte jaao!!!!!
-UVR.
>
>
> itna Khubsuurat mazmoon hai ke bhai waah! duusrii qist ka bahut hii
> be_chainii se intezaar rahegaa.
mazmoon pasaNd farmaane par aap ka bahut bahut shukriya. aur jahaaN
tak doosrii qist ka savaal hai, voh to ab tak maNzar-e-aam par aa
chukii hai aur ho sakta hai aap ne dekh bhi li ho! maiN ab is mazmoon
ki teesrii (aur aaKhirii) qist se dast-e-garebaaN hooN!
> Khaas_taur pe iss liye ke maine to besh_tar
> ash'aar jo aap ne pesh kiye pehle na to paRhe the aur na kabhii sune the.
> bahut bahut shukria,
>
chaliye, isi bahaane aap ke maKhzan-e-she'rii meiN kuchh "naye"
ash'aar ka izaafa to hu'aa --- go k yeh ash'aar haiN "puraane logoN"
ke! lagta hai, mu'aamila aap ke saath bhi Ghaaliban vuhi hai k aap
sirf "naye naye sho'raa" ko paRhte haiN; "asl esaateza" ko naheeN
paRhte! :-))
aur yeh bhi mumkin hai k --- likhte ziyaada hoN aur paRhte kam!!!
Right? LOL
Khair-aNdesh, Raj Kumar
P.S. maiN aek baat aap se kehna (yaa poochhna) chaahooN ga --- voh yeh
k aap ka saheeh naam kyaa hai? aur agar aap ka ID hi aap ka saheeh
naam hai to phir is ke ma'ani kyaa haiN? yeh savaal koi tafteeshii
savaal naheeN hai; baat sirf yeh hai k maiN agar kisi shaKhs ke naam
ko Theek tarah se naheeN samajh paata to us shaKhs se "munaasib aNdaaz
meiN" Khitaab bhi naheeN kar paata. nateejatan, maiN umooman aise
shaKhs ki 'posts' ko dar-guzar kar deta hooN! R.K.
Ravindra Saahib,
mere is mohmal se savaal par aap ka yeh lateef sa javaab bahut achchha
lagaa. shukriya!
>
> Your deduction is indeed correct. I have not read much of
> Faani's work. I will strive to track down and read some.
> Just for my clarification, this is the same gentleman who
> was from Shakeel saahib's native town.
ji haaN, yeh hazrat BadaayooN hi se the --- albatta, aap ka yeh kehna
k "this is the same gentleman who was from Shakeel Saahib's native
town" is nothing short of blasphemy! :-((
are miyaaN, voh 'town' to Faani ka hai na k Shakeel ka --- yeh alag
baat hai k Shakeel miyaaN bhi, husn-e-ittefaaq se, vaheeN aa Tapke
the!!! :-))
> and the author of
> "ik muimmaa hai samajhne kaa, na samjhaane kaa", isn't he?
>
bilkul saheeh farmaaya aap ne, huzoor, yeh hazrat vaaqe'ii vuhi haiN k
jin ke tufail se maNdarja-baala misra vujood meiN aayaa tha --- yeh
alag baat hai k unhoN ne mu'amma kahaa tha, muimmaa naheeN kahaa tha!
LOL, bal-k ROTFL
[pakRe gaye na, bar-Khurdaar?]
ba-har-haal, yeh to aap se yooN-hi chheR-chhaaR thi --- haalaaN-k aap
hamaare liye "one of the KhoobaaN" naheeN haiN --- albatta, maiN aap
ko yeh bataana chaahooN ga k Faani ki is Ghazal ne kyaa be-panaah
jaadoo jagaaya tha? jaadoo yeh jagaaya tha k, ba-qaul-e-Firaaq,
[[[ jab maiN Agra jail meiN tha to isi zamaane meiN mere mehrbaan dost
aur qadr-daan hazrat Aarif HaNsavii mar_hoom ke ham-vatan aur dost
hazrat Niyaaz Fatehpuri ne apna mash_hoor risaala "Nigaar" nikaala,
jis ka pehla shumaara Aarif mar_hoom ke paas jail meiN aaya. isi pehle
shumaare meiN, Maani Jaa'isi aur Faani Badaayooni ki
ma'arkata-ul-aaraa GhazleN theeN
-------
-------
Faani ki voh mash_hoor Ghazal isi shumaare meiN niklii thi, jis ka
matla hai:
ik mu'amma hai samajhne ka na samjhaane kaa
ziNdagii kaahe ko hai, Khwaab hai deevaane kaa!
-------
-------
be-Khwaabii aur tanhaa'ii meiN, aek roz (jab raat kuchh bheeg chukii
thi) maiN ne Faani ke mutzikra-baala matle ke taiht, laa-shu'oorii
taur par mut'assir aur moharrik ho kar, aek Ghazal kehni shuroo' ki,
jis ka matla tha:
na samajhne ki yeh baateN haiN na samjhaane kii
ziNdagi "uchTi hu'ii neeNd" hai deevaane kii
nau das baje se shuroo' ho kar, yeh Ghazal hoti rahi, hoti rahi, hoti
rahi aur jab maiN maqte par aane vaalaa tha k raat kaT gayee aur pau
phooTte phooTte maiN ne yeh maqta kahaa:
ujle ujle se kafan meiN, sahar-e-hijr, Firaaq!
aek tasveer hooN maiN raat ke kaT jaane kii!!!!! ]]]
huzoor, yeh iqtebaas Firaaq Saahib ki kitaab Gul-baaNg (1967) ke
ibtedaaiye meiN se hai; I hope, you enjoyed reading it!
If you didn't, read it again!!!
Raj Kumar
bhai ke humne ziyaada_tar asaatiza ko nahiin paRaa yeh sahiih farmaayaa. par
iss liye nahiin ke naye shohr'a ko ziyaada paRhaa hai. dar_asl umr abhii
thoRii kam hai aur Urdu ko Theekh se paRhnaa abhii hii shuruu kiyaa hai.
Dubai kii paidaa_ish-o-rihaa_ish hai to yeh sharaf pehle haasil nahiin
huwaa. ziyaadaa_tar bus Ghazalen sunii.n hain, chand_ek Dubai ke mushaa_iron
kii tapes hain, aur abhii kuch apnii "library men" Ghalib, Mir, Iqbal, Adam,
Ihsan Danish, Faraz aur Parveen Shakir ka izaafa huwaa hai, aur dheere
dheere paRhne kii koshish kar rahaa hoon. baaqii thoRaa kuch phir Nita jii
aur aap jaise suKhan_fehm kii koshishon ka natiijaa hai. insha allah, 10
saal baad aap ko yeh shikaayat nahiin rahegii!! LOL
rahii baat naam kii, jii yeh bilkul meraa aslii naam hai. yaqeen na ho to
aap Google men search kar ke bhii dekh sakte hain. Khaak_saar kii university
ke department ke page pe bhii yeh hii ism-e-giraamii milegaa aap ko. ummeed
hai ab aap muKhaatib hone se hichkichaayenge nahiin! :) rahii baat matlab
kii, to bhai yeh to Arabii ke chand saahib-e-ilm se bhii puuch chukaa hoon
to unhen bhii "Nahyan" ke maa'ni sahiih taur pe nahiin aate. sub iss baat se
ittefaaq go rakhte hain ke nikaltaa "nahy" se hai, jaise ke "nahy an
al-munkar". ab "Nahyan" ka man'a karne se kya ta'alluq hai yeh pataa nahiin.
abba ne to bus UAE ke sadr ke qabiile ke naam pe meraa naam rakh diyaa tha
ke shaayad mujh be_chaare ko woh apnaa len, lekin "yeh na thii humaarii
qismat!" :) niyaaz_mand,
Nahyan Fancy
"Raj Kumar" <rajkum...@hotmail.com> wrote in message
news:c10928a.03031...@posting.google.com...