Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

Looking for a Jaun Elia Ghazal

90 views
Skip to first unread message

Mohib

unread,
Jun 3, 2006, 10:27:47 PM6/3/06
to
aadaab arz hai !

I read this beautiful couplet by Jaun Elia at one of the mailing lists
I am a part of. I was wondering if anyone has the complete Ghazal.

halqa-e-mah-vashaaN se ham, zaKhm-e-talab ke baa-vujuud
apnii kulaah-kaj kiye, ishvaa-kunaaN guzar gaye

Also, how does one interprets 'zaKhm-e-talab' here?

Thanks a lot,
Mohib

Asa'd

unread,
Jun 8, 2006, 5:44:27 PM6/8/06
to
khush guzaraan-e-shehr-e-gham, khush guzaraaN guzar gaye
zamzama khvaaN guzar gaye, raqs kunaaN guzar gaye

vaadi-e-gham ke khush khiraam, khush nafasaan-e-talKh jaam
naghma zanaaN, navaaznaaN, naarah zanaaN guzar gaye

soKhtagaaN ka zikr kyaa, bas ye samajh k vo giroh
sarsar-e-be.amaaN ke saath, dast fishaaN guzar gaye

zehr bajaam reKhta, zaKhm bakaam beKhtah
ishratiyaan-e-rizq-e-gham, nosh chakaaN guzar gaye

us dar-e-niim vaa se ham, halqa ba halqa, saf ba saf
siina zanaaN guzar gaye, jaama daraaN guzar gaye

ham ne khudaa ka rad likhaa, nafii ba nafii, laa ba laa
ham hii khudaa guziidagaaN, tum pe giraaN guzar gaye

us ki vafaa ke baavjuud, us ko na paa ke badgumaaN
kaise yaqiiN bichaR gaye, kaise gumaaN guzar gaye

majma-e-mahvashaaN se ham, zaKhm-e-talab ke baavjuud
apnii kulaah kaj kiye ishvaa kunaaN guzar gaye

khud nigaraan-e-dil zadah, dil zadagaan-e-khud nigar
kuucha-e-iltifaat se, khud nigaraaN guzar gaye

ab yehii tai huaa k ham, tujh se qareeb tar nahiiN
aaj tere takallufaat, dil pe giraaN guzar gaye

raat thi mere saamne, fard-e-hisaab-e-maah-o-saal
din miri sar khushii ke din, jaane kahaaN guzar gaye

kyaa vo bisaat ulaT gayii, haaN vo bisaat ulaT gayii
kyaa vo javaaN guzar gaye, haaN vo javaaN guzar gaye

Zoya

unread,
Jun 8, 2006, 10:58:30 PM6/8/06
to
Mohib Sahib, shukriyah aap kaa, is farmayish ko karne ke liye!

aur Asad Sahib, shyukriyah aap kaa, is farmayish ko puura karne ke
liye!!

lagtaa hai 'Lekin' aap ke paas pahuNch chuki hai! :)

aur chalte chalte aap donoN bhaai JE kaa ek aur sher bhii sunte jaaiye,
'gumaan' se:

ai jaan-e-ahed-o-paimaaN! ham ghar basaayeNge, haaN!
tuu apne ghar meiN hogaa, ham apne ghar meiN hoNge!! ;)

_________Zoya

Asa'd

unread,
Jun 9, 2006, 4:15:42 AM6/9/06
to

jii, vo to pahoNch gayii, lekin "Lekin" meiN aap ko ye ghazal shaayad
na mile :)
sher khuub hai! "Lekin " meiN jo sher hai vo kuch yuuN hai :)

yuuN ho k aur hii koii havva mile mujhe
ho yuuN k aur hii koii aadam mile tumheN

Asad

Vijay

unread,
Jun 10, 2006, 4:53:56 AM6/10/06
to

Jaun Elia kii aik aur ghazal:

abhi ik shor sa utha hai kahiiN
koii Khamosh ho gaya hai kahiiN

hai kucch aisa ki jaise yeh sab kucch
is se pehle bhii ho chuka hai kahiiN

tujh ko kya ho gaya hai* ki cheezoN ko
kahiiN rakhta hai DhuuNDta hai kahiiN

jo yahaaN se kahiiN na jaata thaa
voh yahaaN se chalaa gaya hai kahiiN

aaj shamshaan kii sii buu hai yahaaN
kyaa koii jism jal raha hai kahiiN

ham kisii ke nahiiN jahaaN ke sivaa
aisii vo Khaas baat kya hai kahiiN

tuu mujhe DhuuND maiN tujhe DhuuNDuuN
koii ham meN se reh gaya hai kahiiN

kitnii vehshat hai darmyaan-e-hujuum
jis ko dekho gaya huua hai kahiiN

maiN to ab sheh'r meN kahiiN bhii nahiiN
kya miraa naam bhii likha hai kahiiN

isii kamre se koii ho ke vidaa
isii kamre meN chhup gaya hai kahiiN

mil ke har ShaKhs se huua mehsoos
mujh se yeh ShaKhs mil chukaa hai kahiiN

*is misre meN lafz 'hai' mujhe zaaid laga aur yeh ise behr se kharij
kar raha hai. yeh sirf merii haqiir raae hai aur ziaadah imkaan to
yehii hai ki maiN ghaltii meN huuN. Comments anyone?

Vijay

Mohib

unread,
Jun 10, 2006, 5:14:41 PM6/10/06
to
bahut bahut shukriyaa, As'ad saahab.

Jaun kii ye Ghazal bhii bahut Khuub hai.

Khaaksaar,
Mohib

Mohib

unread,
Jun 10, 2006, 5:16:44 PM6/10/06
to
aapkaa bhii shukriyaa, Zoya ji. ummiid hai aap Khairiyat se hoNgii.

talib-e-du'aa
Mohib

Mohib

unread,
Jun 10, 2006, 5:20:54 PM6/10/06
to
Vijay saahab,

aadaab arz hai !

afsos, mujhe rumooz-o-bahr kaa bahut kam ilm hai. ummiid hai ke RK,
Afzal ya Sarwar saahebaan meN se ko'ii rahnumaa'ii farmaayega.

rahii baat Ghazal kii, to vo to kamaal kii hai. is ke liye maiN aapkaa
mashkuur thehraa.

ye sher bahut pasand aaya,

hai kucch aisa ki jaise yeh sab kucch
is se pehle bhii ho chuka hai kahiiN

deja vu?
:-)

Mohib

0 new messages