Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

Topic of the Month 11/08 Mash_huur GhazloN meN "paivand"

41 views
Skip to first unread message

Naseer

unread,
Nov 1, 2008, 5:38:50 PM11/1/08
to
Haaziriin-i-maHfil, aadaab 'arz hai

is mauzuu' ke liye maiN janaab-i-Jamil Sahib kii pesh-kardah tajviiz
ko ba-ruu-i-kaar laa rahaa huuN awr is ke liye maiN un kaa shukr-
guzaar huuN. tajviiz yih thii kih ek laRii kaa aaGhaaz kiyaa jaa'e jis
meN un ash'aar kaa zikr ho jin kaa "gum-naam" shu'araa ne mash_huur
GhazloN meN paivand lagaayaa hai. paivand bhii itnii safaaii se
lagaa'e ga'e haiN kih plastic-surgeon bhii 'ash 'ash karne lageN!

pahlii misaal Jamil Sahib hii kii dii hu'ii hai

ai barq-i-tajalli Thahr zaraa, kyaa mujh ko bhii Muusaa samjhaa hai
maiN tuur nahiiN jo jal jaa'uuN jo chaahe muqaabil aa jaa'e
[shaa'ir ?]

ham sab ko ba-KHuubii 'ilm hai kih is Ghazal kaa matla' hai

ai jazbah-i-dil gar maiN chaahuuN har chiiz muqaabil aa jaa'e
manzil ke liye do gaam chaluuN awr saamne manzil aa jaa'e
[Bih-zaad Lakhnavii]

chand maah qabl janaab-i-Vijay Kumar Sahib ne Hasrat Mohani kii maayah-
naaz Ghazal "chupke chupke raat din..." ke do aise ash'aar kaa zikr
kiyaa jo is Ghazal meN nah mil sake. ma'luum hu'aa kih ko'ii "paivand-
kaar" apnii zarb-i-kaarii lagaa kar chalaa gayaa hai!!

be-ruKHii ke saath sun_naa dard-i-dil kii daastaaN
vuh kalaa'ii meN tera kaNgan ghumaanaa yaad hai

vaqt-i-ruKHsat alvidaa kaa lafz kehne ke liye
vuh tere suukhe laboN kaa thartharaanaa yaad hai
[shaa'ir?]

to liiji'e ab yih laRii maiN aap sab ke Havaale kartaa huuN. dekhte
haiN kih ham aisii kitnii GhazleN zihn meN laa sakte haiN jin meN
aisaa izaafah kiyaa gayaa hai.

KHair-andesh,
Naseer

Naseer

unread,
Nov 7, 2008, 5:22:31 PM11/7/08
to

Another shi'r contributed by janaab-i-Vijay Kumar Sahib is..

hu'aa jo tiir-i-nazar niim-kash to kyaa Haasil
mazah to jab hai kih siine ke aar-paar chale

No prizes for the inspiration nor for the Ghazal receiving the
"graft".

KHair-KHvaah,
Naseer

Jamil

unread,
Nov 17, 2008, 5:03:01 PM11/17/08
to

Naseer Sahib

> hu'aa jo tiir-i-nazar niim-kash to kyaa Haasil
> mazah to jab hai kih siine ke aar-paar chale

One wonders why Mehdi Hassan chose to include this graft to spoil an
enchanting Ghazal, whose beauty is matched only by the voice in which
he sang it.

In any case, it seems that paivands have been exhausted, so let us
broaden the topic somewhat to include "tazmiin" of famous ghazals.
These are common enough, since lines written by masters are used as
misra-e-tarHi in mushaa'aras. Once in a while you come across
something that does justice to the original.

I once heard something in the zamiin of Ghalib's Ghazal: "HairaaN huuN
dil ko ro'uuN keh piiTuuN jigar ko maiN"

naadim huuN le ke ziNdagii-e- muKhtasar ko maiN
Hairat se dekhtaa huuN janaab-e-Khizar ko maiN

behlaa'uuN kis taraH dil-e-veHshat asar ko maiN
le jaa'uuN kyaa uThaa ke byaabaaN meN ghar ko maiN?

The poet may be Yusuf Jamaal Ansari, but I might be wrong; it has been
so long.

Jamil

Ashuftasar

unread,
Nov 19, 2008, 6:24:09 AM11/19/08
to
On Nov 18, 3:03 am, Jamil <dehq...@gmail.com> wrote:
> On Nov 8, 12:22 am, Naseer <qures...@googlemail.com> wrote:
>
Pesh khidmat hay ghalib the gr8 ke aagay iss nacheez ki be-wuqqatt fil-
badeeh shair hazir hain,

khamoushiyoun ne aisi guftugo karee ke aaj
Hairaan wo udhar tau pareeshan idhar ko mein

wo jate jate kargaay baat aisi kun-ankhiyoun se
tirchhay hoan teer tau kia sanbhaloon jigar ko mein

B.G.M.

unread,
Nov 19, 2008, 9:26:45 AM11/19/08
to
On Nov 19, 6:24 am, Ashuftasar <seaska...@gmail.com> wrote:

> Pesh khidmat hay ghalib the gr8 ke aagay iss nacheez ki be-wuqqatt fil-
> badeeh shair hazir hain,
>
> khamoushiyoun ne aisi guftugo karee ke aaj
> Hairaan wo udhar tau pareeshan idhar ko mein
>
> wo jate jate kargaay baat aisi kun-ankhiyoun se
> tirchhay hoan teer tau kia sanbhaloon jigar ko mein

----------------------------------------------------------------------------------------------------------------

"give me a Brea...k !!!"

========================================================

Jamil

unread,
Nov 19, 2008, 10:33:26 AM11/19/08
to

Well, you've got to admire the humour in the first she'r. I am still
laughing.

B.G.M.

unread,
Nov 19, 2008, 11:36:06 AM11/19/08
to
On Nov 19, 10:33 am, Jamil <dehq...@gmail.com> wrote:

khamoushiyoun ne aisi guftugo karee ke aaj
Hairaan wo udhar tau pareeshan idhar ko mein

>


> Well, you've got to admire the humour in the first she'r. I am still

> laughing.------------------------------------------------------------------------------------

May be, ... you got a point there, magar jo maiN kahuuN tau kuChh
yuuN,

"KhaamoshiyaaN bhi Khuub haiN, dekho na kyaa hu`a!
Hairaan wo udhar, tau pareshaaN idhar ko maiN"

======================================================================

Afzal A. Khan

unread,
Nov 19, 2008, 12:52:16 PM11/19/08
to
B.G.M. wrote:

Aashuftasar Aur B.G.M. Sahebaan

Aap hazraat "ahl-e-zabaan" par yeh mashq-e-sitam kyoN farma
rahe haiN ? !!

Afzal

B.G.M.

unread,
Nov 19, 2008, 2:49:44 PM11/19/08
to
On Nov 19, 12:52 pm, "Afzal A. Khan" <me_af...@invalid.invalid> wrote:

>
> Aashuftasar Aur B.G.M. Sahebaan
>
> Aap hazraat "ahl-e-zabaan" par yeh mashq-e-sitam kyoN farma
> rahe haiN ? !!
>
> Afzal

--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Ma`azaratKhwaah huuN, janaab!

Bas, is baar ChhoR diijiye, aa`indaa aisii Ghalati nahiiN
karuuNgaa! ):

===========================================================================

UVR

unread,
Nov 19, 2008, 11:07:27 PM11/19/08
to

sun kar yeh "sh'er" Ghaalib-e-marhoom kah uThe --
"hairaaN hooN dil ko ro'uuN k peeTooN jigar ko maiN"

:)

-UVR.

Ashuftasar

unread,
Nov 20, 2008, 3:36:51 AM11/20/08
to
On Nov 19, 8:33 pm, Jamil <dehq...@gmail.com> wrote:
> On Nov 19, 4:26 pm, "B.G.M." <b_manejw...@yahoo.com> wrote:
>
> THANK YOU ALL
BGM Jamil & afazal khan sahib salam
hum mushk-e-sitam nahin bulkay mushk-e-sukhan kar rahay hain, inhi
barray logon se hi hum kuch seekh saktay hain, inn khas kar dehli
walon ki agar aap nay shairee parrhee hay tau aap ko andaaza hay kay
kia woh keh gaye ROOMAL MEIN BANDH KAR, kia wo suna gaye lufzoan ki
shuguftgi mein, khair mein phir maazrut talab karta hoon agar aap ko
bura mehsoos hua hay.
aapka subka EHSAN ashuftasar

>
>
>
> > On Nov 19, 6:24 am, Ashuftasar <seaska...@gmail.com> wrote:
>
> > > Pesh khidmat hay ghalib the gr8 ke aagay iss nacheez ki be-wuqqatt fil-
> > > badeeh shair hazir hain,
>
> > > khamoushiyoun ne aisi guftugo karee ke aaj
> > > Hairaan wo udhar tau pareeshan idhar ko mein
>
> > > wo jate jate kargaay baat aisi kun-ankhiyoun se
> > > tirchhay hoan teer tau kia sanbhaloon jigar ko mein
>
> > ---------------------------------------------------------------------------­-------------------------------------

Naseer

unread,
Nov 23, 2008, 7:09:26 PM11/23/08
to
janaab-i-Jamil Sahib, aadaab 'arz hai.

On Nov 17, 10:03 pm, Jamil <dehq...@gmail.com> wrote:

>
> > hu'aa jo tiir-i-nazar niim-kash to kyaa Haasil
> > mazah to jab hai kih siine ke aar-paar chale
>
> One wonders why Mehdi Hassan chose to include this graft to spoil an
> enchanting Ghazal, whose beauty is matched only by the voice in which
> he sang it.

Apparently this couplet is by Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar.

> In any case, it seems that paivands have been exhausted, so let us
> broaden the topic somewhat to include "tazmiin" of famous ghazals.
> These are common enough, since lines written by masters are used as
> misra-e-tarHi in mushaa'aras. Once in a while you come across
> something that does justice to the original.
>
> I once heard something in the zamiin of Ghalib's Ghazal: "HairaaN huuN
> dil ko ro'uuN keh piiTuuN jigar ko maiN"
>
> naadim huuN le ke ziNdagii-e- muKhtasar ko maiN
> Hairat se dekhtaa huuN janaab-e-Khizar ko maiN
>
> behlaa'uuN kis taraH dil-e-veHshat asar ko maiN
> le jaa'uuN kyaa uThaa ke byaabaaN meN ghar ko maiN?
>
> The poet may be Yusuf Jamaal Ansari, but I might be wrong; it has been
> so long.


In a recent post entitled "Chaudhury KHushi Mohammed Khan Naazir Ki Ek
Naz'm", Afzal Sahib informed us by way of a post-script..

"Is naz'm par Naazir Saheb ke ek maddaah ne tazmeen bhi likhi thi.
Aur husn-e-ittefaaq se woh bhi mere paas hai. Kabhi mauqa huwa to use
bhi yahaaN pesh karooN ga."

and you wrote..

"We will wait for the tazmeen."

So, it might be appropriate if Afzal Sahib could perform the
"bismillah" and end our waiting:)

KHair-KHvaah,
Naseer


Jamil

unread,
Nov 24, 2008, 4:21:59 AM11/24/08
to

Kia yeh she'r:

'ishq ne Ghalib nikamma kar diyaa
vernah ham bhi aadami the kaam ke

bhi paivand hai?

This she'r is accepted as Ghalib's, but Jamiluddin 'Aali informs us
differently. It was a surprise to read in a recent column in the
daily "Jang" online that it is Hazrat Saalik's; or as ambiguosly
stated saaqib Lakhnavi's - I did not quite understand which. The link
is as follows:

http://www.jang.com.pk/jang/nov2008-daily/17-11-2008/col1.htm

If someone other than 'Aali had said so, I would have dismissed this
as a hoax.

The column has a few other interesting things to say, including the
origins of some zabul-misl ash'aar, a topic that we have discussed
here.

Jamil

Message has been deleted

Naseer

unread,
Nov 24, 2008, 12:48:41 PM11/24/08
to
On Nov 24, 9:21 am, Jamil <dehq...@gmail.com> wrote:

> Kia yeh she'r:
>
> 'ishq ne Ghalib nikamma kar diyaa
> vernah ham bhi aadami the kaam ke
>
> bhi paivand hai?
>
> This she'r is accepted as Ghalib's, but Jamiluddin 'Aali informs us
> differently. It was a surprise to read in a recent column in the
> daily "Jang" online that it is Hazrat Saalik's; or as ambiguosly
> stated saaqib Lakhnavi's - I did not quite understand which. The link
> is as follows:
>
> http://www.jang.com.pk/jang/nov2008-daily/17-11-2008/col1.htm
>
> If someone other than 'Aali had said so, I would have dismissed this
> as a hoax.
>
> The column has a few other interesting things to say, including the
> origins of some zabul-misl ash'aar, a topic that we have discussed
> here.

janaab-i-Jamil Sahib, aadaab-o-tasliimaat.

I have not yet looked at the jung link but this is what Ghulam Rasool
Mihr has had to say.

"KHud Mirza ne Hargaupaal Taftah ko ek KHat meN yih shi'r likhte vaqt
thoRaa saa tasarruf kar liyaa thaa, ya'nii:

zu'f ne Ghalib nikammaa kar diyaa

Riazuddiin Amjad ne "sair-i-dehlii" meN likhaa hai kih maiN ne yih
shi'r Mirzaa ke saamne paRhaa to farmaayaa:

"bha'ii! chup raho, yuuN kaho kih:

zu'f ne Ghalib nikammaa kar diyaa

yaa

dahr ne Ghalib nikammaa kar diyaa

'ishq kaisaa, 'aashiqii kaa vuh zamaanah nah rahaa"

(aHvaal-i-Ghalib page 50)

I hope Jamiluddiin 'Aalii Sahib had sound reasons to come up with his
comment.

KHair-KHvaah,

Zafar

unread,
Nov 24, 2008, 8:39:32 PM11/24/08
to

I doubt Aali saahib has any reasons; instead, I'm pretty sure he would
issue an erratum in the next iteration of his "izhaariya". I also
have a theory for this mistake: I think while making the claim in
question, Aali saahib had another she'r in mind which is often wrongly
attributed to Ghalib:

tang-dasti agar na ho "Ghalib"
tandurusti hazaar ne'emat hai

Of course this she'r is by Qurban Ali Salik (1824 – 1880):

shab balaa hai to rauz aafat hai
zindagi hijr meN museebat hai

tang-dasti agar na ho "Salik"
tan-durusti hazaar ni'emat hai

Aali saahib also got this “she’r” wrong:

na Khudaa hi milaa na wisaal e sanam
na idhar ke rahe na udhar ke rahe

Not only that the author is not Ghanshyam Lal Aasi but it’s only the
second misra of the actual she’r:

gaye donoN jahaan ke kaam se ham, na idhar ke rahe na udhar ke rahe
na Khudaa hi milaa na wisaal e sanam, na idhar ke rahe na udhar ke
rahe

And while we are at it, I’d also like to correct another she’r:

charKh ko kab ye saleeqa hai sitam-gaari meN
koyi ma’ashooq hai is parda e zangaari meN

As most ALUPers would certainly be aware, this she’r is by Munnu Lal
Safa, and not by Baanke Lal Sehl, as he claims.

I'd leave the rest of the mistakes for other ALUPers to correct.

aadaab arz hai,

Zafar

Ashuftasar

unread,
Nov 27, 2008, 4:50:02 AM11/27/08
to
On Nov 25, 6:39 am, Zafar <ZaffS...@gmail.com> wrote:
> On Nov 24, 12:48 pm, Naseer <qures...@googlemail.com> wrote:
>
>
gaye donoN jahaan ke kaam se ham, na idhar ke rahe na udhar ke rahe
na Khudaa hi milaa na wisaal e sanam, na idhar ke rahe na udhar ke
rahe

2- 1- 2 /- 2- 1- 2 / -2- 1 -2 /- 2- 1- 2 / -2 -1- 2 / -2- 1 -2 / -2
-1- 2 /- 2 -1- 2
fa e loon four times
so sorry your first line breaks when put into these AUZAAN
second line is totally wazandaar
Allah aap subko khush -o- aabad rakhay

0 new messages